tohfe..!

by nishita on April 03, 2005, 10:08:21 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
Print
Author  (Read 8338 times)
nishita
Guest
«Reply #165 on: April 24, 2005, 11:46:47 AM »
thanks MR.Q

pyaas vo dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahin
kaisa baadal hai jiskaa koi saayaa bhi nahin
beruKhi is se bari aur bhalaa kyaa hogi
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhi nahin

nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere tohfe ne tho bus khoon ke aansu diye.. by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tohfe me tohmaton ki barsaat mili by rizwan1942 in Shairi - E - Zindagi
tohfe usse uske lauta diye maine by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
uss nayab tohfe ke sada kayal rahenge hum by sunildehgawani in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #166 on: April 24, 2005, 12:08:06 PM »
Hey good going everyone ...
Keep it up ...


Ho sakta hai ki hum saath reh na paaye,
Ek doosre se kabhi kuchh keh na paaye,
Itni nazdikiyaan na badhaao,
Ki hum dooriyaan seh na paaye ......
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #167 on: April 24, 2005, 02:23:38 PM »
Well Said nishita and Just_Hate_Love ..


Ques....

*************************************
Logged
ankit20
Guest
«Reply #168 on: April 28, 2005, 08:46:47 AM »
Quote from: "pandit"
sahi kaha ji........
waqt k sahare jo kashti daal dete hai,
bhawar e zindagi ko wohi paar karte hai.
vaah,kya khoob likha hai nishita jii aapne
Logged
nishita
Guest
«Reply #169 on: April 29, 2005, 09:45:11 AM »
nice jhl thnks Mr.Q

Main bhi shayad bura nahi hota,
Woh agar bewafa nahi hota.

Bewafa baawafa nahi hota,
Khatam ye faasla nahi hota.

Kuch to majbooriyaan rahi hongi,
Yoon koii bewafa nahi hota.

Jee bahut chahta hai sachh bole,
Kya karein hausla nahi hota.

Raat ka intezar kaun kare,
Aajkal din me kya nahi hota.

Guftgoo unse roz hoti hai,
Muddaton saamna nahi hota.

nm
Logged
HumTum
Guest
«Reply #170 on: April 29, 2005, 10:04:23 AM »
Quote from: "nishita"
thanks MR.Q

pyaas vo dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahin
kaisa baadal hai jiskaa koi saayaa bhi nahin
beruKhi is se bari aur bhalaa kyaa hogi
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhi nahin

nm



Nishi  :thumb:

raat ke saye mein khamoshi ghul jati hai,
khayalon ke bahane se neenden ud jati hai,
itni bechaini mein bhi dil kyon khoya rehta hai,
aankhen jaagi reheti hain par dil kyon soya reheta hai..
Logged
suave
Guest
«Reply #171 on: April 29, 2005, 10:11:23 AM »
apane Khvaabon mein tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
aaNkh khulate hii tujhe DhuuNDhane nikalaa hogaa

zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
jaane kitane hii dimaaGon ne ye sochaa hogaa

NM
Logged
nishita
Guest
«Reply #172 on: April 29, 2005, 10:17:22 AM »
gud one both Usual Smile

bagair mere tujhe chain aa nahi sakta
mera javab kahi se tu la nahi saktaa

hazaar parde bhi daalo agar banaavat ke
dilon ki baat ko chehra chhupa nahi sakta

bana diya hai zamaane ne dil ko patthar ka
sataaye koi bhi mujh ko rula nahi sakta

nm
Logged
suave
Guest
«Reply #173 on: April 29, 2005, 10:19:10 AM »
meri tanhai mera khwaab hai tu
mere har sawaal ka jawaab hai tu
jitna mahir hai ishq karne mein tu
dard dene mein bhi lajawab hai tu
Logged
nishita
Guest
«Reply #174 on: April 29, 2005, 10:45:53 AM »
Quote from: "suave"
meri tanhai mera khwaab hai tu
mere har sawaal ka jawaab hai tu
jitna mahir hai ishq karne mein tu
dard dene mein bhi lajawab hai tu


bohat khoob
Logged
suave
Guest
«Reply #175 on: April 29, 2005, 10:52:39 AM »
Quote from: "nishita"
Quote from: "suave"
meri tanhai mera khwaab hai tu
mere har sawaal ka jawaab hai tu
jitna mahir hai ishq karne mein tu
dard dene mein bhi lajawab hai tu


bohat khoob
thanks nishita..................aap bhi bahut achha likhti hain
Logged
nishita
Guest
«Reply #176 on: April 29, 2005, 10:59:56 AM »
Quote from: "suave"
Quote from: "nishita"
Quote from: "suave"
meri tanhai mera khwaab hai tu
mere har sawaal ka jawaab hai tu
jitna mahir hai ishq karne mein tu
dard dene mein bhi lajawab hai tu


bohat khoob
thanks nishita..................aap bhi bahut achha likhti hain


thank u Usual Smile
Logged
bond
Guest
«Reply #177 on: April 29, 2005, 11:38:10 AM »
bahut nazuk hai ye mera dil
bahar se jaroor sakht lagta hai
abhi abhi tuuta hai ye dil
judne mein fir sadiyon sa waqt lagta hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #178 on: April 29, 2005, 11:46:55 AM »
Quote from: "bond"
bahut nazuk hai ye mera dil
bahar se jaroor sakht lagta hai
abhi abhi tuuta hai ye dil
judne mein fir sadiyon sa waqt lagta hai


wah nice

Tujhe Gar Milein Kabhi Fursatain Meri Sham Phir Se Sanwaar De
Gar Qatal Karna He To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Saza Na De...

nm
Logged
bond
Guest
«Reply #179 on: April 29, 2005, 11:51:04 AM »
meri har saans mein aaj bhi tera hi basera hai
meri har shaam ko aaj bhi intzaar tera hai
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:32:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer