tohfe..!

by nishita on April 03, 2005, 10:08:21 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
Print
Author  (Read 8220 times)
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #30 on: April 03, 2005, 12:00:22 PM »
You are most welcome friend ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere tohfe ne tho bus khoon ke aansu diye.. by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tohfe me tohmaton ki barsaat mili by rizwan1942 in Shairi - E - Zindagi
tohfe usse uske lauta diye maine by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
uss nayab tohfe ke sada kayal rahenge hum by sunildehgawani in Shairi for Manzar -e- Kudrat
nishita
Guest
«Reply #31 on: April 05, 2005, 01:05:13 PM »
gud work all Usual Smile

Pyaar ka behta dariya hoon lekin
Milan sagar se door rahaa
Jane kaisi Qismat hai apni
Mil kar bhi milne se majboor raha
Chahat ki ujli raahon par bhi
Dil chahaton se bohat door raha
Teri judaai mein aye humsafar
Mera sayaa bhi mujhse door raha
Haan yeh sach hai be-rukhi ke khaaron se
Mera dil yaQeenan mehfooz raha
Lekin yeh bhi sach hai mere sanam
Tere pyar ki mehek se mehroom raha..

nm
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #32 on: April 06, 2005, 02:50:30 PM »
Again a good one Nishu ...
Good going ...


Tanhai hai pyaar mein,
Bedardi hai pyaar mein,
Aansu hai pyaar mein,
Bebasi hai pyaar mein,
Ghum bhi hai pyaar mein,
Haar bhi hai pyaar mein,
Hame ye sab pataa hai kyunki ...
Kabhi hum bhi the pyaar mein ......
Logged
nishita
Guest
«Reply #33 on: April 07, 2005, 09:01:55 AM »
waha waah just hate ..

Humne manga tha saath unka,
woh judaai ka gham de gaye,
hum yaadon ke sahare jii lete,
magar woh bhool jaane ki kasam de gaye...

nm
Logged
nishita
Guest
«Reply #34 on: April 08, 2005, 11:53:19 AM »
Aur kahan main kuch kehta hoon
Deewaron sa chup rehta hoon

Chaar Qadam bas meri raah
Jis par main chalta rehta hoon

Main ne hai ek agan jagaai
Jis mein main jalta rehta hoon

Paani ki bas ek lehar si
uthta hoon, girta rehta hoon

Mera kahan kab koi thikaana
Behta hoon behta rehta hoon

Sukoon maut si meri hasrat
Jiske liye marta rehta hoon


nm
Logged
nikki
Guest
«Reply #35 on: April 08, 2005, 11:57:55 AM »
tooooo good all of u ............................................
hello Nishi sis ....how r u ?
exarms kaise hue?....tumhare bhi the ne?...............
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #36 on: April 08, 2005, 01:45:45 PM »
Great job All...... sab hi ne bohat acha likha hai......
Logged
nishita
Guest
«Reply #37 on: April 09, 2005, 12:40:30 PM »
thank u aryaan and nikki Usual Smile  

Dard mein doobe hue naghme to hazaron hai.
Magar saaze dil toot gaya ho to bajaye kaise.
Bhoj hota jo ghamon ka to utha lete.
Zindagi ka bhoj ho to koi uthayen kaise.

nm
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #38 on: April 09, 2005, 12:53:19 PM »
very nice nishi................... :D .............!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
suave
Guest
«Reply #39 on: April 09, 2005, 12:55:09 PM »
wowww  great work friends.......

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

by kaif bhopali
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: April 09, 2005, 02:38:18 PM »
Good work all!!!!

Zindagi ka bojh uthaaye na uthe hai
Aahon me apni hasti doobi rahe hai
kaisi chubhan kaisi khalish si rehti hai
Jaane kis safar pe hum chale hain
Logged
pandit
Guest
«Reply #41 on: April 09, 2005, 02:52:35 PM »
good talat.....
ye jo dard hai seene me,
tabhi to maza hai jeene me,
gar dard nahi hota to socho,
kya khaak maza hota peene me.
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: April 09, 2005, 02:58:10 PM »
Thanks Pandit!!! Nice!!

kabhi aansu kabhi khushi bechi
hum gharibon ne bekasi bechi

chand saanse kharidne ke liye
roz thodi si zindagi bechi

jab rulaane lage mujhe saaye  
main ne ukta ke raushni bechi

ek hum the ke bik gaye khud hi
varna duniya ne dosti bechi !!!!

(NM)
Logged
pandit
Guest
«Reply #43 on: April 09, 2005, 03:04:14 PM »
nice talat ji....
ye sharaab hi hai jisne sahara diya mujhe,
isse ne hi jeena sikhaya mujhe,
warna kya diya iss duniya ne,
bus baar baar nakara aul loota mujhe.
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #44 on: April 09, 2005, 03:05:51 PM »
Very well all.. Specially Nishita


Good and Great work all...

*******************************
///////////////////////////////////////////
*******************************
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:44:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer