TRISHNA................

by ranjana on May 17, 2006, 03:43:08 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1004 times)
ranjana
Guest
pyar mohabat ka khel ajjeb kyu hai.........?
kabhi yeh hai dil ki khushi, aur kabhi majbur kyu hai...?

milta hai tere, mere khayalo ka silsila.......
fir bhi tere pass rehne se dil majbur kyu hai?

kehna sunana ham dono ko hi hai bahut kuch......
fir bhi hothoo par khaomoshi ka pehra sa kyu hai?

ajjeb hai ham dono ke dil ki uljhan bhi......
bhara hua hai ham dono ke dil ka pamaana fir bhi .........
na jane yeh dil payasa sa kyu hai................?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hema Malini..... Mrig Trishna by Roja in Share Video
mrkotians
Guest
«Reply #1 on: May 17, 2006, 05:35:08 PM »
ranjana... hmmmm.. kyon hain.. mujhe bhi maloom nahin...

kyon sundari akele khade rahe ho...?
hara saadi phool ke saath kis ke intezar mein ho...?

tu dharti ho mere liye...
mann karta hain tere seene mein so jaaoon...

sooraj ke sone kiran teri badan ke rang hain
un sarovar hain tere aankhen par un mein virah hain

pyara sa baatein tere kehne main chala...
par maaloom nahin kyon main goonga chala...

yeh preet jo hain aane ki waqt nahin batate
is ki arambh ko koi kaaran nahin rehte...

kyon


Quote from: "ranjana"
pyar mohabat ka khel ajjeb kyu hai.........?
kabhi yeh hai dil ki khushi, aur kabhi majbur kyu hai...?

milta hai tere, mere khayalo ka silsila.......
fir bhi tere pass rehne se dil majbur kyu hai?

kehna sunana ham dono ko hi hai bahut kuch......
fir bhi hothoo par khaomoshi ka pehra sa kyu hai?

ajjeb hai ham dono ke dil ki uljhan bhi......
bhara hua hai ham dono ke dil ka pamaana fir bhi .........
na jane yeh dil payasa sa kyu hai................?
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #2 on: May 17, 2006, 06:21:54 PM »
Koi Yeh kaise bataye ki, woh tanhaa kyun hai...
Woh jo apna tha, aaj kisi aur ka kyun hai,
Yeh duniya hai to fir, aisi ye duniya kyun hai,
Yehi hota hai to, aakhir ye hi hota kyun hai..!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2006, 05:50:04 AM »
talasha jo jindagi mein sahara kabhi-
ghabara ke tumhi ko puakara hamne
kitne nasamajh hai ham sahara wahi talsaha hamne
jo khud kisi ka sahara bana hai kabhi-kabhi
pad ke na samjh ham diwane hain tere
hamne tuj ko bhi apna diwana banaya hai kabhi -kabhi
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #4 on: May 20, 2006, 11:26:42 PM »
good ranjana...

pyar hi bhagwan ka diya hua jaaydaat hain hamari
bhooke rahe toh bhi tyohaar hain
har din bhi gudi padwa
tujhko aur mujhko

agar tu saat hain toh pahad ko bhi uthaoon ungliyon se
chahe kitne sankat bhi aaye
jeete rahenge aise

yeh jaan tera hi hain aur teri pooja ki phool hoon main
teri paon ki kasam, tujhse achcha bhagwan nahin jaane
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2006, 11:48:26 PM »
good job all
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2006, 02:22:44 AM »
shukriya Pankhuri ....................
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:01:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer