Tu Hi Bata Main Kaya Karu....

by Pooja on February 21, 2006, 07:36:58 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 6479 times)
niraj_191
Guest
«Reply #15 on: March 03, 2006, 06:04:34 AM »
Quote from: "Pooja"
Good one niraj..

Dil, Ansoo, jakham, dard kuch aise kaam kar gaye
mai to rahi wahi, per mujko, mujme hi daffan kar gaye!!


good!!!
khushi, muskurahat ne mera kuch aisa sath nibhaya
gamo ka mere mohabat-e-yar ko pata chal na paya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tu hi bata mujme kaya kami hai by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 5 6 »
Tu hi bata main kaya karu.... by Pooja in Critics and Review only Forum
tu bata de ki tujhe pyaar karu ....*** by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaya hai mera, jis ke kho jaane ka dar karu by Pooja in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 03, 2006, 03:32:53 PM »
wah.. kaya baat hai niraj..good one!!

waqat ki najar mai, her kaam be-waqat hua
waqat ke sath sath, her zazbaat mera jabat hua
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: March 03, 2006, 04:06:46 PM »
Bohat khoob Pooja & All....

Gulshan ki faQat phoolon se nahi, kaanton se bhi zeenat hoti hai
Jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai

Aye Waiz-e-Nadaan karta hai tu ek qayaamat ka charcha
Yahaan roz nigahein milti hain, yahaan roz qayaamat hoti hai

Woh pursish-e-gham ko aaye hain, kuch keh na sakoon, chup reh na sakon
Khaamosh rahoon tau mushkil hai, keh doon tau shikayat hoti hai

Karna hi padega zabt-e-gham peene hi padeinge yeh aansoo
Fareyaad-o-fughaan se aye nadaan, tauheen-e-mohabbat hoti hai

Jo aa ke ruke daaman pe, woh ashk nahi hain paani hai
Jo ashk na chalkey aankhon se uss ashk ki Qeemat hoti hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: March 03, 2006, 04:12:08 PM »
wah kay abaat hai Aryaan ji bahoot hi khoobsurat likha hai apne!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: March 03, 2006, 05:28:30 PM »
Bohat shukriya Pooja....
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #20 on: March 04, 2006, 06:26:09 AM »
Quote from: "Pooja"
wah.. kaya baat hai niraj..good one!!

waqat ki najar mai, her kaam be-waqat hua
waqat ke sath sath, her zazbaat mera jabat hua



ur words are unexplainable!!!

bhawre ko zamane ne kuch is kadar mara tha
bhavre ne kaha, me ne to sirf kali ka hal pucha tha.....!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 06, 2006, 03:35:09 AM »
dard ho aor shikwa na ho
Tu hi bata kaise karu
Ansuu ho aor Ruswai na ho
Tu hi bata kasie karu
Tanhai ho, aor teri yaad na ho
Tu hi bata kaise karu
Mai hu aor Tu na hO
Tu hi bata, Yah Kaise SAHU!!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #22 on: March 06, 2006, 05:51:16 AM »
good!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #23 on: March 06, 2006, 11:49:59 AM »
very very nice all of u ............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 06, 2006, 05:23:05 PM »
THANKS Niraj and nikki
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: March 23, 2006, 04:55:27 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Pooja & All....

Gulshan ki faQat phoolon se nahi, kaanton se bhi zeenat hoti hai
Jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai

Aye Waiz-e-Nadaan karta hai tu ek qayaamat ka charcha
Yahaan roz nigahein milti hain, yahaan roz qayaamat hoti hai

Woh pursish-e-gham ko aaye hain, kuch keh na sakoon, chup reh na sakon
Khaamosh rahoon tau mushkil hai, keh doon tau shikayat hoti hai

Karna hi padega zabt-e-gham peene hi padeinge yeh aansoo
Fareyaad-o-fughaan se aye nadaan, tauheen-e-mohabbat hoti hai

Jo aa ke ruke daaman pe, woh ashk nahi hain paani hai
Jo ashk na chalkey aankhon se uss ashk ki Qeemat hoti hai



Wah bahoot khoob Aryaan ji!!!


Zindagi ko mana gum aor khushiyion se sajana hai
Khushi ki nahi thi koi keemat, jab tak gum ko na pahchana hai

Hasrat hi rahi unki, dil mai jkhamo ka khazana hai
Ek baar dikha sakty, yahin dard rah jaana hai

Wo hansty hai to mai bhi muskura deti hu
Janati hu is muskaan ne, phir barso rulana hai

Wo jahan bhi rahe khush rahe, yahi dua nikalti hai
Mujko to unhi, tanhaai mai ek din mar jaana hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: March 27, 2006, 04:08:51 PM »
Tujse hai nafarat, aor tu hi base nas nas main
Tu hi bata mai kaya karu……
Meri her khushi lutane wale, jab tu aye mere samne
Tu hi bata mai kaya karu……
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #27 on: March 27, 2006, 05:03:51 PM »
wonderfull  Pooja sis........

Mera kya hai teri har arzu hai zindagi meri
agar tere sitam ki baat khaas o aam tak pahunche..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: March 27, 2006, 05:06:58 PM »
wah kay abaat hai....

Armaan rahe bahoot, magar ab koi armaan nahi
bas ab to yahin baat, sitamgar tak pahunchy.......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #29 on: March 27, 2006, 05:11:36 PM »
thanxxxxxx  Pooja sis.........aap ka  to  jawaab nahi...  

qaatil ki is adaa pe bhi qurbaan jaaye
Khud de ke zahar aankhon men aansoo bhi bhar liye...............
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:41:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer