Tu Khush Rahe Sada

by angel4u on June 23, 2008, 02:43:34 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 27844 times)
angel4u
Guest
Aye SanaM! Chahaton Ka Ye Qaafila Jaane Kis Mod Pe Le Aaya Mujhe
Har QadaM Par Thokarein Hai, Ye IMtehaan Kahan Laaya Mujhe,

Ek Wo Manzar Tha Jab Teri Baahon Mein Khilte The Phool ArMaano Ke,
Aaj Dilki Banjar ZaMeen Ne Sehraon Ka Manzar Dikhaya Mujhe,

Teri Saanson Ki GarMiyon Mein Pighal Jata Tha Wajood Mera,
Aaj Na Jaane Kyon Usi Tapish Ne Hi Jhulsaya Hai Mujhe,

Aisa Nahi Hai Ke Tujhse Koi Gila Hai HaMein Koi,
Gila Apni KisMat Se Jisne Har Mod Par AazMaya Hai Mujhe,

Chahton Ki Daastan Tune To Bahut SaMbhal Ke Rakhi Thi,
Uske Har Ek Waraq Ne Aaj Patthar Bana Diya Hai Mujhe,

Tune Deni Chahi Har Khushi Mujhe Phir Bhi Na Jaane Kyon,
Kuch Anchahe Khwaabone Rone Pe Majboor Kiya Hai Mujhe,

Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe,

Tera Har GaM Mujhse Ho Wabasta, Meri Har Hansi Ho TujhMe ShaMil,
Tujhe Zara Si Chot Jo Lage, Chur Chur Kar De Teri Aah Mujhe,

Maangne Se Pehle Ho Har Khushi Tere DaaMan Mein,
Bas Yehi Sila De De Khuda Meri Mohabbat Ka Mujhe,

Mere Naseeb Mein Likhi Hai Tanhaiyon Ki Chadar Shayad,
Tu Rahe Uski Baahon Mein Jo Khud Se Zyada Chahe Tujhe,

Meri Nadan Galtiyon Ki Shayad Yehi Sazayein Hogi,
Kar De Apni Zindagi Tere NaaM, Aakhri Saans Tak Chahein Tujhe...
 tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naseeb hon khushiyaan tumhein tum khush raho sada (Neelu) by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
SADA KHUSH RAHO by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu khush Rahe Hamesha by spandana in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khush Rahe Tu Sada by Dil Diwana in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kahi bhi rahe khush rahe wo.............. by Ishq007 in Shayri for Dard -e- Judai
Sammual
Guest
«Reply #1 on: June 23, 2008, 03:51:04 AM »
Wah Wah Bahut Acha Likha Hai Angel ji. Applause Applause

These Lines Are Very Nice

Mere Naseeb Mein Likhi Hai Tanhaiyon Ki Chadar Shayad,
Tu Rahe Uski Baahon Mein Jo Khud Se Zyada Chahe Tujhe
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: June 23, 2008, 05:53:56 AM »
Angel4u,
Kya Kahun Aapko,Aap ki Is Nazam Ko,
Aap Ki Likhi Har Har Line Me Ajeeb si Kaifiyat Hai,
Bura Mat samjana dost,
Puri Nazam Dard Ka Samundar Hai,
Aap Ek bahot hi Ulze Hua Shayir Ho,
Aap Ki Ek Misra :
Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe

Aap Ne To Dil Ki Gehrai yon Me JO Baat Hoti Hai,
Use 100% shahi Likha Hain,
Allah Kare Apka Kalam Rawaa-Dawaa'n rahe..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 23, 2008, 06:28:49 AM »
Bahut Bahut khoob!!

"Aisa Nahi Hai Ke Tujhse Koi Gila Hai HaMein Koi,
Gila Apni KisMat Se Jisne Har Mod Par AazMaya Hai Mujhe,

Tune Deni Chahi Har Khushi Mujhe Phir Bhi Na Jaane Kyon,
Kuch Anchahe Khwaabone Rone Pe Majboor Kiya Hai Mujhe,

Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe"

Wah Wah...kya likha hai aapne.
iss nazm ki kai lines dil ko chu jaati  hai..
bahut ache Applause Applause Applause
Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: June 23, 2008, 07:08:52 AM »
 Applause Applause :clap:anjel ji




Baadal
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: June 24, 2008, 02:56:14 AM »
Wah Wah Bahut Acha Likha Hai Angel ji. Applause Applause

These Lines Are Very Nice

Mere Naseeb Mein Likhi Hai Tanhaiyon Ki Chadar Shayad,
Tu Rahe Uski Baahon Mein Jo Khud Se Zyada Chahe Tujhe


THanks a lot Sammual for liking the same.
its my pleasure thta you liked. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: June 24, 2008, 02:58:52 AM »
Angel4u,
Kya Kahun Aapko,Aap ki Is Nazam Ko,
Aap Ki Likhi Har Har Line Me Ajeeb si Kaifiyat Hai,
Bura Mat samjana dost,
Puri Nazam Dard Ka Samundar Hai,
Aap Ek bahot hi Ulze Hua Shayir Ho,
Aap Ki Ek Misra :
Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe

Aap Ne To Dil Ki Gehrai yon Me JO Baat Hoti Hai,
Use 100% shahi Likha Hain,
Allah Kare Apka Kalam Rawaa-Dawaa'n rahe..!


Bahut bahut shukriya Muhammad ji.
aapne pasand ki hamare liye bas yehi badi baat hia.
bas dil mein jo hota hia wo likh lete hai,
nazm apne aap ban jaati hai.
dard ko lafzon mein utarna shayad mumkin kabhi nahi hota,
bas shayad uska aqs lafzon mein jhalak uthta hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: June 24, 2008, 03:00:40 AM »
Bahut Bahut khoob!!

"Aisa Nahi Hai Ke Tujhse Koi Gila Hai HaMein Koi,
Gila Apni KisMat Se Jisne Har Mod Par AazMaya Hai Mujhe,

Tune Deni Chahi Har Khushi Mujhe Phir Bhi Na Jaane Kyon,
Kuch Anchahe Khwaabone Rone Pe Majboor Kiya Hai Mujhe,

Meri Har Dua Ab Aati Hai Bas Teri Hi Jaanib Jaan-E-Man,
Khush Rahe Tu Sada, Khuda Ne Bas Yehi Bolte Suna Hia Mujhe"

Wah Wah...kya likha hai aapne.
iss nazm ki kai lines dil ko chu jaati  hai..
bahut ache Applause Applause Applause


Thanks a lot khwaish ji
i m really hapy to get replies of such great poets like you and all Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: June 24, 2008, 03:01:10 AM »
Applause Applause :clap:anjel ji


THanks a lot baadal jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

Baadal
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:47:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer