~~"TU KISS JAHAAN ME KHO GAYA"~~

by k.shael on February 12, 2009, 10:58:30 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2111 times)
k.shael
Guest
Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2009, 10:59:01 AM »
Tu to chala gaya hai lekin yaqenn nahi aata ki ye
Mere saath kya se kya ho gaya…

Ham to rote rahenge ta-umar beete dino ki yaad me
Hasna to hothon ke liye gunaah ho gaya…

Sitara ek toota falak se au raise kho gaya, jaise daaman
Me laga daag ashqon se dho gaya…

Ek jaljala aaya aisa meri zindagi me ki sahil pe aake
Meri kashti ko doobo gaya...

Aab to jam-e-mehfil me gujregi zindagi apni tu to
Jaane kiss jahaan me kho gaya…

Shally.
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 12, 2009, 11:03:06 AM »
Bohot Khoob Shally
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2009, 11:09:00 AM »
Bohot Khoob Shally

Shukriya Celmira Dear,

Aacha lagta agar aap bhi kuch likhti

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2009, 11:12:52 AM »
Bahoth qoob shally acha din ba din dard paida hota ja raha hai shayari me apki !! Waise jo bhi apse aisa kar gaya uska afsos na karo wo ayega eak din !! kaise ayega niche ashar me padlo !!

Uska takkabor kissi din is qadar toot jayega !!
aaj tumhe thukrane wala kal gutno ke bal ayega !!

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: February 12, 2009, 11:14:16 AM »
Tu to chala gaya hai lekin yaqenn nahi aata ki ye
Mere saath kya se kya ho gaya…

Ham to rote rahenge ta-umar beete dino ki yaad me
Hasna to hothon ke liye gunaah ho gaya…

Sitara ek toota falak se au raise kho gaya, jaise daaman
Me laga daag ashqon se dho gaya…

Ek jaljala aaya aisa meri zindagi me ki sahil pe aake
Meri kashti ko doobo gaya...

Aab to jam-e-mehfil me gujregi zindagi apni tu to
Jaane kiss jahaan me kho gaya…

Shally.

Bohat Khoob shally as Qadeer said u are really writing well in Dard section.  Clapping Smiley Clapping Smiley

Dard itna bayaan kar, ke tera dil sam_bhel jaye
Itna na bayaan kar, ke mera dum nikal jaye


                             -SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2009, 11:16:56 AM »
Bahoth qoob shally acha din ba din dard paida hota ja raha hai shayari me apki !! Waise jo bhi apse aisa kar gaya uska afsos na karo wo ayega eak din !! kaise ayega niche ashar me padlo !!

Uska takkabor kissi din is qadar toot jayega !!
aaj tumhe thukrane wala kal gutno ke bal ayega !!

Qadeer Toopchi

Ise kehte hain dil_jale ke dil se nikli hui DUA  DOH
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2009, 11:17:13 AM »
Bahoth qoob shally acha din ba din dard paida hota ja raha hai shayari me apki !! Waise jo bhi apse aisa kar gaya uska afsos na karo wo ayega eak din !! kaise ayega niche ashar me padlo !!

Uska takkabor kissi din is qadar toot jayega !!
aaj tumhe thukrane wala kal gutno ke bal ayega !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Qadeer Ji,

Ki aapne apna keemti waqt diya,

Aur aapki 2 lines bahut hi aachi hai,


Shally.
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #8 on: February 12, 2009, 11:28:29 AM »
waah shally...very nice lines...and good presentation... Applause  Applause
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #9 on: February 12, 2009, 11:32:46 AM »
Dard itna bayaan kar, ke tera dil sam_bhel jaye
Itna na bayaan kar, ke mera dum nikal jaye

                             -SG-


Yaar sajid do line ke ashar ka tuition dedo yaar !! kya kamal ka mutala karte ho yaar sajid tum do line me !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 12, 2009, 02:16:17 PM »
waah waah Shally Behna, Kya Khoob Likha Hai,.

Ek Din Zaroor Aayega,.
Khuda Tujhe Teri Khushiyaan Lautaayega,.

Khush Raho, Aabaad Raho,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: February 12, 2009, 05:01:11 PM »
Bahut khoobsurat bayan hai shally.. Keep writing..


Tere Dard Ke Sailaab Ka Ehsaas Hai Mujhe Bhi Dost,
Dua Hai Tu Tair Aaye Inki Khamosh Toofani Lehron Se...


Ameen
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #12 on: February 13, 2009, 07:22:33 AM »
Tu to chala gaya hai lekin yaqenn nahi aata ki ye
Mere saath kya se kya ho gaya…

Ham to rote rahenge ta-umar beete dino ki yaad me
Hasna to hothon ke liye gunaah ho gaya…

Sitara ek toota falak se au raise kho gaya, jaise daaman
Me laga daag ashqon se dho gaya…

Ek jaljala aaya aisa meri zindagi me ki sahil pe aake
Meri kashti ko doobo gaya...

Aab to jam-e-mehfil me gujregi zindagi apni tu to
Jaane kiss jahaan me kho gaya…

Shally.

WAH SHALLY , BAHUT HI KHOOB

JASBIR SINGH
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2009, 01:56:53 PM »
Bahut khoobsurat bayan hai shally.. Keep writing..


Tere Dard Ke Sailaab Ka Ehsaas Hai Mujhe Bhi Dost,
Dua Hai Tu Na Tair Aaye Inki Khamosh Toofani Lehron Se...


Ameen

NA TAIR AAYE... Feared.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: February 13, 2009, 04:37:04 PM »
NA TAIR AAYE... Feared.

Oops. sorry...
corrected..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:34:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer