Tujh ko paa kar bhi kho diya humne...!!

by Talat on February 01, 2007, 11:35:28 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 10665 times)
paani
Guest
«Reply #15 on: February 05, 2007, 05:58:24 AM »
Quote from: "Talat"
Samajh kar bhi na samajh paaye tujhe hum
Jaane anjaane tera dil dukha diya humne

Tune to sada rakha tha palkon par saja kar
Khud ko us muqaam se gira diya humne

Mohabbat ek naam hai aitemaad ka, lekin
Mohabbat ko apni ruswa kar diya humne

Lafzon ke zakhm bharte nahin hain kabhi
Phir bhi kyun tujhe yoon zakhm diya humne

Umr bhar ka yeh dukh dil main basa liya
Tujh ko paa kar bhi aaj kho diya humne


Wallah talat

Tamam mukhtalif aadaton ki aadat hai muze teri
youn lafzon ke zakhm dena teri aadat to nahi.!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
humne chod diya .. by sweet_gal in Shayri-E-Dard
Chod diya humne... by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
Kho Diya Ek Aur Sher-e-Arab Humne,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Humne Apna Sab Kuch War Diya by sonu_4181 in Shayri-E-Dard
Humne phool diya tha khoobsorat gulab ka. by pawan16 in Miscellaneous Shayri
salil2002
Guest
«Reply #16 on: February 05, 2007, 07:52:27 AM »
nice one talat

main saath hoon tere phir tarasti kyun hai ye aankhen
beet gaya yaadon ka saawaan phir barasti kyun hai ye aankhen
teri aankhon kii ek paheli se anjaan hoon main
jab jaane ko kehi hain toh phir rasta delhti kyun hai ye aankhen
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: February 05, 2007, 07:30:53 PM »
Quote from: "paani"
Quote from: "Talat"
Samajh kar bhi na samajh paaye tujhe hum
Jaane anjaane tera dil dukha diya humne

Tune to sada rakha tha palkon par saja kar
Khud ko us muqaam se gira diya humne

Mohabbat ek naam hai aitemaad ka, lekin
Mohabbat ko apni ruswa kar diya humne

Lafzon ke zakhm bharte nahin hain kabhi
Phir bhi kyun tujhe yoon zakhm diya humne

Umr bhar ka yeh dukh dil main basa liya
Tujh ko paa kar bhi aaj kho diya humne


Wallah talat

Tamam mukhtalif aadaton ki aadat hai muze teri
youn lafzon ke zakhm dena teri aadat to nahi.!!!!!


Bohot shukriya Paani :D  Thats a good one !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #18 on: February 05, 2007, 07:36:24 PM »
very  nice Salil.........  Paani
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: February 05, 2007, 07:38:06 PM »
Quote from: "salil2002"
nice one talat

main saath hoon tere phir tarasti kyun hai ye aankhen
beet gaya yaadon ka saawaan phir barasti kyun hai ye aankhen
teri aankhon kii ek paheli se anjaan hoon main
jab jaane ko kehi hain toh phir rasta delhti kyun hai ye aankhen


bohot khoob Salil....


Jaane kitne sawan jaane patjharh kitne
Mausam beete, maah-o-saal beete hain
Dil ek muqaam par ruk gaya barson se
Dhadkanen hain lekin, zinda nahin hain !!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #20 on: February 05, 2007, 07:41:21 PM »
nice again  Talat.............
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: February 05, 2007, 08:04:47 PM »
Nice talat ji..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: February 05, 2007, 08:43:22 PM »

Is Barish Mein Mujhe Tera Pyaar Bhi,
Kachhi Mitti Ki Maanind Laga
Ke Jaise
Chand Lamhon Ki Inayaton Ke Baad,
Zameen Ko Sara Saal
Pyasa Rehna Hai...
* * * * *
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #23 on: February 06, 2007, 04:44:55 AM »
thanx angel n Talat

bahut good likha hai sabhi ne
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: August 28, 2007, 06:44:34 PM »
Thanks Waheed, Angel and Sam...!!

Very nice Angel from you Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: September 22, 2008, 07:32:38 PM »
Thankyou ! Yoindia
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:32:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer