tujhe bhulaane ki koshish... Intezar !

by Intezar on March 06, 2013, 02:00:40 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2880 times)
Intezar
Guest

khud ko teri nisbat se bachaane ki koshish bahut ki
aye yaar humne tujhe bhulaane ki koshish bahut ki

Lahoo se likhi thi har tehreer teri, raakh na huyi
tere har khat ko humne jalaane ki koshish bahut ki

sakht hai asar teri sanso ka, kaise ma’doom kare
in laboN se har naqsh mitaane ki koshish bahut ki

mukammal na huyi kanaaro par taameer ishq ki
humne ret par khwaab sajaane ki koshish bahut ki

phir na khuli aankhe  jo soya uska khwaab lekar
maut ki neend se usne jagaane ki koshish bahut ki

sab talaf hai ye deeda-e-tar baad mere Intezar
ek muddat se unhe ye bataane ki koshish bahut ki…!

Shukriya
Intezar !


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 06, 2013, 02:13:16 AM »
Waah Waah Waaah...

Bahut Bahut Khooooob Intezaar Ji..

Kya kehne, Har Ashaar Lajawaab

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: March 06, 2013, 02:18:21 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: March 06, 2013, 04:47:51 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah kyaa baat hai bhaai... bahut bahut khoob likha hai....!!!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: March 06, 2013, 07:21:04 AM »
sukrya
Intezar !

janaab aapko hum sukriya kahte hain itni khubsurat nagme ke lie

behad khoob aur umda kalaam kahi hai aapne aur yahi to hai aapka kamaal
lajawaab kalaam ji
dili daad aur mubarakbaad--

suna tha ke Intezar ka fal meetha hota hai, janaab aaj to dekh bhi lia humne tongue3

ab se itna Intezar na karwana aap

khus rahie
aate rahie
god bless u dear
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: March 06, 2013, 08:41:32 AM »
wah wah
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: March 06, 2013, 12:32:42 PM »
ufffffffffffff intezaarrr kya mastam mast gazal likhi hai yaarrr....... ekdum dhamaka...... itne din baad aakar maza aagaya...... man to karta hai har gazal ka reply karun par ab likhne ki aadat hi kho gai...... bas kya kahun yaar bht bht mast likha hai sachhciiiiiiiiiiiii.......
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: March 06, 2013, 12:33:55 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob Thumbs UP
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: March 06, 2013, 01:06:33 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut bahut bahut hi khoob. har ek sher khoob the. padhkar bahut achcha laga. meri dili mubarakbad ko qubool kare.
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #9 on: March 06, 2013, 02:14:23 PM »

khud ko teri nisbat se bachaane ki koshish bahut ki
aye yaar humne tujhe bhulaane ki koshish bahut ki
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Lahoo se likhi thi har tehreer teri, raakh na huyi
tere har khat ko humne jalaane ki koshish bahut ki
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
sakht hai asar teri sanso ka, kaise ma’doom kare
in laboN se har naqsh mitaane ki koshish bahut ki
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
mukammal na huyi kanaaro par taameer ishq ki
humne ret par khwaab sajaane ki koshish bahut ki
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
phir na khuli aankhe  jo soya uska khwaab lekar
maut ki neend se usne jagaane ki koshish bahut ki
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
sab talaf hai ye deeda-e-tar baad mere Intezar
ek muddat se unhe ye bataane ki koshish bahut ki…!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya
Intezar !


WONNNNNNNDDDDDDDEEEEEEEEERRRRRRFFFFFFFFFUUUULLLLL LLL!!!
LAJWAB ,,HAR ASHAAR PE DAAD..
EK RAU TO BANTA HAI....
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: March 06, 2013, 02:20:37 PM »
Just awesome gazal......... Hazarondaad aur mubarkbaad ....aur ek rau bhi is lajawab kalaam ke liye
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: March 06, 2013, 02:26:42 PM »
waah , Intezar saheb.Kya khubsurat kalaam pesh kiya hai.
Tabiat khush kar di. bahut mubarakbaad aur daad.HASAN
Logged
khujli
Guest
«Reply #12 on: March 06, 2013, 03:47:33 PM »

khud ko teri nisbat se bachaane ki koshish bahut ki
aye yaar humne tujhe bhulaane ki koshish bahut ki

Lahoo se likhi thi har tehreer teri, raakh na huyi
tere har khat ko humne jalaane ki koshish bahut ki

sakht hai asar teri sanso ka, kaise ma’doom kare
in laboN se har naqsh mitaane ki koshish bahut ki

mukammal na huyi kanaaro par taameer ishq ki
humne ret par khwaab sajaane ki koshish bahut ki

phir na khuli aankhe  jo soya uska khwaab lekar
maut ki neend se usne jagaane ki koshish bahut ki

sab talaf hai ye deeda-e-tar baad mere Intezar
ek muddat se unhe ye bataane ki koshish bahut ki…!

Shukriya
Intezar !



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #13 on: March 06, 2013, 05:19:02 PM »

khud ko teri nisbat se bachaane ki koshish bahut ki
aye yaar humne tujhe bhulaane ki koshish bahut ki

Lahoo se likhi thi har tehreer teri, raakh na huyi
tere har khat ko humne jalaane ki koshish bahut ki

sakht hai asar teri sanso ka, kaise ma’doom kare
in laboN se har naqsh mitaane ki koshish bahut ki

mukammal na huyi kanaaro par taameer ishq ki
humne ret par khwaab sajaane ki koshish bahut ki

phir na khuli aankhe  jo soya uska khwaab lekar
maut ki neend se usne jagaane ki koshish bahut ki

sab talaf hai ye deeda-e-tar baad mere Intezar
ek muddat se unhe ye bataane ki koshish bahut ki…!

Shukriya
Intezar !



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause
Logged
hemantparakh
Guest
«Reply #14 on: March 06, 2013, 06:45:31 PM »
वाह बहोत खूब
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:34:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer