reven
Guest
|
kis sey kahengey ab ham jakar kisko dard sunayengey tum to ho khamosh kahi gum kis sey milney jayengey
najro ko pardey mein chhipa kar tum to hamko bhul gaye kisko haaley dil batalaye kisko zakhm dikhayengey
sachchey jhuthey dost bana kar tum to ham ko bhul gaye kisko kahey ham apna sathi kiska sath nibhayengey
ujli raushan raahey chun kar tum to hamsey dur gaye apney andherey kono mein ham ab tanha reh jayengey
rokey bhi to kaisey rokey tumney diya koi haq hi nahi warna ham keh detey tumsey TUM BIN HAM MAR JAYENGEY
REVA REVA REVA.........hOOOOOOOO REVA REVA REVA
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
desikuri
Guest
|
|
«Reply #1 on: May 03, 2005, 11:18:51 AM » |
|
wah reva..... kya likha hai.............. nice......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anand_ajanta
Guest
|
|
«Reply #2 on: May 03, 2005, 11:44:07 AM » |
|
zakhm dene wale bhi kabhi dava dee hai intezar karna cahiye nafrat karne wale pyar bhi karte hai unko pyar karte rehna chahiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #3 on: May 05, 2005, 04:21:34 PM » |
|
gam ki tasweerey bana kar chehra khud ka khojna ab yahi hai kaam mera khud mein khud ko khojna
char lafjo mein kahani likh k ik insan ki koshishey samjhu hakikat ilm o iman ki
sach ki pathrili jami aur jhuth ka faila gagan dhundhta hun apni jagah bankey mai behta pawan
ankh ka kajal nahi sach - ankh ka moti nahi sach ankho mein sapney sajaye dhundhata hun ek sach
janey kya sey admi bankar diwana ho gaya hun kuchh sey kuchh hokar na janey kis jahhan mein kho gaya hun
pahley tanha rehtey khush tha -sath tanhai to thi talkh yadey paas thi aur sath rusawai to thi
log milney kya lagey mai ab akela ho gaya hun pehley tha duniya mein mai- ab mai bhi duniya ho gaya hun
kya kahun kis kis sey puchha aur kisney kya kaha kab kaha kaisey tha dhunda kyu mujhey mai na mila
koi to mujhko batata -mai bhi ik inasan hun hai kaha mera basera - kiska mai jahhan hun
reva reva reva ho ooooooooooo reva reva reva
|
|
|
Logged
|
|
|
|
fakharenaveed
Guest
|
|
«Reply #4 on: May 05, 2005, 09:03:17 PM » |
|
Logo ne socha ke tumse bichar kar hum mar jayege, Magar unhe kya pata ke abhi abhi to humne jena sikha hai!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #5 on: May 10, 2005, 05:46:55 AM » |
|
mai karta nahi ho jati hai ..........sab seekh teri kho jati hai jiney ki sabab merey MAULA...........ho jati hai ,ho jati hai
karta hai to kar muaf gunah ......kar paye kar insaf gunah sab teri nasihat hai yaad magar......... ho jati hai , ho jati hai
mai roj ibadat karta hun ......mai roj hi masjid jata hun hun tera namaji dil sey magar .....ho jati hai ,ho jati hai
teri seekh ko kitna yaad rakhu teri manu ya teri duniya jiu jiney ka gunah bhi mai karta nahi ,ho jati hai ,ho jati hai
ALLAHH merey tu sab jaaney aisey hi kaha tujhey sab maaney merey MALIQ merey MAULA itna bata, kyu hoti hai, kyu ho jati hai
tu deta to hai sikh magar tu karkey amal dikhlata nahi jina to tu sikhlata hai par ji k kabhi dikhalata nahi
jina kitna mushkil hai KHUDA aa dekh jara khud kar k fana koi bhi gunah khud karta nahi .......bas hoti hai ,ho jati hai
sabko hai muhhabbat tujhsey bahot ALLAHH merey tu janey hai koi be adabi karta nahi teri janib merey MAULA.....ho jati hai ...ho jati hai
hai shikawey hajaro hi dil mein ..hai tujhsey shikayat mujhko bahot mai fir bhi shikayat karta nahi .......ho jati hai ho jati hai
kuchh jasba e khalish ......kuchh safar behisab ......kuchh gunah pakijah ......ek inasan ................jahhan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #6 on: May 10, 2005, 07:01:26 AM » |
|
haar k jeet gaya mujhsey diwana mera bantey bantey ..bana..fasana mera
roj suntey they muhhabbat ka jaha hota hai ishk ney mujhsey magar chhina hai thikana mera
merey sahil sey batao jakar mera sach usko sunao jakar roj jalta hun jhulas jata hun dhup mein hai ashiyana mera
wo mery naaj uthaney k liye mujhsey hokar juda hai jiney laga usko achha nahi lagta sagar sheher mein uskey ana jana mera
ai merey yaar kasam du kaisey aaj tak mai tera haqdaar nahi tera daman khula hai duniya ko terey sagar ko hi darkaar nahi
ret k kuchh siyah panno pey mera sahil hai likhta naam mera roj likh kar wo mita deta hai janey kyu yaar wo fasana mera
chhin kar sara lahoo ankho ka sard moti najar wo karta hai meri lahro ko fana kar sahil tham leta hai laut jana mera
merey gam saarey chura leta hai aur badley mein kuchh bhi deta nahi hath khali hai merey dono hi kuchh nahi deta hai diwana mera
kuchh safar behisaab ............kuchh zindgi ek azaab.............kuchh hasartein nakubool ......bepanaahh ...aur ek insan ..................jahhan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #7 on: May 11, 2005, 01:13:48 PM » |
|
aap sab ko shukriya dosto aap ney reva ko pasand kiya aap ka istakbaal karta hun ...aatey rahiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #8 on: May 11, 2005, 04:21:28 PM » |
|
very nice work reven..........naveed........anand_ajanta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #9 on: May 12, 2005, 05:02:03 PM » |
|
apni marzi ka sitara hai mukkaddar mera merey hatho ka sawara hai mukkaddar mera
|
|
|
Logged
|
|
|
|
reven
Guest
|
|
«Reply #10 on: May 14, 2005, 05:03:53 AM » |
|
iss jalti hui ciggarete ko ek lash ka intejar hai fir bhi is par mujhey aitbaar hai jaise koi parwana shama par kurban honey ko beqarar hai waise hi meri sanso ko akhiri pehal ka intejar hai ek jindgi aur duji maut mera ciggarete aur mera sanam mujhey dono sey iktarfa pyar hai dekhey pehley kaun apnata hai mujhey dono ka intejar hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
isha_verma7
Guest
|
|
«Reply #11 on: May 14, 2005, 05:53:21 AM » |
|
hey u all r damn nice.....but reven this last one is just mind blowing....DAMN GOOD!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
fakharenaveed
Guest
|
|
«Reply #12 on: May 14, 2005, 06:04:01 AM » |
|
yeh pyar jo aap ko hai use kai nama do gi tum yeh jo anjna sa khumaar hai sue kia naam do gi tum
pyar tu kabhi aik s ziada s huwa nahin krta hai dost phir is awargi ko kai nama do gay tum
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rashi
Guest
|
|
«Reply #13 on: May 14, 2005, 06:04:54 AM » |
|
Kya likhate ho yaar. bahut dard hai dil me. Na tum shyar ho na hi shayar ke bhatije ho. tum to khuda ....................ke natije ho.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rashi
Guest
|
|
«Reply #14 on: May 14, 2005, 06:05:17 AM » |
|
Kya likhate ho yaar. bahut dard hai dil me. Na tum shyar ho na hi shayar ke bhatije ho. tum to khuda ....................ke natije ho. :? :oops: :
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|