TUM GHAR LOUT AANA...SOUDAGAR

by soudagar on July 23, 2013, 01:49:31 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2166 times)
soudagar
Guest
jab dhalti shaam mein dil ghabaraye , tum ghar lout aana
jab dil mein koi baichini se badh jaye, tum ghar lout aana

palkein bichhaye aaj bhi intzar mein rehti hai teri maa
tujhe kabhi bhule se maa ki yaad aaye, tum ghar lout aana

bachpan guzara tha jis aangan mein  tumne khel khel kar
jo yaad kr us aangan ko ashk beh jaye, tum ghar lout aana

maa aaj bhi bana kar rakhti hai teri pasand ke pakwan
bahar khane se jo bhukh na mit paye, tum ghar lout aana

rakhi ka dhaga le bhai ke intzar mein gumsum baithi hai behna
gar yeh dhaga apnepan ka ehsas dilaye, tum ghar lout aana

kandhe bitha jisne dunia dikhai wo aaj bhi teri raah takte hain
jab dunia ki chakachoundh se dil bhar jaye,tum ghar lout aana

maa baba ki zuban kuch na kahe par nam aakhein sab kehti hai
in aansuon ki jab tumhe qadr samjh aaye , tum ghar lout aana

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Woh kyoun lout kar aaj ghar jaa raheyn hain? by abdbundeli in Ghazals « 1 2 3 4  All »
Panchi Ko Ghar Aana Hi Tha,. by Azeem Azaad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Mujhe na tum yaad aana......... Soudagar by soudagar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Main naa Lout ke AAounga....soudagar by soudagar in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
NAA LOUT KAR AAUNGA...SOUDAGAR by soudagar in Shayri for Dard -e- Judai
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 23, 2013, 01:56:21 PM »
waah waah laajawaab dheron daad aur blessings
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #2 on: July 23, 2013, 01:58:42 PM »
wah wah
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 23, 2013, 02:01:54 PM »
silently, ek rau le jaaiye aap, jo bhi ghar se door hoN, unhe bahut chooyega ye kalaam aapka...
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2013, 02:25:16 PM »
jab dhalti shaam mein dil ghabaraye , tum ghar lout aana
jab dil mein koi baichini se badh jaye, tum ghar lout aana

palkein bichhaye aaj bhi intzar mein rehti hai teri maa
tujhe kabhi bhule se maa ki yaad aaye, tum ghar lout aana

bachpan guzara tha jis aangan mein  tumne khel khel kar
jo yaad kr us aangan ko ashk beh jaye, tum ghar lout aana

maa aaj bhi bana kar rakhti hai teri pasand ke pakwan
bahar khane se jo bhukh na mit paye, tum ghar lout aana

rakhi ka dhaga le bhai ke intzar mein gumsum baithi hai behna
gar yeh dhaga apnepan ka ehsas dilaye, tum ghar lout aana

kandhe bitha jisne dunia dikhai wo aaj bhi teri raah takte hain
jab dunia ki chakachoundh se dil bhar jaye,tum ghar lout aana

maa baba ki zuban kuch na kahe par nam aakhein sab kehti hai
in aansuon ki jab tumhe qadr samjh aaye , tum ghar lout aana

Bhut acha likha hai ap nay
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP
Dil ko shu gai ap ki yeh poem
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: July 23, 2013, 03:03:52 PM »
jab dhalti shaam mein dil ghabaraye , tum ghar lout aana
jab dil mein koi baichini se badh jaye, tum ghar lout aana

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

palkein bichhaye aaj bhi intzar mein rehti hai teri maa
tujhe kabhi bhule se maa ki yaad aaye, tum ghar lout aana

 tearyeyed tearyeyed miss my mom  .... touching sher

bachpan guzara tha jis aangan mein  tumne khel khel kar
jo yaad kr us aangan ko ashk beh jaye, tum ghar lout aana

yaad bht aata hai us ghar ka aangan baba
tune jis ghar se mujhe bidaa kiya tha
 sad5 sad5


maa aaj bhi bana kar rakhti hai teri pasand ke pakwan
bahar khane se jo bhukh na mit paye, tum ghar lout aana

mom k banaye khane ki yaad dila di saudagar

rakhi ka dhaga le bhai ke intzar mein gumsum baithi hai behna
gar yeh dhaga apnepan ka ehsas dilaye, tum ghar lout aana

rakhi ka tyohaar paas hai... aur hum dur bht dur bhaiya....

kandhe bitha jisne dunia dikhai wo aaj bhi teri raah takte hain
jab dunia ki chakachoundh se dil bhar jaye,tum ghar lout aana

hmmmmmmmmm.......... sad7 sad7 sad7

maa baba ki zuban kuch na kahe par nam aakhein sab kehti hai
in aansuon ki jab tumhe qadr samjh aaye , tum ghar lout aana

 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed

saudagar  hats off..... itne ache mood ki band baja di tumne.....
ab tumko hi sahi bhi karna padega ...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: July 23, 2013, 03:21:17 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
ek dam lajawaab peshkash soudagar ji. bahut dil ko chhooo gayi yeh rachna aapki. sabhi ashaar ne aankhein nam kar diye. aapko hazaron dili daad is rachna par aur ek rau bhi...
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #7 on: July 23, 2013, 06:20:25 PM »
sach me soudagar ji... ghar ki yaad dila di yaar aapne.. sad5

missing everything..... maa baap se, ghar se door rehne ka gham humse behtar aur koun jaan sakega... jo ek anjaan sehar me bilkul akela ho bilkul akela... meri tanhayi ko maano jaise aansoon ki sougaat mil gayi ho...

but realy heart touching soudagar ji..

Applause Applause
Applause Applause
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #8 on: July 23, 2013, 06:48:43 PM »

waqai lajaawab kardiya apne soudagar ,

khhushiyon ka sauda gham se kardiya ye kalaam kehker,

taish ji ne Rau diya main thodi der ruk ker deta hun..

bemissal kamaal kamaal ,ghazab kahin hai.


Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: July 23, 2013, 08:37:59 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut sundar rachna, Soudagar bhaai.. chhoo gayi aapki yeh rachnaa hamaare dil ko... bahut bauhut pyaaraa likha hai aapne, hum me se aise bahut log hain jo kaam kaaj ke kaaran ghar se duur hain aur apne maataa pitaa ko waqt nahi de paate, ghar se bahut duur rehte hain aur saal mein bas ek do baar hi mumkin ho paataa hai milne jaanaa...aapki yeh rachnaa dil mein andar tak asar kar gayi... !!! bahut bahut khoob janaab....!!!

 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #10 on: July 23, 2013, 10:55:51 PM »
 Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2013, 11:05:00 PM »
BAHUT KHOOB SOUDAGAR JI
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: July 23, 2013, 11:11:43 PM »
waah waah Saudagar jee, bahut hi khoob, ham jaise ghar se baahar rehne waaloN ke liye kaafi emotional kalaam hai. DheroN daad aur ek Rau qubool kareiN meri taraf se.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #13 on: July 23, 2013, 11:57:38 PM »
So Nice.
Logged
nashwani
Guest
«Reply #14 on: July 24, 2013, 01:41:27 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob soudagar jee..ekdum dil me utar gayi ye ghazal apki..mera to haal hi bayaan kar diya..dili daad deta hun iss behatareen kalaam pe..happy9

Hats off to you!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:26:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer