Tum Ko Aana Hoga....

by Aryaan on August 09, 2005, 03:38:48 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4173 times)
Aryaan
Guest


Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samajhna Keh Tumse Bicharh Ke Khush Hain
Humein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaunga
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uth-na Hai Janaaza Kaandha Tau Dena Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab Tau Aryaan Tujhe  Jaana Hoga....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum Ko Aana Hoga.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
tumko aana hoga by amit_is_always_cool in Shayri-E-Dard
lot aana....... by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum Ko Aana Hoga...! by anjaansaya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri Tanhaai Mitane Tumhen Aana Hoga by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: August 09, 2005, 05:30:52 PM »
very  nice  aryan.........................bahot  khoob.......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: August 09, 2005, 06:53:30 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice  aryan.........................bahot  khoob.......

Thanks Waheed....
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: August 09, 2005, 07:16:18 PM »
bahut khoob Aryaan ji............................................... ..............

bahut gum seh liye tumne
abb to tumhein muskurana hoga

dil pe lagi chot dard karti hai
isse behlane ka koi to bahana dhond lana hoga

shayad woh kush rahega tujhe bhulakar
uski khushi ke liye aye-dost tumhein bhi usse bhulana hoga

zindagi to chalti ka naam hai
jeevan ke lambe raaston par chalte jaana hoga
Logged
pandit
Guest
«Reply #4 on: August 09, 2005, 07:39:40 PM »
Quote from: "nikki"
bahut khoob Aryaan ji............................................... ..............

bahut gum seh liye tumne
abb to tumhein muskurana hoga

dil pe lagi chot dard karti hai
isse behlane ka koi to bahana dhond lana hoga

shayad woh kush rahega tujhe bhulakar
uski khushi ke liye aye-dost tumhein bhi usse bhulana hoga

zindagi to chalti ka naam hai
jeevan ke lambe raaston par chalte jaana hoga


wah niki ji......
kya baat hai ji............................................... .... :wink:
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: August 09, 2005, 08:03:27 PM »
thanx a lot Pandit........................................... ..............
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: August 09, 2005, 09:27:36 PM »
Quote from: "nikki"
bahut khoob Aryaan ji............................................... ..............

bahut gum seh liye tumne
abb to tumhein muskurana hoga

dil pe lagi chot dard karti hai
isse behlane ka koi to bahana dhond lana hoga

shayad woh kush rahega tujhe bhulakar
uski khushi ke liye aye-dost tumhein bhi usse bhulana hoga

zindagi to chalti ka naam hai
jeevan ke lambe raaston par chalte jaana hoga

Bohat shukriya Nikki... aur bohat khoob likha hai aap ne bhi.....
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2005, 07:03:26 AM »
Bahut badiya ARyaan n' nikki ji.........hamesha ke tarah very nice......
and Aryaan ji aap ka thoda senti bhi lagaa!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: August 10, 2005, 07:21:59 AM »
Thank you so much Isha.......................
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2005, 08:57:03 AM »
Bhut hi khoobsurat likha hai Aryaan ji aur ,,,,,,,,,,,Nikki ji ........

abh tuh aakhri wakt hai humara tumhe aana hoga
meri arthi ko deke kandha apna farj nibhana hoga
Logged
amrita
Guest
«Reply #10 on: August 10, 2005, 09:32:13 AM »
Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay

Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya


Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay

Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay

Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga

Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
(nm)

 aryaan...........that was very nice
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2005, 02:04:49 PM »
Bohat bohat shukriya Sandhaya & Amrita........
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: August 10, 2005, 02:38:40 PM »
Quote from: "Aryaan"


Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samajhna Keh Tumse Bicharh Ke Khush Hain
Humein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaunga
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uth-na Hai Janaaza Kaandha Tau Dena Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab Tau Aryaan Tujhe  Jaana Hoga....


Its a beauty Aryaan..... just superb..... !!!!!

Nice ones by Nikki... Sandhaya and Amrita... !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2005, 03:14:13 PM »
Quote from: "Talat"

Its a beauty Aryaan..... just superb..... !!!!!
Nice ones by Nikki... Sandhaya and Amrita... !!!

Bohat shukriya Talat......
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: August 12, 2005, 03:33:54 PM »
thanx Talat sis............................................
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:59:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer