Tum kya jano.........

by TOUCHY on March 25, 2006, 05:26:40 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 817 times)
TOUCHY
Guest
Tum kya jano yadon mai kho kar ankahin kitna roti hain.
dil mai apno may dard samo kar ankhain kitna roti hain.

tum kia jano sawan ka mosam kitni agg lagata hai.
barish ki bondoon ko chu kar ankahin kitna rotin hain.

ab to choti si bat par bhi yeh dil bhar sa jata hai.
halki si dil ko lagti hai thokar ankahin kitna rotin hian.

Ab to yeh jina bhi hum ko koi bojh sa lagta hai.
din bhar is baar ko dho kar ankahin kitna rotin hain.

zakham zakham hain ankhain meri maazi ki parchai se
apnay under lahoo dobo kar ankhain kitna rotin hain.

tum ek dunya nayi gaye ho
tumko kya ehsaas.
in rahoon mai tanha si ho kar ankhain kitna rotin hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
na tum jano na hum by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
tum bhi jano by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
tum kia jano..... by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
.::TUM KYA JANO::. by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ghayal ki peeda kya jano... mann by mann.mann in Shayri-E-Dard
TOUCHY
Guest
«Reply #1 on: March 25, 2006, 05:27:59 AM »
Mere dost zindagi bhar mujhe yun hi pyar karna,
Main tujhe dagha na doonga mera aitbaar karna.

Abhi meri kismaton ka hai sitara gardhishon mein,
Mere dost kuch dinnon tak mera intizar karna.


Ab tod do yeh shishe mere kaam ke nahin hain,
Mere pas jab nahin tu bhala kya shringar karna.

Yehi aarzoo hai ab toh mere baad zindagi mein,
Ke tu phir kabhi kissi se na nigaah char karna.
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #2 on: March 25, 2006, 05:29:16 AM »
Jaane Kya Sochkar Lehrein Sahil Se Takraakar Laut Jaati Hai,
Samajh Mein Nahi Aata Wo Kinaare Se bewafaai Karti Hai,
Yaa Laut kar Milne Ka Waada Nibhaati Hai!
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #3 on: March 25, 2006, 05:30:48 AM »
"meray wajood ki mujh mein TALASH chor gaya
jo poori na ho kabhi aisi AAS chor gaya

woh chahtoon ki talab mann ki PAYAAS chor gaya
mujay bana ke woh ek zinda LAASH chor gaya

yahi KARAM NAWAZII us ki mujh peh kam hai kiya
ke khud tu door hai YAADIN tu paas chor gaya

jo khawahishein thi kabhi HASRATOON mein dhaaL gayein ab
meray LABOON mein woh ek lafaz KAASH chor gaya

yeh mera zarf hai ek rooz us ne MUJh se kaha
ke Aam logoon mein ek TUJh ko KHAAS chor gaya

BAHAROON se mujhey isi liye tu NAFRAT hai
inhi ROTUN mein mujhey woh UDAAS chor gaya

meray deewaney DIL ko woh faqat itna keh kar WaSeE*
hai AASHIQUI ka safar kis koo RAAS chorgaya
Logged
hameeda
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2011, 01:15:23 PM »
bahut khoob ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: February 13, 2011, 03:17:59 PM »
Bahut khoob touchy ji...
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: February 13, 2011, 03:33:30 PM »
very nice touchy ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 12:22:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer