-----/// Tum kyun chale gaye ///----- Hriday

by ~Hriday~ on January 19, 2013, 04:56:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4406 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW

kuch sapne dikhaa ke suhaane
tum kyun chale gaye
chal ke kuch pal saath mere
tum kyun chale gaye

wo hasnaa, wo khilkhilaanaa
wo muskuraanaa tumhaaraa
wo baatein, wo raatein
wo mulaaquaatein tumse meri
bhulaa ke har wo baat
tod ke har rishtaa mujhse
chhod ke tanhaa mujhe
tum kyun chale gaye

main
jo sirf tumhaare liye hi
jee rahaa thaa
main
jo sirf tumhe dekh ke
muskuraataa thaa
main
jo sirf tumhaare hone se
hi kuch thaa
tod ke har naataa mujhse
tum kyun chale gaye

jaanaa thaa jaate magar
khataa bataa ke jaate
ek aakhri baar mil ke
mujhe seene se lagaake jaate
deke aakhri khushi mujhe
thodaa muskuraa ke jaate
yun bin bataaye mujhe kuch
tum kyun chale gaye

wo waade, wo kasme
jinhe pooraa hote dekhnaa thaa
wo khwaab jinko sach
hote huye dekhnaa thaa
kuch armaan dil ke
jo bas dil me hi reh gaye
bhulaake har wo cheez
tum kyun chale gaye

tumhe to maaloom thaa ki
tum bin koi nahi meraa
tumhe to maaloom thaa
saanse ruk jaati hain tum bin
tumhe to maaloom thaa ki
dhadkane meri tum se thi
sab jaante the tum
magar kyun, kyun tum chale gaye

mujhe khudse judaa kar ke
meri zindagi badal ke
kyun chale gaye
tum.... kyun chale gaye....


*****HRIDAY*****


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: January 19, 2013, 06:40:19 PM »
Kapil Jee Aadaab!

Kia baat hai janab... Badi achchi nazm kahi hai janab tum
kyuN chale gaye.. ?

Kafi achche ahsaas O khayaal rahe aur kafi umdaa bayaaN bhi
kiya hai aapne... Usual Smile

Is khoob nazm par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile                 

Logged
@Heer@
Guest
«Reply #2 on: January 19, 2013, 06:49:00 PM »
tumhe to maaloom thaa ki tum bin koi nahi meraa tumhe to maaloom thaa saanse ruk jaati hain tum bin tumhe to maaloom thaa ki dhadkane meri tum se thi sab jaante the tum magar kyun, kyun tum chale gaye mujhe khudse judaa kar ke meri zindagi badal ke kyun chale gaye tum.... kyun chale gaye....

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #3 on: January 19, 2013, 09:01:39 PM »
wah kya baat hai, very nice ji..
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #4 on: January 20, 2013, 12:54:05 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: January 20, 2013, 04:46:57 AM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: January 20, 2013, 09:02:53 AM »
bahut bahut shukriyaaa Parwaaz ji.....!!!

Kapil Jee Aadaab!

Kia baat hai janab... Badi achchi nazm kahi hai janab tum
kyuN chale gaye.. ?

Kafi achche ahsaas O khayaal rahe aur kafi umdaa bayaaN bhi
kiya hai aapne... Usual Smile

Is khoob nazm par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile                 


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: January 20, 2013, 11:32:31 AM »
excellent
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: January 22, 2013, 06:50:18 AM »
bahut bahut shukriyaaa Heer ji.....!!!

tumhe to maaloom thaa ki tum bin koi nahi meraa tumhe to maaloom thaa saanse ruk jaati hain tum bin tumhe to maaloom thaa ki dhadkane meri tum se thi sab jaante the tum magar kyun, kyun tum chale gaye mujhe khudse judaa kar ke meri zindagi badal ke kyun chale gaye tum.... kyun chale gaye....

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: January 23, 2013, 02:55:43 PM »
bahut bahut shukriyaaa Ritesh ji.....!!!

wah kya baat hai, very nice ji..
Logged
Hashim Prince
Guest
«Reply #10 on: January 24, 2013, 07:18:16 AM »
Wah Hridya Ji....bahut hi khoobsurat composition hai aapka...Har line chun chun kar likhi gayi hai... Tum kyuon chale gaye....Sir Ji...aapke ek fan ki taraf se daad kabool kijiye tahe dil se....


Na zikr karo unka na baat kisi gair ki ho
Khamoshiya hi rehne do is baar mera dil toota hai

Hai kise chah roshni ki ye shama kis ne jalayi hai
Taarikiyo ko chaane do is baar mera dil toota hai

Ek umeed dil me basayi thi ab baki nahi hai kuch bhi
Tanha zeest guzarne do is baar mera dil toota hai

Bohot uthaye naaz unke aur sahi saari ghutkiya bhi
Humse na ab koi aas rakho is baar mera dil toota hai

Apno ne hume thukraya hai gair bhala apnaye kyun
Mat puchoo mujhse haal mera is baar mera dil toota hai

Kyu mangu kisi se main panah kyu jau kisi ki chokhat pe
Aye Rab tujhi se hai gila ke is baar mera dil toota hai

Aasaar mere samje na mere gam ki hadh jaani
Ab nahi talab baaki koi mehfil ki is baar mera dil toota hai

Na udao yu meri hasi na dekho aisi nazro se
Main sach kehta hu tumse is baar mera dil toota hai

Mat pucho mujh se aye dosto kaise lagi ye chot mujhe
Bas itna jaan lo tum ke is baar mera dil toota hai

Na mujh se koi sawaal karo na jawaab ki koi tamanna rakho
Main kuch kehna ke kabil nahi is baar mera dil toota hai

Kyu cheda hai in afsano ko kya rakha hai in fasano me
Bandh kardo ab ye guftagu is baar mera dil toota hai

Piya nahi jaata hai mujh se ayyaam ki is talkhi ko
Lahed me mujhe ab so jaane do is baar mera dil toota hai

Dil ke har ek tukde se yahi ek sada bas aati hai
Rakh do kalam ko ki is baar mera dil toota hai

Logged
suman59
Guest
«Reply #11 on: January 24, 2013, 07:21:33 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

both hriday jee and Hashim Prince... bahut hi umda likha hai ... sabhash  Thumbs UP
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: January 31, 2013, 10:26:37 PM »
bahut bahut shukriyaaaa Miru ji.....!!!

Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: February 01, 2013, 03:03:03 PM »
bahut bahut shukriyaaa Bahukhandi ji....!!!

Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #14 on: February 01, 2013, 06:19:00 PM »
waah bohat khoob,............bohat c daad,..........
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:27:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer