nirbhay
Guest
|
Maine tumse wahi keh diya Jo tum suntey gaye jaan-e-jaana Abb sach much mujhe tum bhool jaana Warna badnaam kardega tumko ye zalim zamana Jaagti aakhon ke khwaab thi wo baatein Abb bhool jana wo mulakatein Acha nahi lagta tumhein ghum suna.na Mera roothba fhir tera manana Harr chooti chooti baat par fhi wo Tumhari kasmein khana Mai tumhein pyar karta hoon Aaisa ehsaas kiya maine Parr fhir bhi kehta hoon Abb tum mujhe bhool jaana Mai tumhein jee jaan se chahta hoon bardasht nahi hoga gar ungli uthaye tujhpe zamana Thokar nahi thes lagi hogi tere dil ko Mai chahta hoon tum mujhe bhool jaana Basar kar lena abb zindagi kaheen Mera khayal bhi apne zehan mein na laana Maine to dii hai khud ko saza kalapaani se badhkar Bass keh raha hoon dil par pather rakh kar Aye jaan-e-jaana “Tum Mujhe Bhool Jaana”!!!
~! nirbhay !~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #1 on: April 23, 2006, 04:07:05 PM » |
|
Maine tumse wahi keh diya Jo tum suntey gaye jaan-e-jaana Abb sach much mujhe tum bhool jaana Warna badnaam kardega tumko ye zalim zamana Jaagti aakhon ke khwaab thi wo baatein Abb bhool jana wo mulakatein Acha nahi lagta tumhein ghum suna.na Mera roothba fhir tera manana Harr chooti chooti baat par fhi wo Tumhari kasmein khana Mai tumhein pyar karta hoon Aaisa ehsaas kiya maine Parr fhir bhi kehta hoon Abb tum mujhe bhool jaana Mai tumhein jee jaan se chahta hoon bardasht nahi hoga gar ungli uthaye tujhpe zamana Thokar nahi thes lagi hogi tere dil ko Mai chahta hoon tum mujhe bhool jaana Basar kar lena abb zindagi kaheen Mera khayal bhi apne zehan mein na laana Maine to dii hai khud ko saza kalapaani se badhkar Bass keh raha hoon dil par pather rakh kar Aye jaan-e-jaana “Tum Mujhe Bhool Jaana”!!!
~! nirbhay !~ Superb Neer bhai.....Thats Brilliant
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: April 23, 2006, 05:15:11 PM » |
|
bahut khub , ....yun hi likhte rahe
with best wishes
ranju
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #3 on: April 23, 2006, 05:23:20 PM » |
|
Thanks Badnaam bhai...&...RanJu!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #4 on: April 24, 2006, 12:48:41 AM » |
|
Good One Nirbhay...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #5 on: April 24, 2006, 01:18:11 AM » |
|
Mujh Se Wafaa Nibhaana Tere Bas Mein Nahi Jaana Do Phool Bhi Sajaane Meri Qabr Par Na Aana Mere IshQ Ki HaQeeQat Tum Ne Kabhi Na Samjhi Mere Baad Yaad Karna Mere IshQ Ka Fasaana Dil Mein Basaate Hain Sab, Tumhein Rooh Mein Tha Basaya Tum Ne Hi Badal Daala Meri Rooh Ka Thikaana Ek Iltejaa Hai Tum Se Hai Choti Si Guzaarish Sab Kuch Hi Yaad Rakhna Bas Mujh Ko Bhool Jana Silah Maangta Hoon Unn Se Jo Khud Hi Hain Sawaali Mujhe Kya Silah De Ga Yeh Be-Reham Zamaana
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #6 on: April 24, 2006, 02:48:51 AM » |
|
Thanx Aryaan Bhai & Superb as ever!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #7 on: April 24, 2006, 02:58:15 AM » |
|
Mai jaanta hoon jafa-e-peshgi teri phitrat hai Jaana Bura to lageyga tumhein parr phir bhi mujhe bhool Jana
Mere armano kii cheekh pukar tumne suni nahi kabhie Aaur bhoolne ke baad unhein wapis na bulana
Palkon mein bithaya tujhe harr saaz mein gayaa Teri badnaami na ho, mai abb gaata nahi koi bhi gaana
Manzilein kuch aaur bhi milenge mah-o-anjum se parey Unko galey lagakar mujhko tum bhool hee jana
Bach kar chalna zamaney ki sakht dhoop mein aab baaQi ki umar Hanstii ankhon ko rulaa dega ye bedard zalim zamana!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #8 on: April 24, 2006, 10:40:54 AM » |
|
Abb mai bhi tumhein bhula kar Kaheen duniya daari mein kho jaunga Bhula dunga aasiQi saari Dinn bhar kaam karunga fhir raat ko so jaunga Dil lagi main fanaa hi gaya mai Abb dil kaheen kabhie nahi lagaunga Par dil mein reh gaya hai ehsaas tera Usko kaise mai bhulaunga? Tees mere bhi seene mein lagegi Jabb jabb tumko meri yaad jagegi Rona matt tum fhir cheekh cheekh kar Parr mai ghut -2 kar aansu kaise bahunga? Haan mai chahta hoon behad tujhe meri humnafas Tumhein aaur sirf tumhein hee mai chahunga Gar koi puchega bhi naam lekar tera mujhse Mai tumhein ek anjaan hee bataunga Par dil hee dil mein mai tumhein bahut chahuga Mai tumhein bahut chahunga…
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #9 on: April 24, 2006, 10:45:59 AM » |
|
kab tak yadd karu mai usko kab tak ashq bahau..... ya rub kuch to dawa kar k mai usko bhool jau...... her pal usse yadd kerta hu bus uski hi bate kerta hu ..... ya rub kuch to dawa ker k mai usse bhool jau...... uski hasi se hasti thi meri duniya k hoti thi subah uski surat dekh ker ..... ya rub kuch dawa ker k mai usko bhool jau..... na yaad rahe wo mujhko na mai kabhi usse yadd aau..... ya rub kuch to dawa ker k mai usse bhool jau.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #10 on: April 24, 2006, 11:32:45 AM » |
|
Iss dil mein laagi Jo teri chahat ki aag hai mai usko kaise bujhaun? be-inteha chahti ho tum bhi mujhe abb mai tumhein kasie bhool jaun? karun kaise main jatan, jo aag lagi hai, jahan lagi hai lagan abb kisi ka pyar paakar hee miteygee mere dil ki agan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #11 on: April 24, 2006, 02:52:03 PM » |
|
Kitni azeeyat se usne mujko bhulaya hoga Meri yaadon ne usko khoob rulaya hoga, Baat pe baat yuhin aankh jo teri bhari hogi Usne chehre ko bazuon main chuppaya hoga, Socha hoga usne din main kai baar mujko Naam reett par likh likh ker mera mitaya hoga, Jahaan mera zikr suna hoga usne kissi se Uski aankhon main aansoon to ayaa hoga, Hoke nidhaal meri yaadon se tune jana Meri tasveer par sar tikaya hoga, Raat ke bheegnay tak neend nahin ayi hogi tujhe Poocha hoga jo kissi ne teri halat ka sabab Tune baaton main usse khoob chupaya hoga.
~roshni~[/i][/b]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 24, 2006, 03:06:38 PM » |
|
Mai jaanta hoon meri humnafas meri inn baaton ne tumhein bahut rulaya hoga Rokna chaha hoga tumne bhi aansu Parr wo to aaina hai dil ke baaton ka Teri janjeron ko fanah karke aaya hoga Socha hoga tumne bhi baar baar Ke maine tumhein kaise bhulaya hoga Hath tum bhi kabhie dil par rakh kar socha Kuch to baat hui hogi, jo maine zakhm khaya hoga Pucha hoga sawaal jabb dil ne mere liye Tumne khud ko mujhse ruswa bataya hoga Dinn mein, jaagti aankhon ke bhi khwaab hotein hain kuch Usmein tumne mujhe kaheen tanha paaya hoga Mujhe tanha dekh kar tere bhi naino mein paani aaya hoga Mai jaanta hoon tumne meri yaad mein ansu bahaya hoga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #13 on: April 24, 2006, 03:24:03 PM » |
|
jab door hi jana tha to paas aaye kyun the, mere liye pyar bhare tohphe laye kyun the.
saath chalte chalte akele muudh gaye, kyaa yahi vo vade the jinhe nibhane aaye the.
tumhi ne mere maan ke aandheroin mein chiraag jalaye the, naa tha koi paas mere,tumhi khamosh jindagi mein halchal laye the.
tumhi to the jo dhoop mein bankar meri parchaii... aur dil main pyar laye the .....
~roshni~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirbhay
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 24, 2006, 03:34:58 PM » |
|
Door bhi jaana padega tumhein chahne ke baad Ye maloom hua mujhe tere dil mein samane ke baad
Ataa to humein bhi hai bahut waadey nibhana Parr maine khaie hai kasam tumko zamane ke nazar se hai bachana
Halaat hee kuch aaise they jabb hum aapse milne aaye they Shayad tumhare boore dino ke wo saaye they
Abb khush raho tum bhi khile tumhara hee gulistaan Bhool jaana abb huein tum , isliye ye tumhein keh kar aaye they!!!
~! nirbhay !~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|