-----/// Tum naa kehte the /// ------ Hriday

by ~Hriday~ on August 21, 2012, 03:24:39 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1715 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaoge
tum naa kehte the ki tanha jee naa paaoge
rehna pade agar ek pal bhi duur mujhse to
tum naa kehte the ki kabhi reh naa paaoge

ab jee rahe ho kisi aur ke sangh khushi se
kya huwa vaadaa saath nibhaane ka tumhaaraa
paagal main hi thaa jo aaj bhi tanhaa hoon
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaaoge

wo raatein mulaquaatein kyun bhool gaye tum
wo pyaar bhari baatein kyun bhool gaye tum
karke saath nibhaane ka vaadaa mujhse
kyun mujhe yun tanhaa chhod gaye tum

tum naa kehte the ki ye duniyaa bahut buri hai
ab tum ki kaho kyun duniyaa jaise ban gaye tum
tum naa kehte the ki mohabbat haseen khwaab hai
kyun us haseen khwaab ko bhalaa tod gaye tum

kyun mere haathon me liya haath bhool gaye tum
kyun un haseen palon kaa saath bhool gaye tum
kyaa bhoolne ke liye hi mile the tum mujhse
kyun mujhse ki huyi har ek baat bhool gaye tum

tum naa kehte the ki mujhe na bhulaa paaoge
tum naa kehte the ki har pal saath nibhaaoge
kya huwaa aaj tumhaari kahi un baaton kaa
tum naa kehte the ki har vaadaa nibhaaoge

tum naa kehte the ki main tum bin mar jaaungaa
tum naa kehte the ki main tut ke bikhar jaaunga
chalo tumhaari kahi baat hi maan lete hain
ab tum bin main ye duniyaa hi chhod jaaungaa

khush raho tum apne naye sansaar me
main tum bin tanhaa hi chaalaa jaaungaa
duua karunga ki bas khushiyaan hi mile tumhe
aur main ab mitti ke sangh mil jaaungaa

tum naa kehte the ki.....
tum naa kehte the ki.....

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~kehte hai~~~ by Ravinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Log kehte hai by love_point12321 in Other Languages
Main So Jaaoon Ya Mustafa Kehte Kehte,. by Azeem Azaad in Share:Devotional Poetry « 1 2  All »
Kya kehte hai......... by md.ayad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Log kehte hai ! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mkv
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2012, 03:36:01 PM »
Bahut khoob Kapil jee
jaise baarish ka bahta huaa paani. aage badhta jaata hai..apna raasta khud bana leta hai usi tarah aap jo likhte hai use padho to, dil me tarange si uthti hai. jab taar jhanjhanaate hai, vo vaakiye jo gujar chuke hote hai use padh kar dil me ek hoonk si uthti hai.. kabhi positive to kabhi negative..
Dard ka dariya to aise hi bahta hai na.

Logged
Sps
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2012, 04:04:13 PM »
very nice n touching...last 2 paragraphs are so painful!!
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2012, 04:25:32 PM »
aapki is peshkash par jyada kuch kehne ko nahi hai mere pass.....kapil bhai bas yahi kahunga jo tum likhte ho apne dil se likhte ho ..jo sidhe hi hamare dil mein utar jati hai .......

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2012, 06:40:37 PM »
Kapil Jee Aadaab!

WaaH waaH kia baat hai Kapil Jee gazab kar diyaa aapne
is khoob kalaam meiN... aik se badhkar aik khayaal aur
behad khoob aur umdaa adaygi... Usual Smile

Behad khoob Kapil jee... humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile                   

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 22, 2012, 01:33:24 AM »
waah waah bahut khoob shaandaar
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 22, 2012, 08:25:43 AM »
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaoge
tum naa kehte the ki tanha jee naa paaoge
rehna pade agar ek pal bhi duur mujhse to
tum naa kehte the ki kabhi reh naa paaoge

ab jee rahe ho kisi aur ke sangh khushi se
kya huwa vaadaa saath nibhaane ka tumhaaraa
paagal main hi thaa jo aaj bhi tanhaa hoon
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaaoge

wo raatein mulaquaatein kyun bhool gaye tum
wo pyaar bhari baatein kyun bhool gaye tum
karke saath nibhaane ka vaadaa mujhse
kyun mujhe yun tanhaa chhod gaye tum

tum naa kehte the ki ye duniyaa bahut buri hai
ab tum ki kaho kyun duniyaa jaise ban gaye tum
tum naa kehte the ki mohabbat haseen khwaab hai
kyun us haseen khwaab ko bhalaa tod gaye tum

kyun mere haathon me liya haath bhool gaye tum
kyun un haseen palon kaa saath bhool gaye tum
kyaa bhoolne ke liye hi mile the tum mujhse
kyun mujhse ki huyi har ek baat bhool gaye tum

tum naa kehte the ki mujhe na bhulaa paaoge
tum naa kehte the ki har pal saath nibhaaoge
kya huwaa aaj tumhaari kahi un baaton kaa
tum naa kehte the ki har vaadaa nibhaaoge

tum naa kehte the ki main tum bin mar jaaungaa
tum naa kehte the ki main tut ke bikhar jaaunga
chalo tumhaari kahi baat hi maan lete hain
ab tum bin main ye duniyaa hi chhod jaaungaa

khush raho tum apne naye sansaar me
main tum bin tanhaa hi chaalaa jaaungaa
duua karunga ki bas khushiyaan hi mile tumhe
aur main ab mitti ke sangh mil jaaungaa

tum naa kehte the ki.....
tum naa kehte the ki.....

*****HRIDAY*****


Bahut Bahut Khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2012, 07:28:30 AM »
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaoge
tum naa kehte the ki tanha jee naa paaoge
rehna pade agar ek pal bhi duur mujhse to
tum naa kehte the ki kabhi reh naa paaoge

main jhoothi hoon mujh pe yaqeen kyon kiya. kya mujhe aur kaam nahin hai sirf tumhaari baat sunti rahoon . mere peeche hi chipak gaye the to kya karti Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
ab jee rahe ho kisi aur ke sangh khushi se
kya huwa vaadaa saath nibhaane ka tumhaaraa
paagal main hi thaa jo aaj bhi tanhaa hoon
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaaoge

ab meri apni bhi to majboori thi jo tum kabhi sunn ne ke liye tayaar hi naa the.
aur haan kisne kah diya main kisi aur ke saath hoon. jab se tum gaye ho abhi bhi akeli hoon.
Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

wo raatein mulaquaatein kyun bhool gaye tum
wo pyaar bhari baatein kyun bhool gaye tum
karke saath nibhaane ka vaadaa mujhse
kyun mujhe yun tanhaa chhod gaye tum

kuch memory loss ka bhi problem hai. treatment chall raha hai dheere dheere puraani baatein yaad aa rahi hain Laughing hard Laughing hard Laughing hard
tum naa kehte the ki ye duniyaa bahut buri hai
ab tum ki kaho kyun duniyaa jaise ban gaye tum
tum naa kehte the ki mohabbat haseen khwaab hai
kyun us haseen khwaab ko bhalaa tod gaye tum

tumhaari harkat hi aisi thi ki jaana padaa. koi kaam dhaam dhang se karte nahin the ghar mein pade rahte the . zindagi bhalaa mohabbat ke sahaare to guzarti nahin paise bhi chahiye hotye hain. zimmedaariya hain....etcetc Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

kyun mere haathon me liya haath bhool gaye tum
kyun un haseen palon kaa saath bhool gaye tum
kyaa bhoolne ke liye hi mile the tum mujhse
kyun mujhse ki huyi har ek baat bhool gaye tum

kahaan na baat yaad aane pe bataao.n gi kyon bhooli thi Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

tum naa kehte the ki mujhe na bhulaa paaoge
tum naa kehte the ki har pal saath nibhaaoge
kya huwaa aaj tumhaari kahi un baaton kaa
tum naa kehte the ki har vaadaa nibhaaoge
 icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
tum naa kehte the ki main tum bin mar jaaungaa
tum naa kehte the ki main tut ke bikhar jaaunga
chalo tumhaari kahi baat hi maan lete hain
ab tum bin main ye duniyaa hi chhod jaaungaa
na babaa aisa mat karna varna duniya mujhe jeene nahin degi. main apni baat vaapas leti hoon ji..tum 1000 saal jiyo aur likhte raho. main tumhein padoo.n gi, sunoon gi per ab boloo.n gi nahin Embarrased Embarrased Embarrased
khush raho tum apne naye sansaar me
main tum bin tanhaa hi chaalaa jaaungaa
duua karunga ki bas khushiyaan hi mile tumhe
aur main ab mitti ke sangh mil jaaungaa
arrrrrrrrrrrrey ye kya kah rahe ho. main bhi abhi tanhaa hoon acha zara sabr karo. main vapas aao.n gi. itni iltejah ke baad to mann paseeeeeeej jataa hai. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
tum naa kehte the ki.....
tum naa kehte the ki.....

*****HRIDAY*****


ab kuch nahin kahoon gi hriday. tum bahut khoob likhte ho ji. maza aa gaya.per  dekho mujh se naraaz mat rahna
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 27, 2012, 02:32:13 PM »
bahut bahut shukriyaa Mukesh ji... bahut achcha lagta hai ye jaanke ki meri rachnaayein aapke dil ke itne kareb rehti hai.. aap use mehsoos kar paate hain.... main kisi bhi bahaane se aapke dil ke kareeb pahuch paataa hoon , ye mera soubhaagya hai... bahut bahut shukriyaa sirji....!!!

Bahut khoob Kapil jee
jaise baarish ka bahta huaa paani. aage badhta jaata hai..apna raasta khud bana leta hai usi tarah aap jo likhte hai use padho to, dil me tarange si uthti hai. jab taar jhanjhanaate hai, vo vaakiye jo gujar chuke hote hai use padh kar dil me ek hoonk si uthti hai.. kabhi positive to kabhi negative..
Dard ka dariya to aise hi bahta hai na.


Logged
suman59
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2012, 03:09:13 PM »
wah excellant  Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: August 29, 2012, 03:40:51 PM »
Thanks a lot Sps ji....!!!

very nice n touching...last 2 paragraphs are so painful!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: September 01, 2012, 06:46:39 AM »
bahut bahut shukriyaaa Soudagar ji.....!!!

aapki is peshkash par jyada kuch kehne ko nahi hai mere pass.....kapil bhai bas yahi kahunga jo tum likhte ho apne dil se likhte ho ..jo sidhe hi hamare dil mein utar jati hai .......

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
janumanu
Guest
«Reply #12 on: September 01, 2012, 07:20:27 AM »
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaoge
tum naa kehte the ki tanha jee naa paaoge
rehna pade agar ek pal bhi duur mujhse to
tum naa kehte the ki kabhi reh naa paaoge

ab jee rahe ho kisi aur ke sangh khushi se
kya huwa vaadaa saath nibhaane ka tumhaaraa
paagal main hi thaa jo aaj bhi tanhaa hoon
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaaoge

wo raatein mulaquaatein kyun bhool gaye tum
wo pyaar bhari baatein kyun bhool gaye tum
karke saath nibhaane ka vaadaa mujhse
kyun mujhe yun tanhaa chhod gaye tum

tum naa kehte the ki ye duniyaa bahut buri hai
ab tum ki kaho kyun duniyaa jaise ban gaye tum
tum naa kehte the ki mohabbat haseen khwaab hai
kyun us haseen khwaab ko bhalaa tod gaye tum

kyun mere haathon me liya haath bhool gaye tum
kyun un haseen palon kaa saath bhool gaye tum
kyaa bhoolne ke liye hi mile the tum mujhse
kyun mujhse ki huyi har ek baat bhool gaye tum

tum naa kehte the ki mujhe na bhulaa paaoge
tum naa kehte the ki har pal saath nibhaaoge
kya huwaa aaj tumhaari kahi un baaton kaa
tum naa kehte the ki har vaadaa nibhaaoge

tum naa kehte the ki main tum bin mar jaaungaa
tum naa kehte the ki main tut ke bikhar jaaunga
chalo tumhaari kahi baat hi maan lete hain
ab tum bin main ye duniyaa hi chhod jaaungaa

khush raho tum apne naye sansaar me
main tum bin tanhaa hi chaalaa jaaungaa
duua karunga ki bas khushiyaan hi mile tumhe
aur main ab mitti ke sangh mil jaaungaa

tum naa kehte the ki.....
tum naa kehte the ki.....

*****HRIDAY*****

very pure simple and touching
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: September 02, 2012, 12:41:11 PM »
bahut bahut shukriyaaa Parwaaz ji... yunhi saath dete rahiye.... aap sabhi ka saath hi hai ki kuch na kuch likh lete hain... bahut bahut shukriyaaa...!!!

Kapil Jee Aadaab!

WaaH waaH kia baat hai Kapil Jee gazab kar diyaa aapne
is khoob kalaam meiN... aik se badhkar aik khayaal aur
behad khoob aur umdaa adaygi... Usual Smile

Behad khoob Kapil jee... humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile                   


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 03, 2012, 06:15:46 PM »
bahut bahut shukriyaaaa Saini ji...!!!

waah waah bahut khoob shaandaar
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:00:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer