ParwaaZ
Guest
|
Dil ki hazaaroN khwahishoN ko dil meiN daba liya... Hum ne bhi doosri raah par kadam badha liya
Milaa ke nazareN aap sharmsaar ho na jayeN Lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka liya
Aa naa payeNgi sadaayeN bhi ab tumko humari Teri duniyaa se door humne ghar basa liya
MileN habeeb to rakhabat bhi shumaar thi Kurbat ka nahi doori ka raasta dikha liya
Tujhko khushiyaaN naseeb ho eh dilber mere Humne dard o gham ko toh humsafar bana liya
Duniyaa waale to zarra saath bhi naa de sakeN Humne khud apni laash ko kandhe utha liya
Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi Lo naam bhi humne khud hi apna mita liya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Yaash
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 25, 2010, 02:41:20 AM » |
|
Bohat Khoob Janab Parwaab Sahab.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ANAAM
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 26, 2010, 07:28:10 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anshumali
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 26, 2010, 12:52:35 PM » |
|
Milaa ke nazareN aap sharmsaar ho na jayeN Lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka liya
Sameer Ji .... Bahut Khoob .... Badhaa hi maasoom aur pyara Khayal laga mujhe .... yeh sher ... !
Tamaam Ghazal ke sabhi ashaar bahut khoobsurti se adaa hue hai ... tahe dil se daad hazir hai ...
aise hi likte rahen ... apni umdaa peshkash se ru-ba-ru karaate rahe aage bhi ... khush rahen....
duaaon ke saath ....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #5 on: September 26, 2010, 01:10:14 PM » |
|
Bahut Bahut Khoob parwaazji..
Har Ek Ashaar lajawaab..
Bahut Ache..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aaina
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 27, 2010, 11:45:57 PM » |
|
mila ke nazreiN aap shamrsaar ho na jaayeiN lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka lia
kya baat hai waah waah Sameer sahab jawaab nahi aapke is sher ka waah mashaAllah kya khoob andaaz hai hazaaroN daad aapke is lehje ki nazr qubool keejiye Allah kar zor e qalam aur ziyaadah
aslam
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 28, 2010, 04:09:06 PM » |
|
Bohat Khoob Janab Parwaab Sahab.
Janab Yash Sahab aadaab!
Yo india meiN aapka isteqbal karte hai...... Aapko humari kalaam pasand aayi tahe dil se shukria....
Aage bhi apna saath banaye rakhiye.... Aate rahiye...... Khush rahiye.... Khuda Hafez......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #9 on: September 30, 2010, 04:58:55 PM » |
|
kya kahun parwz ji aapki iss nazm k liye....bas dil ko chhu gai ...
suni thi lekin padhkar to aur bhi maza aaya.....
kuch likha hai ji aap jaisa nahin na aapne bataya uss tarah ban pai ye ..ek koshish hai dil ki baat kehne ki.....
Lakeeron se maine apna hath saja liya Tu na mila to maine in hathon ko jala diya
Tere naam se sajte rahe the mere din aur raat Ek teri baat ne mujhe tanhaoyon se mila diya
Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha Jab tumne hathon se mere kangan hata diya
Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya
Dekh duaon ka chaan fir se manga tha kal raat tujhe Lekin khuda ne aaj mujhko dua ka ye sila diya
Ab na koi khwaish na koi umang reh gai jeene ki Maine khud ko ab chalti firti ek laash bana diya...!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 12, 2010, 08:24:01 PM » |
|
bahut khoob parwaaj sahab... akhri ke do sher to sabse laajawab hain... bahut badhiya... !
Intezar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
haan
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 12, 2010, 08:33:24 PM » |
|
HAZARON SAAL UMAR HO AAPKI ,KAYA ACHCHE ANDAAZ ME KAHA HAI AAPNE ....DAAD ...DAAD..SUBHAAN ALLAH
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|