tumhe yaad karke

by husain52 on May 14, 2005, 12:36:55 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2537 times)
husain52
Guest
unhe to fursat nahi milne ki humse,
aur humara waqt guzarta hain unki fariyaad karke
agar aae wo meri maut par to,
keh dena abhi soe hain tumhe YAAD karke
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Karke Yaad mujhe by kuldeep in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aksar unko yaad karke by daljeet_faqeer in Shayri-E-Dard
Rowa ohnu yaad karke by mandeepsingh in Pain in Love : Punjabi poetry
purani yaadon ko yaad karke manana by samir_bc in SMS , mobile & JOKES
Tumhe Yaad Karke by Bambi in Shayri for Khumar -e- Ishq
thycreator
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2005, 01:01:33 PM »
Wah husain ji.........hamesha ki tarah...very touching........

Thak gayi hai ye aankhen unka rasta takte takte,
Ab toh maut hi inko sukoon o aaram dilayegi,
Wo sitamgar jahan bhi ho usko duniawalo kehna,
Hame toh kabr mein bhi unki bahut yad aayegi....
Logged
husain52
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2005, 01:25:32 PM »
thax thycreator........    kya baat hai bahot hi acha likha hai aapne bhi

na dalo mooh par kafan ke meri aadat hai muskurane ki
na dafnao mujhe ke ab tak aas hai unke aane ki
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2005, 01:27:56 PM »
wah wah husain ji........gud one yet again....

Uske intezaar ne kuch iss kadar behkaya hai iss dil ko...
Ki har aahat pe dil ki dhadkan khud hi raftar leti hai...
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: May 15, 2005, 02:02:32 PM »
Quote from: "husain52"
unhe to fursat nahi milne ki humse,
aur humara waqt guzarta hain unki fariyaad karke
agar aae wo meri maut par to,
keh dena abhi soe hain tumhe YAAD karke


wahhhhhhhhh!!!!!!! just a brillient shayari husain ji!!! bohot ache!!!

 :D
Logged
husain52
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2005, 02:50:29 PM »
thax meena ji and thycreator ,  i am just learning from u all ......... thax once again

dil aaj khush bhi magar udaas bhi hai
tu door sahi magar mere paas bhi hai
ek honge na kabhie magar iski aas bhi hai
bujhegi na kabhie magar yeh pyaas bhi hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2005, 02:58:53 PM »
Quote from: "husain52"
thax meena ji and thycreator ,  i am just learning from you all ......... thax once again

dil aaj khush bhi magar udaas bhi hai
tu door sahi magar mere paas bhi hai
ek honge na kabhie magar iski aas bhi hai
bujhegi na kabhie magar yeh pyaas bhi hai


hmm gud one aain husain ji!!! aap to khud bohot acha likhte hai!! hum to aapse sikhte hai!  :D  keep it up!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: May 21, 2005, 05:08:06 AM »
Quote from: "husain52"
thax meena ji and thycreator ,  i am just learning from you all ......... thax once again

dil aaj khush bhi magar udaas bhi hai
tu door sahi magar mere paas bhi hai
ek honge na kabhie magar iski aas bhi hai
bujhegi na kabhie magar yeh pyaas bhi hai


Wah husain ji....gud one,
Muhabbat toh wo pyas hai jo kabhi bujh nahi sakti,
Jitna piyo isse pyas utni hi badhti hai............... :wink:
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #8 on: May 21, 2005, 05:32:02 AM »
Mahobat ki pyaas ye bhujati hi nahi
tujhe dekh dekh ke aankhen thakti hi nahi
kyun intezaar karte hai uska ae dil-e nadan
usse koi parva nahi tu janta hai phir bhi kyun aas hathti hi nahi
Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: May 21, 2005, 05:42:13 AM »
Quote from: "sandhaya"
Mahobat ki pyaas ye bhujati hi nahi
tujhe dekh dekh ke aankhen thakti hi nahi
kyun intezaar karte hai uska ae dil-e nadan
usse koi parva nahi tu janta hai phir bhi kyun aas hathti hi nahi


Sandhaya ji,

Muhabbat hai ye zalim, dil se hathti hi nahi hai,
Jante hai wo na milega, par aankhen dhoondhe usse,
Har lamhe ko uski yad mein hi kata hai humne,
Kya kare koi bataye,kaise bhulaye hum usse...
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #10 on: May 21, 2005, 10:33:43 AM »
husain ji....

bahut hi dard bhara aur itminaan bhara khayal hai....

yunhi likhte rahiye......
Logged
husain52
Guest
«Reply #11 on: May 21, 2005, 01:50:19 PM »
thax meenaji, thycreator and aman and good work u all

zindagi tu aayegi yoon ye maloom nahi tha..
har pal dard ka chod jayegi ye maloom nahi tha..
jee rahe the hum apne hi khwabooon main..
sansoon ko hi todd jayegi tu ye malum nahi tha..
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: May 21, 2005, 01:56:28 PM »
Quote from: "husain52"
thax meenaji, thycreator and aman and good work u all

zindagi tu aayegi yoon ye maloom nahi tha..
har pal dard ka chod jayegi ye maloom nahi tha..
jee rahe the hum apne hi khwabooon main..
sansoon ko hi todd jayegi tu ye malum nahi tha..
wah hussain,bohat khoob.
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: May 21, 2005, 04:30:14 PM »
Quote from: "husain52"
thax meenaji, thycreator and aman and good work you all

zindagi tu aayegi yoon ye maloom nahi tha..
har pal dard ka chod jayegi ye maloom nahi tha..
jee rahe the hum apne hi khwabooon main..
sansoon ko hi todd jayegi tu ye malum nahi tha..


beautiful husain ji!!!! mera nam bhi apke fan list me hai!  :D
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: June 03, 2005, 02:52:43 PM »
Quote from: "husain52"
thax meenaji, thycreator and aman and good work you all

zindagi tu aayegi yoon ye maloom nahi tha..
har pal dard ka chod jayegi ye maloom nahi tha..
jee rahe the hum apne hi khwabooon main..
sansoon ko hi todd jayegi tu ye malum nahi tha..


Wah Husain ji...........another good one from you...

Kab talak jiyenge hum yu saansein le le kar,
Ab toh saans lena bhi bojh hai jeewan ki tarah...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:06:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer