udas hai jindagi ki raat......

by ranjana on June 22, 2006, 01:23:36 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Author  (Read 8550 times)
bhambra
Guest
«Reply #105 on: December 01, 2006, 04:11:58 AM »
Jis tarah chaand pe hai andhero ka pehra
kuch yu hi tanhaaiyo ne mujhe aake ghera hai
band aankho se to nazar aata hi tha andhera
ab aankh khol kar dekhu to bhi dur tak andhera hai

[NM]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
udas by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
UDAS HO? by shoukat in SMS , mobile & JOKES
udas by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
udas hun mai by vikas2210 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*Udas Nahi* by Roja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
ranjana
Guest
«Reply #106 on: December 01, 2006, 06:40:37 AM »
zindagi roti hai kabhi yun bhi is bahaane se
jab bhi aaiene mein hamne apana aqas dekha

kabhi teri raaho per chalne ka kiya thaa hosala hamne
aaj khud ko hi khud se ajnabi sa dekha

jo kaha maine woh tum na samajh sake
teri baato se maine khud ko bhi anjaana sa dekha

hai meri rooh gawah ki dil mera aaj bhi dharkata hai
per tumne kabhi mere jeene ki fitrat  ko nahi dekha !!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #107 on: December 01, 2006, 12:59:06 PM »
Quote from: "ranjana"
zindagi roti hai kabhi yun bhi is bahaane se
jab bhi aaiene mein hamne apana aqas dekha

kabhi teri raaho per chalne ka kiya thaa hosala hamne
aaj khud ko hi khud se ajnabi sa dekha

jo kaha maine woh tum na samajh sake
teri baato se maine khud ko bhi anjaana sa dekha

hai meri rooh gawah ki dil mera aaj bhi dharkata hai
per tumne kabhi mere jeene ki fitrat  ko nahi dekha !!


dil ki bat batai thi humne unhe apna samaj kar
beijati kardi unhone hame airagaira samaj kar

rotahoon unki yadome sari rat shisak shisak kar
rakhunga kadam ab ishq me sambhal sambhal kar

dil mujhse aaj bhi kahe raha hai tu uska intzar kar
jitna hai ab unhe apna sabkuch har kar

 sad5  sad5  sad5
dirct dil se.................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #108 on: December 02, 2006, 08:51:24 AM »
kabhi mauka na mila mujhko dushman banane ka
kya khub the woh dost ,dushmani nibhaate rahe

dura jaana chaha maine unke dil se chahat se
utne hi nazdeek woh mere aate rahe

kab dara mera dil duniya ki rasmo se riwaazo se
per woh har pal hame apne tever kuch nighaao se dikhaate rahe

karte rahe mehfilo mein woh mere hi naam ke charche
per saamane mere ajnabi se ban kar nazare churaate rahe !!
Logged
gumnam
Guest
«Reply #109 on: December 08, 2006, 12:55:58 PM »
Quote from: "ranjana"
jab bhi lahero ne sahil ko thaa chuma
ek halchal si dil mein kyu machi thee
koi toh mila apni manzil se pal bhar
hame toh apni manzil khwaabo mein dikhi thee!!
BAHUT KHUB..........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #110 on: December 09, 2006, 09:58:34 AM »
shukriya .....


ek anjaana sa safar hai zindagi ka
na jaane kin kin rasto se yeh ho ke guajra hai
milne ko milta hai saara zamaana
par yahan apna kehne ko kaun milta hai !!
Logged
gumnam
Guest
«Reply #111 on: January 05, 2007, 02:21:49 PM »
Quote from: "ranjana"
shukriya .....


ek anjaana sa safar hai zindagi ka
na jaane kin kin rasto se yeh ho ke guajra hai
milne ko milta hai saara zamaana
par yahan apna kehne ko kaun milta hai !!
BAHUT KHUB...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #112 on: January 10, 2007, 06:49:08 AM »
kuch likhana hai par  likh nahi paate
kuch  kehna hai par keh nahi paate
keh  diya hai haal dil ka kuch lafazo mein
per woh na jaane kyu is dil ka haal samjah nahi paate !!
Logged
gumnam
Guest
«Reply #113 on: February 01, 2007, 02:16:33 PM »
Quote from: "ranjana"
kuch likhana hai par  likh nahi paate
kuch  kehna hai par keh nahi paate
keh  diya hai haal dil ka kuch lafazo mein
per woh na jaane kyu is dil ka haal samjah nahi paate !!
BAHUT KHUB......

DIL KA HAAL BATANA THA,HUME UNHE SAMAJHANA THA.
ROOTH KE BAITHE HUMSE,AUR UNKO HUME MANANA THA.
HUME CHAH SAKE NA WO,BEWAFAI TO BAS EK BAHANA THA.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #114 on: February 03, 2007, 04:50:27 AM »
bahut khoob likha hai aapne gumnam ...very nice ...

dekha karte hain hum raha unka
jo saath chal ke bhi  hamsafar nahi hai
mile toh  saath chalane waale har kadam par mujhe
par saath bas tu hi nahi hai !
Logged
gumnam
Guest
«Reply #115 on: March 07, 2007, 02:00:58 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob likha hai aapne gumnam ...very nice ...

dekha karte hain hum raha unka
jo saath chal ke bhi  hamsafar nahi hai
mile toh  saath chalane waale har kadam par mujhe
par saath bas tu hi nahi hai !
bahut khub ranju....

TU GHADI BHAR BHI NA MUJHSE DOOR THA,
FAASLE SAU DARMIYA HOTE HUE.
KUCHH RAHI HONGI AKATH MAJBURIYA,
CHUP RAHE MUH MEIN JUBAAN HOTE HUE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #116 on: March 14, 2007, 02:24:28 PM »
bahoot khoob Ranju ji and Gumnaam ji!!

sath tha to paraya sa lagta tha
ajj bichar kar bahoot apna paya tujhe
mrigchika si yah zindagi, kaise samjhu
tamam umar, dard hi dard paya tujhse
Logged
angel4u
Guest
«Reply #117 on: March 14, 2007, 05:25:45 PM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Ranju ji and Gumnaam ji!!

sath tha to paraya sa lagta tha
ajj bichar kar bahoot apna paya tujhe
mrigchika si yah zindagi, kaise samjhu
tamam umar, dard hi dard paya tujhse


Ye dard to teri saugaatein hai sanam,
paana chahenge inhe har janam,
tujhse paaye aansu bhi meethe lagte hai,
karna chahenge har wakt apni aankhein nam... sad5
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:45:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer