Ujaale Ke Liye Duniya Jalaa Do

by betukh_ bakbaki on February 20, 2012, 07:30:46 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1608 times)
betukh_ bakbaki
Guest
Naafarmani Ki Mere Hadh Nahi Hai
Yeh Jaakar Keh Do Dunyavi Khuda Ko

Agar Main Jiid Pe Apni Aa Gaya Toh
Patak Doonga Zamee Par Aasmaa Ko

Bhale Se Chaand Taare Toot Jayein
Magar Rahat Mile Soz e niha Ko

Main Sooraj Ke Diye Ko Phoonk Daalun
Agar Din Mein Ujaala Phir Kiya Toh

Main Kab Tak Bismili Ki Daad Paakar
Banauun Shayari Aah e fugaa Ko

Shab e furqat Agar Kismat Hai Teri
Toh Aisi Zindagi Ko Goli Maaro

Agar Manzil Nahi Milti Hai Toh Phir
Utha Kar Raaston Ko Phenk Daalo

Mohabbat Kar Li Jitni Karni Thi Ab
Adaavat Ki Havaa Mein Beez Daalo

Bahut Saare Upaay Kar Chuke Ho
Toh Phir Yeh Aakhiri Bhi Kar Hi Daalo

Nizaam e taariqi Ho Phir Bhi Kaabiz
Ujaale Ke Liye Duniya Jalaa Do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
unke liye jo duniya se udas hai!!!!! by deepak_mittal143 in Shayri-E-Dard
Karde Ujaale,. {AS} by Khwaab Tumhaare in Shayri-E-Dard
Ab Mat Aa Tu Mere Karib Ye Khawabo Ki Duniya Phir Se Basane Ke Liye .... by Kaushal Sharma in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dekh liye duniya ke nazaare by varun girdhar in Hindi Poets
DUNIYA SAJAANE KE LIYE by surindarn in Shairi - E - Zindagi
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 20, 2012, 08:26:29 AM »
Muaafi chahunga..

Samaj Ke Bahaar Rahi Aapki Yeh peshkash!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: February 20, 2012, 08:26:57 AM »
Bahut bahut khoob
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2012, 08:39:20 AM »
khwaish ji
mere bheetar jo kuch bhi jal raha hai
meri gazlein  bus usi ka dhuaa hai
mohabbat ke taraane kaise gaaun
bahut si talkiyon se dil bhara hai
main aag se aag ko buujha raha hoon
mera andaaze bayaan sabse judaa hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 20, 2012, 09:08:29 AM »
khwaish ji
mere bheetar jo kuch bhi jal raha hai
meri gazlein  bus usi ka dhuaa hai
mohabbat ke taraane kaise gaaun
bahut si talkiyon se dil bhara hai
main aag se aag ko buujha raha hoon
mera andaaze bayaan sabse judaa hai



Mere Dost,Mere Bhai Aapko Zyaada nahi kehte Hue Sirf itna Kahunga..Ke Ho sakta Hai Zindagi Bahut Imtehaan Le Rahi Ho..Par  Woh Aapka pehla Sher Yaa Uss Sher si Juudi Bhawnayen Bahut Galat Hai...Sirf Gurbaani Ki Ek Line Kehta Chaloon Jo Iska jawaab hai..

"Keteya Dukh Bhookh Sad Maar
 Eh Bhi Daat Teri Dataar"

Chaahe Tu Dukh De, Bhookh De, Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Pareshaani Par Tu Jo Bhi Dega Woh Teri Daat Samaj Kar Apnana Hi Insaan Ka pehla Farz Hoga..Khuda Se Shikyaten Kabhi Nahi Hoti..Unka Jo Bhi farmaan Yaa Hukum Hai,Woh To har Insaan Ko Maana Hi hai..  Muaafi Chaahta Hoon Agar Meri Koi Baat Aapko Buri Lagi ho
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2012, 09:24:37 AM »
sir, khuda se maine shikayat nahi ki.....pls ek baar phir se aap padhe.meri nafrat zamane ke joh khuda hain, unse hai.upar jo khuda hai...woh duniya nahi chalata janaab...duniya toh zamane ke khuda chalate hain!"yeh ja kar keh do tum apne khuda ko"...se mera ishaara samaj ke thekedaaron se hain.
chaand taare todne ki baat...suraj phoonk kar bujhane ki baat yeh sab symbolic tareeqe se unhi samaj ke lootere tekedaaro ke khilaaf ki gayi hain.khuda kab aata hai gareebo ki roti cheennein?khuda se mera koi issue nahi hai sir.main adavaat ki baat karta huun in logon ke taareeq nizaam ke khilaaf.in logon ne hamari jo mental conditioning ki hui hai...aur hamein exploit kar rahe hai....iske khilaf kavi ne symbolic tareeqe se likha hai.
mita do ise phoonk daalo yeh duniya ...sahir ludhianvi ne jis spirit mein kahi hogi..usi spirit mein maine bhi gazal likhi thi.
lekin maine ghazal likhna abhi shuru kiya hai...aapke dher saare ghazal main padh chooka huun.aap mukammal shayar hain...pls mujhe samjhaiye...ek baar plir se meri ghazal padh kar...meri galtiyaan kaha rahi...i will be thnkful from my heart.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: February 20, 2012, 10:50:25 AM »
Naafarmani Ki Mere Hadh Nahi Hai
Yeh Jaakar Keh Do Duniyavi Khuda Ko

Agar Main Jiid Pe Apni Aa Gaya Toh
Patak Doonga Zamee Par Aasmaa Ko

Bhale Se Chaand Taare Toot Jayein
Magar Rahat Mile Soz e niha Ko

Main Sooraj Ke Diye Ko Phoonk Daalun
Agar Din Mein Ujaala Phir Kiya Toh

Main Kab Tak Bismili Ki Daad Paakar
Banauun Shayari Aah e fugaa Ko

Shab e furqat Agar Kismat Hai Teri
Toh Aisi Zindagi Ko Goli Maaro

Agar Manzil Nahi Milti Hai Toh Phir
Utha Kar Raaston Ko Phenk Daalo

Mohabbat Kar Li Jitni Karni Thi Ab
Adaavat Ki Havaa Mein Beez Daalo

Bahut Saare Upaay Kar Chuke Ho
Toh Phir Yeh Aakhiri Bhi Kar Hi Daalo

Nizaam e taariqi Ho Phir Bhi Kaabiz
Ujaale Ke Liye Duniya Jalaa Do


                      hai ye jazba per namaqool hai.
                      nizaam-e-zindagi ka bhi ek oosool hai.
                      khud ki zindagi apne haat mein nahin.
                      inqalaab aisa laana to door sochna bhi bhool hai.
sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #7 on: February 20, 2012, 11:00:27 AM »
shukriya saini ji
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2012, 11:04:12 AM »
adil sahab
bahut ki khubsoorat andaz mein aapne baat rakhi
bahut shukriya
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #9 on: February 20, 2012, 11:15:00 AM »

Mere Dost,Mere Bhai Aapko Zyaada nahi kehte Hue Sirf itna Kahunga..Ke Ho sakta Hai Zindagi Bahut Imtehaan Le Rahi Ho..Par  Woh Aapka pehla Sher Yaa Uss Sher si Juudi Bhawnayen Bahut Galat Hai...Sirf Gurbaani Ki Ek Line Kehta Chaloon Jo Iska jawaab hai..

"Keteya Dukh Bhookh Sad Maar
 Eh Bhi Daat Teri Dataar"

Chaahe Tu Dukh De, Bhookh De, Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Pareshaani Par Tu Jo Bhi Dega Woh Teri Daat Samaj Kar Apnana Hi Insaan Ka pehla Farz Hoga..Khuda Se Shikyaten Kabhi Nahi Hoti..Unka Jo Bhi farmaan Yaa Hukum Hai,Woh To har Insaan Ko Maana Hi hai..  Muaafi Chaahta Hoon Agar Meri Koi Baat Aapko Buri Lagi ho



 bahut sachchi aur sahi baat farmayaa khawaish ji aapne. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: February 20, 2012, 11:26:40 AM »
sir, khuda se maine shikayat nahi ki.....pls ek baar phir se aap padhe.meri nafrat zamane ke joh khuda hain, unse hai.upar jo khuda hai...woh duniya nahi chalata janaab...duniya toh zamane ke khuda chalate hain!"yeh ja kar keh do tum apne khuda ko"...se mera ishaara samaj ke thekedaaron se hain.
chaand taare todne ki baat...suraj phoonk kar bujhane ki baat yeh sab symbolic tareeqe se unhi samaj ke lootere tekedaaro ke khilaaf ki gayi hain.khuda kab aata hai gareebo ki roti cheennein?khuda se mera koi issue nahi hai sir.main adavaat ki baat karta huun in logon ke taareeq nizaam ke khilaaf.in logon ne hamari jo mental conditioning ki hui hai...aur hamein exploit kar rahe hai....iske khilaf kavi ne symbolic tareeqe se likha hai.
mita do ise phoonk daalo yeh duniya ...sahir ludhianvi ne jis spirit mein kahi hogi..usi spirit mein maine bhi gazal likhi thi.
lekin maine ghazal likhna abhi shuru kiya hai...aapke dher saare ghazal main padh chooka huun.aap mukammal shayar hain...pls mujhe samjhaiye...ek baar plir se meri ghazal padh kar...meri galtiyaan kaha rahi...i will be thnkful from my heart.


aapne apne view ko explain kiya hai ok. per aap ke kalaam mein aap ka view bilkul reflect nahin hota hai. isi wajah se ye sawaal utha hai
Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #11 on: February 20, 2012, 12:00:55 PM »
sahir ludhianvi ka geet .."yeh mahlon,yeh takhto ye taazo ki duniya".
ish geet ko agar aap theek se sunege toh aap dekhenge ki isme shayar ne likhne ki do shailee apnayi hai.pehli shaili jiski aur aap ishaara kar ke keh rahe hain ki woh meri gazal mein nahi hai...usme sahir ka takreeban poora gaana aa jaata hai.usme sahir samaj mein phaili durachaar ki baat kar rahe hain.aapne sahi kaha ...mere ghazal mein sahir ki yeh shaili nahi hai.kyunki main samaj mein phaili duraachar ki baat ish shaili se nahi kar raha isliye woh aapko wahan nahi dikh rahi.
lekin sahir ke geet ke jo last ke lines hain..."mita do ise phoonk daalo yeh duniya...mere saamne se hata do yeh duniya...tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya"...yaha gaur farmaiye...sahir ki shaili
bilkul juda ho gayi hai.yahan sahir duniya ko khareez kar rahe hai....ish shaili ko kora vyangya..ya angrezi mein black humour kehte hain.yeh ek naye kism ka vyangya hai.
meri jo poori ghazal hai woh poori ki poori sahir ke doosre shaili mein likhi gayi hai...kora vyangya hai isme.mere samaj mein phaili 
buraiyon ko express karne ka tareeka poora ka poora black humour par based hain.
aap kripaya thora ish vidha ke baare mein zaanch pratal kar lein.
angrezi aur western countries mein ise absurd literature kehte hain.umeed hai aap isme dilchaspi dikhayenge aur apni gyan ganga mein izaafa karenge
shukriya.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #12 on: February 20, 2012, 02:07:16 PM »
Bakbaki sahab--
iss post me aapka gussa saaf nazar aata hai--
ek tareeke se aapne apni dili bhadaas nikaal daali hai kalam ke maadhyam se--

janaab hume aapme bht potential nazar aata hai kalam ko chalne ki  Usual Smile

aap khud ko shaant rakh kar likhen to iss gussse ya naraazgi ko jo samaaj ke prati aapke andar hai--use makool alfaaz dekar behtar tareeke se pesh kar skte hain--

aur janaab mai aapko koi naseehat nhi de rha balki mene jo feel kia wahi kaha bas-
so mujh pr khfa mat hoiega--

khus rahie
muskaraie Usual Smile
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #13 on: February 20, 2012, 02:26:55 PM »
janab itna gusa theek nahi aag ko nafrat ki aag se nahi pyar ke pani se bhujayein
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #14 on: February 20, 2012, 05:15:38 PM »
Bakbaki saheb,
Ghussa karne se baat aur bigadti jaati hai. Duniya mein jo kam dukh kaat-te hain wo kam kismat hote hain. Dard to Khushkismaton ko milta hai. To apne aap ko dard ka aadi bana lena chahiye, hausle majboot rakhne chahiye. Waise dard ka koi aur Ilaaj nahi hai.

Aapko samjhane ke liye Ghaalib ka ek sher pesh kar raha hun:

Ishrat Qatre se darya mein fana ho jaana
Dard ka had se badhna hain dawa ho jaana

Yaani ki dard ki ek hi dawa hai, k dard ko had se gujar jane do.

Hope you understand this much, phir bhi aap ko itminaan nahi hai to aap personally email k through contact kar sakte hain.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:45:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer