ranjana
Guest
|
tumhe bhulana ab is dil ke bas mein nahi hai yeh alag baat hai ki tujhe saath beeta waqt ab yaad aana nahi
ek khawaab ki tarah raha tu mere jehan mein yeh alag baat hai ki tune kabhi is sach ko maana hi nahi
thaa ek ankaha sa rishata tere mere beech mein mujhe sab yaad raha per tune kabhi is dil ke bandhan ko jaana hi nahi
yeh dil bhi kar betha woh nadaani nazare mila ke bhula na paaya woh lamha jo kabhi haqikat ka afsaana hi nahi
jee lete hum bhi kuch pal tere ishq ke saaye mein per yeh woh armaan thaa jis mein hamne kuch kho ke bhi thaa paana nahi !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
niraj_191
Guest
|
|
«Reply #1 on: November 24, 2006, 06:37:48 AM » |
|
teri bebasi pe dil aaj khub roya hai har purani bat yad karu ye zaroori to nahi
humne bhi apni zindgi ko khawabo se hi sajaya hai har khwab pura ho ye zarrori to nahi
tere mere rishton ki dor badi nazuk thi har dor tut jaye ye zarrori to nahi
kisiki ek nazar se hum sab kuch har gaye har nazar me vo kashish ho ye zarrori to nahi
unhe ishq ke saye me sone ke arman hai har arman pura ho ye zarrori to nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: November 24, 2006, 11:56:42 AM » |
|
bahut khoob ..NERAJ ..AND MAJID ....
mere dil Ne kab tujhse kuch manga hai mila hai dard jo yah toh ishq ka koi waada hai
haar bethe hain hum apna sab kuch ab bhi zamaane ka tever kyu berukhi hamhe dikahata hai
samjhaata hai koi ishaaro se hame apni kuch unkahi baato ko mujh per yeh rehmo karam umeed se kuch jayaada hai
kaun tehara hai kabhi sukhe reit ke veeran saayo mein kyu koi umeed ka badaal ab bhi in aankho mein bhar jaata hai!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #3 on: November 25, 2006, 06:15:46 AM » |
|
nice thread....and very nice majid ji,neeraj ji & ranjana...........aacha likha aapne.......
apne jabt ahsaaso se kuch nazm banane lagte hai jab bhi dard uthta hai hum mehfil sajane lagte hai
samajhti hai jise woh berukhi us bebasi ko hum unki yaadon ki chav tale aksar chalkaane lagte hai
sunte hai khudko bewafa jab hum unke labo se accha lagta hai dil ko aur muskuraane lagte hai
sochte hai woh hum khush hai mehki fizaao mai per is dilka kya jise aache reit ke veerane lagte hai
ki kahi jaan najaaye 'fahi' zamana mere isharo ko apni khamoshi unhe hum khamoshi se padhane lagte hai
..............................@fahi@................................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #4 on: November 27, 2006, 07:31:38 AM » |
|
kabhi badala hawaao ne rukh kabhi dil ke halaat kuch aise badle hain
woh chale nahi saath mere kabhi per hamsafar keh ke usko mera log gujare hain
kaata har lamha tanha maine apne hi sapano ke saath jaane kaise zindagi ke har hadaase hum per se ho kar nikale hain
yahan ab umeed ka deepak na jalaaye koi mere saaye bhi mere andhero se ho kar ke gujare hain
likh diya kabhi apne afsaano ko apne lafazo mein pad ke logo ne kaha mere bayaan dard ban kar hi kyu nikale hain!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #5 on: November 27, 2006, 07:37:40 AM » |
|
wah wah wah Ranju ji kaya baat hai.... bahoot hi gahra likha hai apne.... ek ek shabd dil ko chu gaya... good work..
badal sakta hai kon takdeer hai apni apni
wo jeeta raha mujse pal pal ki mout rahi apni
sath ho kar bhi, tanha safar mera usko mile phool, armaano ki khak apni
her diya bujhta gaya, raho main meri main jayoti uski, wo jawala apni
kaya likhu, kaise likhu, shabd hi nahi dictionary uski, ansoo ki ladi apni…..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #6 on: November 27, 2006, 07:53:49 AM » |
|
shukriya pooja ...............nice lines .....bahut hi sunder likha hai aapne
ab apne hi dard ka deeya jalaau kaise woh mujhe bhul gaye ab unhe yaad aau kaise
banaaya thaa kabhi unke lafazo ne dil mere ek Tajmehal yeh woh lamha thaa ab us lamhe ko doharaau kaise
har ahahaat per nazaro ne talasha hai unko pyaar mein dube woh lamhe wapas laau kaise
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #7 on: November 27, 2006, 08:00:26 AM » |
|
wah kay abaat hai
beeta waqat kabhi lout kar nahi atta yaadon ka bas ek silsilla hai rah jaata
bahoot chaha, bahoot sambhala jisko kayun wo shakas hai dard de jaata
bewafai uski bhi rulaati hai mujko wafa ka koi silla kayun nahi wo de jaata
dard tha, dard hai aor dard hi rahega sada Rishta yah dard se kayun nahi toot jaata
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #8 on: November 27, 2006, 03:16:31 PM » |
|
tumhe bhulana ab is dil ke bas mein nahi hai yeh alag baat hai ki tujhe saath beeta waqt ab yaad aana nahi
ek khawaab ki tarah raha tu mere jehan mein yeh alag baat hai ki tune kabhi is sach ko maana hi nahi
thaa ek ankaha sa rishata tere mere beech mein mujhe sab yaad raha per tune kabhi is dil ke bandhan ko jaana hi nahi
yeh dil bhi kar betha woh nadaani nazare mila ke bhula na paaya woh lamha jo kabhi haqikat ka afsaana hi nahi
jee lete hum bhi kuch pal tere ishq ke saaye mein per yeh woh armaan thaa jis mein hamne kuch kho ke bhi thaa paana nahi !! Sailaaab hai paani ke...... Jinhe hum Samander me Saja nahi sakte...... Badd jaati hai Uljhane unki iss kadar...... Ke khud se bhi woh halchal chupa nahi sakte...... Harkat hai unki Saanson ki Naazuk...... Ke Ehsaaah ab woh aur Dil me Chupa nahi sakte...... Dekho rona nahi Janam...... Kyunki iss WaQt hum aapke Aansu sookha nahi sakte...........!!!!!!!!!! Everyone done a gr8 Job...!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
_Vicky_
Guest
|
|
«Reply #9 on: November 28, 2006, 06:13:02 AM » |
|
wah wah! kya baat hai.. ek se badh kar ek kalaam.. bahut bahut khoob.. RANJANA, POOJA JI, GAURAV BHAI, MAJID BHAI, aur PJAG.... sabhi ne kamaal ka likha hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #10 on: November 28, 2006, 06:24:39 AM » |
|
sukriya ...........!!!!!!!!! gud job pooja ji & B.d bro.............
uljhi hai ye zindagi jo to sansein bhi ulajh jaaye sayad iis tarah dono ke dil ki pyaas bhi bujh jaaye
.....................@fahi@............................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #11 on: November 28, 2006, 12:57:05 PM » |
|
nazare khamosh ho kar kuch toh dard bayaan karti hain jubaan se hum jo unko keh na paaye woh khwaab palate hain
uski yaado ke kuch chiraag aaj bhi dil mein jalate hain woh hamse bichar ke bhi kyu hame apne kareeb se lagate hain!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #12 on: November 29, 2006, 01:58:51 PM » |
|
tumhe bhulana ab is dil ke bas mein nahi hai yeh alag baat hai ki tujhe saath beeta waqt ab yaad aana nahi
ek khawaab ki tarah raha tu mere jehan mein yeh alag baat hai ki tune kabhi is sach ko maana hi nahi
thaa ek ankaha sa rishata tere mere beech mein mujhe sab yaad raha per tune kabhi is dil ke bandhan ko jaana hi nahi
yeh dil bhi kar betha woh nadaani nazare mila ke bhula na paaya woh lamha jo kabhi haqikat ka afsaana hi nahi
jee lete hum bhi kuch pal tere ishq ke saaye mein per yeh woh armaan thaa jis mein hamne kuch kho ke bhi thaa paana nahi !! bahut khub ranjana....bahut hi achha...yaar aap jaha jaati ho chha jaati ho....mind blowing...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #13 on: November 29, 2006, 02:03:55 PM » |
|
shukriya ji ....bahut dino baad aap aaye .....
kabhi jo jhanka kisi ki nazaro mein toh har ek shaks ki apni alag kahani hai...
yahan kaun kisi ka hota hai har kisi ko apni manzil khud hi paani hai
kabhi mila jo saaya kisi ka yahan woh toh bas pal do pal ki kahaani hai
kabhi furast mein sunana yeh dard ki dastaan abhi toh aankho mein mere bas ek dariya tufaani hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #14 on: November 30, 2006, 04:25:37 PM » |
|
hamari har kahani mein tumhara naam aata hai ye tumko kaise samjhaye ki kaisa tumse naata hai
kabhi jo dil ne kaha mujhe kuch chupke se toh jaise har pal dharkata dil tera hi naam sunata hai
basa hai tu dil mein mere kuch is tarah se apana vajood bhi mujhe ab tujh sa nazar aata hai
kabhi toh dekega yeh tu bhi apne afsaano mein ki mere hi naam ka kyu zikar wahan baar baar aata hai
aaja ki ab miltne lagi hai meri har tamaana teri ek jahalk ke liye yeh dil beqrar hua jaata hai
hamari har kahani mein tumhara naam aata hai ye tumko kaise samjhaye ki kaisa tumse naata hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|