ranjana
Guest
|
«Reply #15 on: November 30, 2006, 04:28:23 PM » |
|
hamari har kahani mein tumhara naam aata hai ye tumko kaise samjhaye ki kaisa tumse naata hai
kabhi jo dil ne kaha mujhe kuch chupke se toh jaise har pal dharkata dil tera hi naam sunata hai
basa hai tu dil mein mere kuch is tarah se apana vajood bhi mujhe ab tujh sa nazar aata hai
kabhi toh dekega yeh tu bhi apne afsaano mein ki mere hi naam ka kyu zikar wahan baar baar aata hai
aaja ki ab miltne lagi hai meri har tamaana teri ek jahalk ke liye yeh dil beqrar hua jaata hai
hamari har kahani mein tumhara naam aata hai ye tumko kaise samjhaye ki kaisa tumse naata hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #16 on: November 30, 2006, 04:53:23 PM » |
|
Excellent Ranju....ab bhi ek Khamoshi Jahalakti hai tumhare likhe me Awaaz suni thi maine woh Taraani...... Aghaaz tha aisa jaise Armaano pe phir raha ho paani......
Gustaakhi Maaf mere Huzooor...... Mahobbat me the hum Kayal bas isliye ki thi Naseeb se manmaani.....
Ek phook me Jab kashti lagi Dagmagane...... Hairat thi Nigaah unki Shayad lage hum bhi Kismat ko azmaane......
Giraf me Dar-o-Gum ki...... Humne kuch Khawaab aaj phir Saja liye.....
Tum nahi dogi agar ab saath hamara...... Toh bas humne bhi apne Ashiyaan jala liye.........!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #17 on: December 01, 2006, 07:02:13 AM » |
|
mere lafazo mein bayaan mera hi afsaana hai ab main tujhse kaise kahu ki tu is se anjaana hai
chipe hain meri muskarhat mein abhi kuch dard naye hai tere labo per hansi hai toh mujhe bhi muskarana hai
mar chuke hain hum toh apni maut se pehle ab kis tarah kahe ki is zindagi ko jee ke jaana hai
dawa kare ab hum apne kis kis dard ki yahan yahan har dawa ne bhi mujhe dard hi de jaana hai
jaate jaate meri raaaho se mujhe aavaaz na dena behak na jaaye mera dil fir se yeh toh diwaana hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #18 on: December 03, 2006, 12:37:56 PM » |
|
nice goin............very nice indeed.........
ho sake to aey khuda mujhe itni sada dena maut per unki mera bhi janaza saja dena
cheen lena wafaaye meri karke mujhe ruswa mere jismpe karke jhakham unko dawa dena
rehmo karam ki nazar se har saans per meri dhadhke jitni dhadkane utni unko duaa dena
..........................@fahi@.................................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #19 on: December 03, 2006, 01:10:42 PM » |
|
Very nice friends !! Bohot khoob !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanha dil tanha safar
Guest
|
|
«Reply #20 on: December 05, 2006, 05:54:22 AM » |
|
The last words She told me...................
Mujhko parakhne ka natija kya nikla Zakhm-e-dil nazron as bhi gehra nikla tod ke bhi dekh liya aaina mere dil ka bata teri surat ke siwa kya nikla.....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #21 on: December 05, 2006, 09:45:09 AM » |
|
kisi ki yaad mein hamne aaj pee ke dekha zindagi aaj tujhe kuch aise maine jee ke dekha
kyu khirkee se jhaankate hain yeh sitaare kya inhone bhi meri tarah umar bahr chaand ka rasta dekha
koi manzil aur bhi hai kya ishq ki yahan per maine toh har pal ek tanaha rasta sa yahan per dekha
bujha diya maine apne dil mein har umeed ka chiraag per dil ne raat bhar kiske khawaabo ka rasta yahan dekha !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
vikas2210
Guest
|
|
«Reply #22 on: December 05, 2006, 09:49:12 AM » |
|
kaya baat hai bahot hi kboob dosto... bahut hi accha likha hai sabne.......
na mil saka payar to kaya na pa saka kisi ka saath to kaya zindgi sarakti lagti hai haatho se to kaya payar ka yeh roop to humne hi dekha........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #23 on: December 07, 2006, 04:36:54 PM » |
|
nice...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #24 on: December 08, 2006, 01:04:47 PM » |
|
shukriya ji ....bahut dino baad aap aaye .....
kabhi jo jhanka kisi ki nazaro mein toh har ek shaks ki apni alag kahani hai...
yahan kaun kisi ka hota hai har kisi ko apni manzil khud hi paani hai
kabhi mila jo saaya kisi ka yahan woh toh bas pal do pal ki kahaani hai
kabhi furast mein sunana yeh dard ki dastaan abhi toh aankho mein mere bas ek dariya tufaani hai !! BAHUT KHUB LIKHA YAAR....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #25 on: December 09, 2006, 10:36:15 AM » |
|
shukriya .....
jo beeti hai dil per kab uski shikayat hamane ki hai is dil ko har pal dharkane ki saja hamne yahan di hai na jaane kis ki khushboo se thaa mera jehan roshan meri aankho mein aaj bhi tasveer yeh kiski dikhaayi di hai!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ALONE BAD
Guest
|
|
«Reply #26 on: December 10, 2006, 09:32:02 AM » |
|
very nice everyone.........
* Uljhan ye dil ki suljhaaoon kaise rutha hai tu tujhae manoon kaise gila nahi kiya kabhi tujhsae lekin rota hai dil ye bataoon kaise..........*
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ALONE BAD
Guest
|
|
«Reply #27 on: December 10, 2006, 09:32:35 AM » |
|
very nice everyone.........
* Uljhan ye dil ki suljhaaoon kaise rutha hai tu tujhae manoon kaise gila nahi kiya kabhi tujhsae lekin rota hai dil ye bataoon kaise..........*
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #28 on: December 27, 2006, 02:02:39 PM » |
|
shukriya .....
jo beeti hai dil per kab uski shikayat hamane ki hai is dil ko har pal dharkane ki saja hamne yahan di hai na jaane kis ki khushboo se thaa mera jehan roshan meri aankho mein aaj bhi tasveer yeh kiski dikhaayi di hai!! BAHUT KHUB.......
AB IS GULISTAAN MEIN AATA HI NAHI WO MAUSAM, MERE BAAGO KE JO PHUL KHILA DETA THA. USNE NAFRAT KE ANDHERO MEIN MUJHE KAID KIYA, UJALA BAN KAR JISE MAIN RAAH DIKHA DETA THA.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #29 on: December 27, 2006, 02:06:25 PM » |
|
very nice everyone.........
* Uljhan ye dil ki suljhaaoon kaise rutha hai tu tujhae manoon kaise gila nahi kiya kabhi tujhsae lekin rota hai dil ye bataoon kaise..........* BAHUT KHUB....
DILO KE FAASLE MITTE HI NAHI, HUMNE KAI BAAR CHAHA THA MITANA. UNKI BERUKHI KA KYA HAAL BAYA KARU, UNHONE CHAHA THA MERE DIL-E NAADAAN KO JALANA......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|