DostoN ...
kafi din ho gaye shayri.com pe likhte hue... jo pyar wahaN mila shayad kahiN na mil sake ... bohat suna is bazm ke bare main... socha kyuN na yahaN bhi kuch dostoN ko apna banaya jaye ... khair dekhte hai .. meri kismat maiN yahaN kya hai... apni ek koshish jo pehle post to wahin ki thi.. par yahaN pehle kalaam ke roop maiN pesh kar raha huN ... umeed hai aap logoN ka pyar mujhe jaroor milega ...
--------------------------------------------------------------
Chale aaye wo yaar aaj apne gareebkhane main…
Aur hum kar gaye kayi khatayeN anjaane maiN…
ye kya nasha tha meri aankhoN maiN ja samaya…
ruth gayi khushi wo, umra lagi jise kamane maiN…
Kya khabar thi wo bura maan jayeNge is kadar…
Ki humeN lag jayeNge kayi baras manane main…
Na rok saka unhe maiN bebasi ye kaisi chayi thi…
Ye saza hai meri, gujar duN jindgi pachtane main…
Kal ka kya bharosha, yakeeN ho bhi jayega unhe…
Hum na rahe, kahiN kar deN itni dair batane maiN…
wahi manzar wahi jism, na raha wo ‘saccha_pyar’…
ghar luta apna, duniya sajayi hai maikhane main…
Aur na poocho dastaan-e-mohbbat e jamane walo…
Hai yai kahani meri, suna dala jise is tarane maiN …
kyuN aaye wo yaar aaj apne gareebkhane main…
kar gaye kyuN hum kayi khatayeN anjaane maiN…
kunal Kunal ji really too good main aaj tak yoindia ke sivaye kahin aur nai likha
lekin acha laga yahan aapki post padhke thanks ki aap yahan aaye verna hum tuh aapki sayari se marhum reh jate .........keep it up
Aate hai log milte hai chale jate hai
hume kyun har baar tanha hi chod jate hai
hum karte hai unka intazar sadiyon se
ek vo hai jo bas yunhi hume satate hai
hum har roj ek naya khwab dekhte hai
ek vo hai jo usse chur chur kar jate hai
kya hai ye mahobaat kyun iske dastur nirale hai
hum dete hai jaan unpe aur vo muskura ke chale jate hai