Unhi Jiye Jaate Hai

by Pooja on March 18, 2008, 04:13:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 938 times)
Pooja
Guest
Hote hai tere hatho be-izaat
Phir bhi tujhi ko chahte hai
Pyar kahe kaya isko hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Her dukh mila hai tujhse
khushi kyun tere sung hi paate hai
Zindagi kahe kaya isko hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Tanha tanha sa ye mera jeevan
Tere hote hue, tanha jiye jaate hai
Khud ko ek zinda lash kahe hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Na kuch tera na kuch mera
Phir kis liye jhagre jaate hai
Insaniyat ka her rang bhoole jaate hai
Hum bas unhi jiye jaate hai….
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
(¨`v´¨) Jaate Jaate Woh Hum Ko Achi Nishani De Gaye (¨`v´¨) by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jaate jaate meri sansar chali gayee by Rajeev_bekhudi in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAATE JAATE WHO KUCCH AAISA NISHAANI DE GAYE by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 18, 2008, 06:10:24 PM »
Dard aor dil ke darmiyaan kaya rah jaata hai
Her taraf kyun tera hi aks najar atta hai
Zindagi meri se, her noor ko churane wale
Ajj bhi dil tere intzaar main, najar atta hai!!

Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: March 18, 2008, 06:54:35 PM »
Lajawaab Shayeri Pooja..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 18, 2008, 07:08:34 PM »
Shukaria Aryaan ji.. mujhe to laga shayad yah kisi ko na samjh aai hai na hi pasand!! kisi ka koi commnets hi nahi mila...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 18, 2008, 07:12:01 PM »
Hote hai tere hatho be-izaat
Phir bhi tujhi ko chahte hai
Pyar kahe kaya isko hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Her dukh mila hai tujhse
khushi kyun tere sung hi paate hai
Zindagi kahe kaya isko hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Tanha tanha sa ye mera jeevan
Tere hote hue, tanha jiye jaate hai
Khud ko ek zinda lash kahe hum
Ya bas unhi jiye jaate hai

Na kuch tera na kuch mera
Phir kis liye jhagre jaate hai
Insaniyat ka her rang bhoole jaate hai
Hum bas unhi jiye jaate hai….


Dard aor dil ke darmiyaan kaya rah jaata hai
Her taraf kyun tera hi aks najar atta hai
Zindagi meri se, her noor ko churane wale
Ajj bhi dil tere intzaar main, najar atta hai!!



BAHUT KHOOOOB POOJA...BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE.. Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 18, 2008, 10:17:17 PM »
Bohot achcha likha hai Pooja Applause sorry main pehle dekh hi nahin paayi..pehle waali poem to bohot hi achchi hai....
Logged
rashigupta
Guest
«Reply #6 on: March 19, 2008, 12:06:29 PM »
bohot khoob pooja..kya depth hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: March 19, 2008, 02:58:44 PM »
shukaria khwaish ji, TALAT AND RASHI!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2008, 07:27:48 PM »
Ghar se office, office se ghar
Beet gaye din, beet gaye varsh
Ankho se dekhu sadkein wahi nit
Chintao ki jalati man main chita nit

Sawal kai per jawab nahi hai
Khokhli baato main koi jaan nahi hai
Beekhari beekhari in sanson main
Hansi main ab wo praan nahi hai

Thaki thaki subah, dari dari raatein
Khud se hi karte rahte hai dunia ki baatein
Dunia ke najaro se bhi anjaan nahi hai
Chalti in saanson mai koi jaan nahi hai

Ghar se office, office se ghar
Beet gaye din, beet gaye varsh….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 02, 2008, 07:47:44 PM »
Ghar se office, office se ghar
Beet gaye din, beet gaye varsh
Ankho se dekhu sadkein wahi nit
Chintao ki jalati man main chita nit

Sawal kai per jawab nahi hai
Khokhli baato main koi jaan nahi hai
Beekhari beekhari in sanson main
Hansi main ab wo praan nahi hai

Thaki thaki subah, dari dari raatein
Khud se hi karte rahte hai dunia ki baatein
Dunia ke najaro se bhi anjaan nahi hai
Chalti in saanson mai koi jaan nahi hai

Ghar se office, office se ghar
Beet gaye din, beet gaye varsh….


Bahut Bahut khoob!!!

"Beekhri Beekhri Inn saanson mein,
Hassi mein ab woh Praan nahi.."

pooja, aapne sadhaaran se aksharo mein bahut gehri baat likhi hai. Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2008, 07:52:07 PM »
bahoot bahoot shukaria Khwaish ji!! Kuch dino se aise lagta hai jaise mera likha ajkal kisi ko samjh hi nahi aa raha hai... padte bahoot hai (view# se pata chal jaata hai) magar comments koi nahi deta !!

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:44:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer