unke ane ka sapna dekha phir se...

by Meena on December 16, 2004, 05:13:06 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 5022 times)
stalin
Guest
«Reply #30 on: December 28, 2004, 06:39:11 AM »
"gairon se milo tum mujhe shiqva bhi nahi hai
 lekin ye tarika bhi koi achha to nahi hai"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ak din maine ak sapna dekha by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
***meine dekha hai ek sapna*** by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
kal mane ek sapna dekha hai, us sapne may khud ko marta dekha hai by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Meena
Guest
«Reply #31 on: December 29, 2004, 11:22:24 AM »
agar shikwa nahin to yeh shikayat kyu,
agar dard nahin to yeh tadap kyu?
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #32 on: December 29, 2004, 12:54:55 PM »
well said meena g!
Logged
Meena
Guest
«Reply #33 on: December 29, 2004, 03:21:36 PM »
shukriya meherbani  :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: December 29, 2004, 04:27:06 PM »
jise le gaye hai abhi hawaa, wo warq tha dil ki kitaab ka
kaheen aansuon se mita huwaa, kaheen aansuon se likha huwa!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #35 on: December 29, 2004, 04:37:14 PM »
wowowwow   superb................all...........  meena......aryan,....stalin........  :lol:
Logged
Meena
Guest
«Reply #36 on: December 29, 2004, 04:59:51 PM »
Quote from: "Aryaan"
jise le gaye hai abhi hawaa, wo warq tha dil ki kitaab ka
kaheen aansuon se mita huwaa, kaheen aansuon se likha huwa!


beautiful!!!!!!!!!!

jo asoowon se likhi hui dastan woh pad lete,
to zindagi me kami kis baat ki thi...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: December 30, 2004, 08:23:17 AM »
Shukriya Waheed & Meena...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #38 on: December 30, 2004, 08:46:00 AM »
THATS THE BEAUTY ARYAAN,KEEP WRITING.
Logged
stalin
Guest
«Reply #39 on: December 30, 2004, 09:53:08 AM »
" bhooley hain rafta rafta unhe muddaton mein hum
  kishton mein khudkushi ka maja humse lijiye
  aagazh-e-aahon ka maja aap janiye
  anjam-e-aashiqui ka maja humse lijiye"
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #40 on: December 30, 2004, 10:48:06 AM »
Quote from: "stalin"
" bhooley hain rafta rafta unhe muddaton mein hum
  kishton mein khudkushi ka maja humse lijiye
  aagazh-e-aahon ka maja aap janiye
  anjam-e-aashiqui ka maja humse lijiye"


superb.........stalin.........bahot accha likhte hain aap :lol:  very nice........

jafa ju ishq mein hoti hai woh jafa hi nahi
sitam na ho tu mohabbat mein kuch maza hi nahi...........
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: December 30, 2004, 05:06:15 PM »
Thanx Nidhi...

Nice1 Waheed..
Logged
stalin
Guest
«Reply #42 on: December 31, 2004, 04:06:03 AM »
'"shikwa to muhabbat ki buniyaad pe kiya tha
  kya pata tha ke muhabbat hi na rahegi"
Logged
HumTum
Guest
«Reply #43 on: February 11, 2005, 06:07:26 PM »
Quote from: "Meena"
dil ki dhadkan humari tej hone lagi,
woh aa jo baithe hai mehefil me phir se,

jo nazar meri unki nazar se mili,
to woh purani yaadein aaj taza hogayi phir se,

sabse nazre chuka kar is sham ki ronak hai woh,
yuh laga jaise pyar mera samajhne lage woh phir se,

jab yaaron ne ki humse guzarish ek nagme ki,
to hal-e-judai sunane lage hum phir se,

samjha to tha ke ayegi unki ankhon me bhi nami,
par woh te jo muskura kar door chal diye phir se,

hum pukarte gaye aur woh door chalte rahe,
yuh nadani me hum une rokne ki koshish karte rahe phir se,

kafi der tak dekhte rahe apne armano ki chitta ko,
aur tanhai hum pe hasne lagi phir se,

dil ko to aab tak nahin yakeen unki is beruhki pe,
jo har raat unke laut ane ka sapna dekhte hai phir se.


sari ki sari rachna bhoot hi sunder hai.... to aagey arz hai....

kuchh Khayaal aate hain aur aa ke chale jaate hain
aainaa saa mujhe dikhalaa ke chale jaate hain

saath mar ke bhii rahaa mere Gam-e-tanhaaii
varnaa ahabaah to dafanaa ke chale jaate hain

kitanii badanaam hai baazaar-e-muhabbat men vafaa
log is chiiz ke paas aake chale jaate hain

jin ko ham apanaa samajhate the vahii ham ko "HumTum"
dekh lete hain to kataraa ke chale jaate hain .....

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #44 on: February 11, 2005, 06:08:53 PM »
shukriya ji! :D  apne bih bohot acha likha!

 :D
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:47:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer