unke ane ka sapna dekha phir se...

by Meena on December 16, 2004, 05:13:06 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 5137 times)
Arifa
Guest
«Reply #45 on: February 12, 2005, 11:36:24 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
dil ki dhadkan humari tej hone lagi,
woh aa jo baithe hai mehefil me phir se,

jo nazar meri unki nazar se mili,
to woh purani yaadein aaj taza hogayi phir se,

sabse nazre chuka kar is sham ki ronak hai woh,
yuh laga jaise pyar mera samajhne lage woh phir se,

jab yaaron ne ki humse guzarish ek nagme ki,
to hal-e-judai sunane lage hum phir se,

samjha to tha ke ayegi unki ankhon me bhi nami,
par woh te jo muskura kar door chal diye phir se,

hum pukarte gaye aur woh door chalte rahe,
yuh nadani me hum une rokne ki koshish karte rahe phir se,

kafi der tak dekhte rahe apne armano ki chitta ko,
aur tanhai hum pe hasne lagi phir se,

dil ko to aab tak nahin yakeen unki is beruhki pe,
jo har raat unke laut ane ka sapna dekhte hai phir se.

sari ki sari rachna bhoot hi sunder hai.... to aagey arz hai....

kuchh Khayaal aate hain aur aa ke chale jaate hain
aainaa saa mujhe dikhalaa ke chale jaate hain

saath mar ke bhii rahaa mere Gam-e-tanhaaii
varnaa ahabaah to dafanaa ke chale jaate hain

kitanii badanaam hai baazaar-e-muhabbat men vafaa
log is chiiz ke paas aake chale jaate hain

jin ko ham apanaa samajhate the vahii ham ko "HumTum"
dekh lete hain to kataraa ke chale jaate hain .....

HumTum

bohat acha likha hai meena aap ne aur hum tum ne bhi

mere dil ko dukhane wale
 tujh ko kiya malom
ke
mujhe tumhari mohabbat ki khatir
kiya kuch sahena pada
tujhe kiya maloom
ke
koun koun se zakm
mere wajood ko demak ki traha kha gaye
magar
tum ko shayid ye khabar na ho
kion ke
patthar ko kiya ehssas
koun khada hai iske paas
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ak din maine ak sapna dekha by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
***meine dekha hai ek sapna*** by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
kal mane ek sapna dekha hai, us sapne may khud ko marta dekha hai by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Meena
Guest
«Reply #46 on: February 12, 2005, 04:59:47 PM »
thanx a lot arifa sis! apne bohot hi acha likhaaaa!!!

pattar ke ansoon shayad dikhte na ho,
par rota bhi hai par humse nahin!
Logged
Meena
Guest
«Reply #47 on: February 12, 2005, 05:37:31 PM »
thank u gum ji!

 :D

bohot acha likha apne!

 :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #48 on: February 12, 2005, 06:01:23 PM »
Raqeebon ki sunte sunte,
doston ko bhool jaate hai,
barson mein aap ne itnaa bhi na socha,
thukraae hue apne kahaan jaate hai...
Logged
Arifa
Guest
«Reply #49 on: February 12, 2005, 09:43:12 PM »
Quote from: "Meena"
thanx a lot arifa sis! apne bohot hi acha likhaaaa!!!

pattar ke ansoon shayad dikhte na ho,
par rota bhi hai par humse nahin!

thanks meena

har dhadkte patthar ko log dil samajhte hain
umarie beet jati hain dil ko dil banane mein
Logged
Meena
Guest
«Reply #50 on: February 13, 2005, 08:59:57 AM »
Quote from: "Arifa"
Quote from: "Meena"
thanx a lot arifa sis! apne bohot hi acha likhaaaa!!!

pattar ke ansoon shayad dikhte na ho,
par rota bhi hai par humse nahin!

thanks meena

har dhadkte patthar ko log dil samajhte hain
umarie beet jati hain dil ko dil banane mein

wahhhhhhhhhhhhhhh arifa sis toooooooooooooo gudddddd!!!!!!!!!!! kya sach kaha apne!!!!!!!! waise to koi jawab nahin is baat ka bas yehi kehna chahongi ke:

chalo koi to kam mil gaye hume zindagi guzarne ke liye,
nakam jo honge to khud ke hi liye!
Logged
Meena
Guest
«Reply #51 on: February 13, 2005, 09:00:37 AM »

thycreator
Guest
«Reply #52 on: February 13, 2005, 09:10:13 AM »
Quote from: "Arifa"
Quote from: "Meena"
thanx a lot arifa sis! apne bohot hi acha likhaaaa!!!

pattar ke ansoon shayad dikhte na ho,
par rota bhi hai par humse nahin!

thanks meena

har dhadkte patthar ko log dil samajhte hain
umarie beet jati hain dil ko dil banane mein

Wah Arifa ji......kya bat hai...
Dil toh dil hi hai ji koi patthar toh hai nahi,
Jamane ke sitam isko jara kathor karte hai,
Magar ye bhi toh sach hai ek gar samjha jaye,
Sacche pyar se patthar bhi pighla karte hai.
Logged
Meena
Guest
«Reply #53 on: February 13, 2005, 09:17:37 AM »
niceeee creator ji!!!

pyar hi dil ko pattar banata hai,
pyar hi pattar ko piglata hai
samajh na paye hum is baat ko kabhi,
jane kaise yeh pyar sabse ristha nibata hai!
Logged
shayarbabu
Guest
«Reply #54 on: February 13, 2005, 03:55:33 PM »
apni khushiyaan mitatay rahay
hum unki ulfat ko dil mein basatay rahay

wo daman apna mujhse churatay rahay
hum unki farkat mein dil ko jalatay rahay

wo zulm o sitam mujh pay jo dhatay rahay
hum inke dye dard dil mein samatay rahay

wo nafrat say humko dil say bhulatay rahay
hum unki tasweerein dewaroon pay banatay rahay

wo khushiyoon ki mehfilein ghairoon mein sajatay rahay
hum tanhaiyoon say apne dil ko behlatay rahay

wo to meri jag hunsi bhi karatay rahay
hum to dil pay apne khanjar chalatay rahay

wo premi ko umer bhar tarpatay rahay
hum phir bhi naam unka hontoon pay latay rahay
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: February 13, 2005, 04:17:11 PM »
Waah!!! all!!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #56 on: February 13, 2005, 04:39:52 PM »
Quote from: "shayarbabu"
apni khushiyaan mitatay rahay
hum unki ulfat ko dil mein basatay rahay

wo daman apna mujhse churatay rahay
hum unki farkat mein dil ko jalatay rahay

wo zulm o sitam mujh pay jo dhatay rahay
hum inke dye dard dil mein samatay rahay

wo nafrat say humko dil say bhulatay rahay
hum unki tasweerein dewaroon pay banatay rahay

wo khushiyoon ki mehfilein ghairoon mein sajatay rahay
hum tanhaiyoon say apne dil ko behlatay rahay

wo to meri jag hunsi bhi karatay rahay
hum to dil pay apne khanjar chalatay rahay

wo premi ko umer bhar tarpatay rahay
hum phir bhi naam unka hontoon pay latay rahay

wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh bohot acheeeeeee!!!!! superrrrrrrrrrrrrr!!

 :D
Logged
Arifa
Guest
«Reply #57 on: February 13, 2005, 06:19:41 PM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "Arifa"
Quote from: "Meena"
thanx a lot arifa sis! apne bohot hi acha likhaaaa!!!

pattar ke ansoon shayad dikhte na ho,
par rota bhi hai par humse nahin!

thanks meena

har dhadkte patthar ko log dil samajhte hain
umarie beet jati hain dil ko dil banane mein

wahhhhhhhhhhhhhhh arifa sis toooooooooooooo gudddddd!!!!!!!!!!! kya sach kaha apne!!!!!!!! waise to koi jawab nahin is baat ka bas yehi kehna chahongi ke:

chalo koi to kam mil gaye hume zindagi guzarne ke liye,
nakam jo honge to khud ke hi liye!

thanks meena , tum ne bhi kiya khoob kha hai

guzar rahi hai isi bharose abhi tou umare rawa humari
kabhi tou badle ge din humare kabhi tou raas aaye ga zamana
Logged
shayarbabu
Guest
«Reply #58 on: February 13, 2005, 07:26:15 PM »
wowwwwwwwwwwwwwww meena

bohot chaha k usko bhula doon magar na bhula paya.........
jab bhi mehfil mein zikr e wafa huwa zuban pay uska hee naam aya
Logged
Meena
Guest
«Reply #59 on: February 14, 2005, 08:57:32 AM »
thanx shayarr!!!

une bhoolana munkin hota to aaj ankhen nam na hoti,
jo unka saath milta to aaj zindagi me meri sham na hoti!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:41:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer