Unse Puchha....

by angel4u on August 26, 2006, 05:40:35 AM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 4451 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #45 on: September 24, 2006, 09:07:41 AM »
Quote from: "angel4u"
hMM jawab to kafi achha diya hai aapne par isse aur sawal Man Me ubhar aate hai... (actually na Mere sawal kabhi khataM na honge :lol: )


Khushiyan To Wo Jaanewala Hi Apne Saath Le Gaya,
Jo Karvan Laaya Tha Wo Bhi Sang Sang Uske Kho Gaya,
Jise Maanga Tha Khuda Se Mannaton Mein,
Aaj Wo Kisi Aur Ki Hi Duwayein Maangne Mein Kho Gaya,
Sahara Kya Maangein Ab Kisi Aur Se HuM,
HaMara To Saaya Tak Besahara Ho Gaya,
Wo Laaya To Tha Khushiyon Ki Haseen Chandni
Par Saath Unke GaM Ke Andhere Bhi Chhod Gaya,
Koi Jaakar Zara Unse Puchhe,
Jo Rehta Tha In Aankhon Mein Khwabon Ki Tarah
Aaj Kyon Wo Aankhonki NaMi Ban Gaya...


srry kafi dino baad aaye hai so jawab dene mein deri ho gayi hai ....

shayed wo humari kami ban gaye hai..
isiliye aankho ki nami ban gaye hai.
aaj dil unke pyaar se khali hai.
bas isiliye to ye aankhe pad gayi kaali hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar Ne Puchha… by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindgi ne puchha by praveen k in SMS , mobile & JOKES
mujhse meri maa ka pata puchha by soudagar in Miscellaneous Shayri
khuda ne ek maa se puchha by soudagar in Quotable Phrase and Quotes
GHAMON NE HAS KAR MERA HAAL PUCHHA HAO by sahal in Shayri-E-Dard
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #46 on: September 24, 2006, 09:08:03 AM »
Quote from: "angel4u"
hMM jawab to kafi achha diya hai aapne par isse aur sawal Man Me ubhar aate hai... (actually na Mere sawal kabhi khataM na honge :lol: )


Khushiyan To Wo Jaanewala Hi Apne Saath Le Gaya,
Jo Karvan Laaya Tha Wo Bhi Sang Sang Uske Kho Gaya,
Jise Maanga Tha Khuda Se Mannaton Mein,
Aaj Wo Kisi Aur Ki Hi Duwayein Maangne Mein Kho Gaya,
Sahara Kya Maangein Ab Kisi Aur Se HuM,
HaMara To Saaya Tak Besahara Ho Gaya,
Wo Laaya To Tha Khushiyon Ki Haseen Chandni
Par Saath Unke GaM Ke Andhere Bhi Chhod Gaya,
Koi Jaakar Zara Unse Puchhe,
Jo Rehta Tha In Aankhon Mein Khwabon Ki Tarah
Aaj Kyon Wo Aankhonki NaMi Ban Gaya...


srry kafi dino baad aaye hai so jawab dene mein deri ho gayi hai ....

shayed wo humari kami ban gaye hai..
isiliye aankho ki nami ban gaye hai.
aaj dil unke pyaar se khali hai.
bas isiliye to ye aankhe pad gayi kaali hai
Logged
Tosha
Guest
«Reply #47 on: September 24, 2006, 09:18:36 AM »
bahut khoob Bhondu se Ji!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #48 on: September 24, 2006, 01:11:47 PM »
sukriya tosha ji.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #49 on: September 26, 2006, 01:27:12 PM »
Bahut khoob bhondu ji...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #50 on: September 26, 2006, 06:39:21 PM »
Bahut khoob likha hia bhondu ji aapne to.
Ek chhoti si koshish Meri bhi...


KaMi Unki Puri Ki HuMne Apni Tanhaiyonse,
Aankhonko Bhi Kar Diya Anjaan Ashkon Se,
Mohabbat To Wohi Nibha Nahi Paye,
Agar Hota Ek Ishara To Lad Lete HuM Apni Lakeeron Se...
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #51 on: September 29, 2006, 06:45:09 AM »
kuch kho diya...kuch paa liya...
humne eh dost yuh har lamha beeta diya
samjah kar meri tanhaion ko,unHone
Jeet ko hamdardi ka jama pehna diya
Logged
angel4u
Guest
«Reply #52 on: September 29, 2006, 04:49:11 PM »
nice one Jeet Ji...

Unse Puchhe Woh Khaloos Tha Ke KhuMar Tha,
Woh Junoon Tha Ke Halka Sa Nasha Tha,
Mujhe Sochne Mein ZaMana Laga,
Mujhe Manzilon Ne Bhula Diya,
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha,
Mujhe Usne Sooli Chadha Diya...

Kayi HaMsafar Kayi Rehguzar
Mujhe Raaste Me Mile Magar
Meri Tishnagi Kuch Aur Hai,
Meri Justajoo Koi Aur Hai...

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe
Magar Aansuon Me SaMa Sake,
Jo Chandki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilki ZaMeen Khila De,
Jo Mohabbat Ki Saari RasMein,
Lahoo Ke Rang Se Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai...

Magar Is Patthardil Duniya Mein,
Yahan Khwahishon Ke Kabrastaan Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Inhi Uljhano Me Ghira Hua,
Ek Aansu Aankh Se Khaak Tak Ka
Safar Tay Karta Chala Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #53 on: October 01, 2006, 05:44:52 PM »

Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Sath Hai,
Ek Teri Yaad Hai,
Jo Din Raat Mujhe Tadpaati Hai,
Ek UMMid Hai Tere Aane Ki,
Apna Tujhe Bananeki,
Na Chain Hai Na Sukoon Hai,
Ye Kaisa Mera Haal Hai,
Raatein Ho Gayi Hai Itni LaMbi,
Jo Kate Nahi Katti,
Na Bhukh Hia Na Pyas Hai,
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai,
Bas Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Saath Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #54 on: October 01, 2006, 05:46:28 PM »

Baarishon Ka MausaM Hai,
Rooh Ki Fizaon Mein,
GaMzada Hawayein Hai,
Be-Sabab Udaasi Hai,

Is Ajeeb MausaM Mein,
Bekarar Raaton Mein,
Be ShuMaar Baatein Hai,
Anginat Fasane Hai,
Jo Bahut KhaMoshi Se,
Dil Pe Sehte Phirte Hia,
Aru Ba-AMer-E Majboori
Sabse Kehte Phirte Hia,
Aaj MausaM Achha Hai,
Aaj HuM Bahut Khush Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:02:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer