Us ka Wisaal ab Mere kahan Mukadaar main tha

by Farhan Sohail on April 03, 2013, 07:44:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 802 times)
Farhan Sohail
Guest


Us ka Wisaal ab mere kahan mukadaar main tha
Wohi se pher muntazir saya mere ghar main tha


Ajab shab manzar meri iss nazar ney dekha hai
Jab main na tha tu soya kon mere bistar main tha


La ilm tha agr tu meri muhabbat sey to
Raat pher bata kyun main tere har zikar main tha


Pochtay hain pata mujh se makeen wahin ke hi
Halankay ajnaabi main usi ke shehar main tha


Yaran e sahil mera alwidaa hi samjhay
Ishara madad ka jo kiya main nay bhanwar main tha


FARHAN SOHAIL
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hatoon ki lakiroon main kahan ho by sarafz in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Kahan Le Jaon Ai Dil Tanha Mere........ by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 10 11 »
mere khuda kahan hai tu by sankalp in Shayari-e-Parastish
kahan ye bus main k .... by tanishk_yadav in Shayri for Dard -e- Judai
```~~``~~```~~~``~~Ab Ujala kahan mere hayat me~~``~~~``~~`` by shad in Shayri for Khumar -e- Ishq
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: April 03, 2013, 08:03:32 PM »


Us ka Wisaal ab mere kahan mukadaar main tha
Wohi se pher muntazir saya mere ghar main tha


Ajab shab manzar meri iss nazar ney dekha hai
Jab main na tha tu soya kon mere bistar main tha


La ilm tha agr tu meri muhabbat sey to
Raat pher bata kyun main tere har zikar main tha


Pochtay hain pata mujh se makeen wahin ke hi
Halankay ajnaabi main usi ke shehar main tha


Yaran e sahil mera alwidaa hi samjhay
Ishara madad ka jo kiya main nay bhanwar main tha


FARHAN SOHAIL


achcha likha hai per mere khyaal se qafia  zikr aur shahr hoga is lehaaz se ham-qafia nahin hua . aap check kar lein
Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: April 03, 2013, 08:34:24 PM »
Farhan Sahaab Aadaab!


Bahut khoob janab, bade hi umdaa khayaalaat ko khoob lafzoN meiN dhala hai aapne... Badi achchi kalaam rahi.. Usual Smile


Humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
HaaN bechain sahaab ki baat gaur talab hai zaroor amal kareN... Usual Smile


Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Farhan Sohail
Guest
«Reply #3 on: April 03, 2013, 09:04:44 PM »
Parwaaz and Adil Saheb......!


Qafia darust hai, pher b main ne kafi ghoor kiya hai,


agr aap koi islah samjhain tu mujhay apni raye se zaror agah kijeye ga,


thanks
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #4 on: April 04, 2013, 02:10:07 AM »
Bahut Khoob.
Logged
shubham goyal
Guest
«Reply #5 on: April 04, 2013, 01:51:32 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:53:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer