us ne hamein kabhi na tha apnaya

by kaushikbhawna008 on June 25, 2008, 09:50:18 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 866 times)
kaushikbhawna008
Guest
kuch paane ki chaht mei hamne apna sab kuch hai gawaya
par us beraham ko ab tak meri mohobbat par yakin na aaya

jiske pyaar mei ham apno se juda ho gaye the
us beraham ne to hamein kabhi na tha apnaya

kaise bhul ki unko apna samajhne ki ham dil se ye puchte hain
jisne hamein kabhi apne dil mei tha na basaya

wo naam lete jarur the par dil mei unke koi aur thi
kyu mera dil unke ye andaaz samajh na paaya

lute hain ham khud apne dil hi k haathon kyu unhe ilzaam dein
aankho par mere mohobbat ka parda tha jo unki haqikat jaan na paya

mar mar har roz jiya karte hain ham unki yaad mei
har jakhm bardaash kiya hamne unpar koi ilzaam na lagaya

e-khuda rahe khushhal wo na gamo ka saya use chue kabhi
har dua hai uske liye jise mera kabhi khayal na aaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hamein na bhulana by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hamein by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hamein bhi ek gunaah ka hak hai by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
khuda ne tujhe apnaya by shyama in Shairy-E-Watan
Kabi Toh Hame Apnaya Hota by Shayaries_King in Share:Love Poetry
Sammual
Guest
«Reply #1 on: June 25, 2008, 10:59:38 AM »
Wah Wah Bahut Acha Likha Hai Bhawna Ji. Applause Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: June 26, 2008, 04:19:38 AM »
Bhawna Ji
Behtarin Likha Hai aapne,
Aur,
Muje Ek Andaaj Mila hai,
Aap Ki Baat Ko Suna Hai,
Kis Ne Kya Paaya Hai,
Kis Ne Kya Gawaaya Hai,
Ye To Wohi Jaane Jis Ne,
Apna Nasib Thukraya Hai...!!

Bhawana Ji Dil Ki Harr Baat Ko aap
Bade Hi Andaaj Me Shairana Mijaj Me
Pesh Karto Ho..Its Amazing 4 Me.


Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2008, 04:59:57 AM »
muhammed ji shukriya jo aapne hamari nazm ko padha aur saraha

khushi ki chah mei hamne khud ko bhi mita dalaa
use paane ki chaht mei apna sab kuch gawa dalaa
waqt k haatho lut gaya mera sapno ka jahan
gairo se kya karte gila jab apno ne hi najro se gira dalaa

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:47:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer