Us Saksh Mein Kuch To Baat Hai.

by majid on December 05, 2009, 06:55:27 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2532 times)
majid
Guest
Hijr Ke Sannaton Mein Dhalne Lagi Ab Raat Hai
Aur Hasraton Se Bhari Jaise Dil Ki Kaayanat Hai.

Woh Chand Mei Dur Ek Chehra Nzar Aa Raha Hai
Aur Aankhon Se Ho Rahi, Ashqon Ki Barsaat Hai.

Aksar Gungunata Rehta Hoon Usse Raah Chalte
Hr Pal Sang Mere Jaise Uski Yaadon Ki Baarat Hai

Us Sakhsh Mein Kuch To Baat Jarur Hai,Shihab
Jo Bichhad Ke Bhi Lagta Mujhe, Mere Saath Hai.
            

              {Shihab}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kuch dino ki baat hay... by shakeel_shaiki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch to ajeeb baat hai by FAREE in Shayri for Dard -e- Judai
Kuch Aur Baat Hoti by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
kuch saal pehle ki baat by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baat baat mein baat..... by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
ovais
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2009, 02:02:13 AM »
tu wahi kar jo tu chahta hai,
main wahi karta hon jo main chahta hon,
hota wahi hai jo tu chahta hai,
karta wahi hon jo main chahta hon.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: December 06, 2009, 06:20:58 AM »
Bahoot Bahoot Khoob Shihab..
Dard se bhari yea ghazal bahoot khoob likhi hai

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: December 06, 2009, 06:56:57 AM »
Bahut khoob Shihab ji,aapke sabhi kavita mein sirf dard hi nazar aati hai.mindblowing creation.excellent.Ovias ji aap kamaal ke likha. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: December 06, 2009, 08:30:36 AM »
Bahut Khub lIkha Hai shihab Bhai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2009, 08:32:23 AM »
BAHUT KHOOB SHIHAB JI
Logged
diya786
Guest
«Reply #6 on: December 06, 2009, 11:04:52 AM »
Hijr Ke Sannaton Mein Dhalne Lagi Ab Raat Hai
Aur Dil Mein Jhalta Hasraton Ka Ik Aaftab Hai.

Woh Chand Mei Dur Ek Chehra Nzar Aa Raha Hai
Aur Aankhon Se Ho Rahi, Ashqon Ki Barsaat Hai.

Aksar Gungunata Rehta Hoon Usse Raah Chalte
Hr Pal Sang Mere Jaise Uski Yaadon Ki Baarat Hai

Us Sakhsh Mein Kuch To Baat Jarur Hai,e Khuda
Jo Bichhad Ke Bhi Lagta Mujhe, Mere Saath Hai.!

Aj Mehfil Mei Aaya Hai To Kuch Likhta Chal Shihab
Aakhir Jo Aur Jaise Bhi Teri Zindagi Ke Haalata Hai.

             

    {Shihab}

Mashallah
bahut hi khoob likha hai Majid Bhai  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
ek choti si koshish ki hai maine bhi Bhai

Har taraf se aa rahi bas ek hi aawaaz hai
jo mujh mein is kadar simte hue hai...

Ek teri yaad hai jo dil mein mere
jo har lamha taaza rehti hai...

Tu hai hai woh ae mohabbat meri
jo na hokar bhi mujh mein rehti hai...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #7 on: December 06, 2009, 01:20:49 PM »
Shihabji...dard mai doobi aapki ye gazal kuchh khaas hai....
Lo taliyon ki barsaat hai... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Es gazal mai kuchh toh baat hai....
Dard ka dariya nahi koi sailaab hai...
Padh chuki hu par bujhi nahi pyaas hai...
Chaand mai aaj mujhe dikhta Aaftaab hai... sunny sunny sunny

Hijr Ke Sannaton Mein Dhalne Lagi Ab Raat Hai
Aur Dil Mein Jhalta Hasraton Ka Ik Aaftab Hai.

Woh Chand Mei Dur Ek Chehra Nzar Aa Raha Hai
Aur Aankhon Se Ho Rahi, Ashqon Ki Barsaat Hai.

Aksar Gungunata Rehta Hoon Usse Raah Chalte
Hr Pal Sang Mere Jaise Uski Yaadon Ki Baarat Hai

Us Sakhsh Mein Kuch To Baat Jarur Hai,e Khuda
Jo Bichhad Ke Bhi Lagta Mujhe, Mere Saath Hai.!

Aj Mehfil Mei Aaya Hai To Kuch Likhta Chal Shihab
Aakhir Jo Aur Jaise Bhi Teri Zindagi Ke Haalata Hai.

             

    {Shihab}
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: December 07, 2009, 08:56:31 AM »
Zarranawaji ka shukriya Shihab-bhai.... notworthy
"Jhamaal" shabd ka arth bataiye....dard hai ya roshni...tej ya mayusi...

Ye nazar-nazar ka fer hai,tum Dard o Gham Ka Jaal Dekhte
Main Khushiyon ka khawaab,Khula aakaash-Aaftaab dekhti hu

Meri muskurahat k peechhe chhipi tune ashqon ki maala dekhli
Ay dost Mere lafzo mai chhipi meri dard bhari kahani padhli.. tearyeyed tearyeyed tearyeyed


Aabad Yun Hi To Hai Hauslon Se ,Mere Dil Ka Aashiyana
Ji Himmat Ko Aur Barha Gaya Aapka Yun Taliyan Barsana.!


Nawaazish Bahut Bahut Shukariya Koyal Ji Pasand Karne K Liye
Aapka Tahe Dil Se Mashqoor Hun Ki Aapne Apna Waqt Diya.
Bahut Bahut Shukariya Ji...

Aur Rahi Baat Likhne Ki To Aapne Saaf Lafzon Mein
Badi Hi Pyari Baat Likhdi Hai Ji..Good Job.


Koshish Karta Hun Galti Maaf Ho.



Har Taraf Faila Dard o Gham Ka Jaal Dekhta Hoon
Tere Mayoos Chehre Pe Bhi Jhamaal Dekhta Hoon.
 
Jaane Kis Tarah Piroye Hai ,Tune Ashqon Ke Moti
Tere Har Lafz Mein Aey Dost Kamaal Dekhta Hoon.



Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #9 on: December 07, 2009, 06:36:25 PM »
Thanks a lot Shihab-bhai......

Welcome Behna....

Aur Jhamaal Ka Arth...(Saundarya) (Sundarta) (Surupata) Aur (Husn ) Bhi Hota Hai.

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: December 07, 2009, 07:39:28 PM »
Shukriya Shihab-bhai..dair se aaya durust aaya khayaal....

"khulus"....urdu k shabd mujhe kam aate hain....iska bhi arth bataiye.....
Always Behna....
Aur Aapke Rep Main Likhna To Bhool Hi Gya Tha Behna
Cahlo Abhi Likh Deta Hoon Kuch Shabd.Galti Maf Ho..


   Aapke Lafzon Mein Ajab Hi Khulus Hota Hai
Shayad Isliye Hume Aapka Dard Mehsus Hota Hai.!

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 07, 2009, 08:21:05 PM »
Hum bhi aap se Urdu lesson lenge Shihab Ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #12 on: December 07, 2009, 08:50:26 PM »
Thanks for explaining...itne saare meaning ek shabd ke...

Jo Huqum Behna...
Waise Hume Bhi Kum Hi Aate Hain
Khair....

Khulus Ke Bahut Se Arth Hai Unme Se Kuch Yeh Hai.



 (Wafaadari)

  (Saralta)

   (Sadgi)
     
  ( Nish,swarthata)

  (Be gharzi)

  (Sach,chi maittri)

Logged
sabir143
Guest
«Reply #13 on: December 20, 2009, 10:56:59 AM »
Hijr Ke Sannaton Mein Dhalne Lagi Ab Raat Hai
Aur Hasraton Se Bhari Jaise Dil Ki Kaayanat Hai.

Woh Chand Mei Dur Ek Chehra Nzar Aa Raha Hai
Aur Aankhon Se Ho Rahi, Ashqon Ki Barsaat Hai.

Aksar Gungunata Rehta Hoon Usse Raah Chalte
Hr Pal Sang Mere Jaise Uski Yaadon Ki Baarat Hai

Us Sakhsh Mein Kuch To Baat Jarur Hai- e -Dost
Jo Bichhad Ke Bhi Lagta Mujhe, Mere Saath Hai.

Aj Mehfil Mei Aaya Hai To Kuch Likhta Chal Shihab
Aakhir Jo Aur Jaise Bhi Teri Zindagi Ke Haalat Hai.!

             

    {Shihab}

Wah Wah Mari Jaan Su Kehwu Taru.
Mara Bhai Aa To Tari Wafaa Ni Vaat Chhe
K Door Thayne Pan Tane Aatlo Ehsas Chhe
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:27:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer