~~"USE NAKAMI MILI"~~

by k.shael on June 12, 2008, 08:17:10 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1867 times)
k.shael
Guest
THIS POEM IS DEDICATE TO THAT PERSON
WHO KNOWS HIS MISTAKE BUT DON'T WANNA
ACCEPT,I WANT 2 TELL HIM IT'S OK COME
BACK STILL I LOVE HIM....


USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR
NA KI, PASS THE HAM ISLIYE FIKAR NA KI
SATH CHALTE RAHE HAM BHI KABHI HAATH
PAKAD LENE KI HIMMAT NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

SAB KUCH DIYA USE KHUSHIYON SE JHOLI BHAR
DI, ZINDAGI MEIN UNKI TAMAM NAYI CHAHTE
BHAR DI,KHUD KI ZINDAGI ISSME HO GAYI
BARBAAD ISS BAAT KI FIKAR NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

EK DIN HUA EHSAAS KI UNKI ZINDAGI MEIN
MERI KOI JAGAH NAHI, UNKE DIL MEIN MERI
KOI CHAHAT HI NAHI, CHUP-CHAP CHOD KAR
UNHE CHALE AAYE HAM,ISS BAAT KI HONE UNHE
KHABAR NA DI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

DARD TO HUA BAHUT,DOORI UNKI MERI AANKH
KI NAMI BAN GAYI,SADIYON SE LAMBE HO GAYE
DIN SADIYON SE LAMBI RAATE HO GAYI,ZINDAGI
KO JEENE KI YAHI APNI AADAT HO GAYI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

KAL AACHANK DEKHA USE BAHUT PEETE HUE, KISI
NE BHI USE ROKNE KI HIMMAT NA KI, APNE HI
EHSAASO KO CHUPANE MEIN USE PEHLI BAAR NAKAMI
MILI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

KAL JANE KYUN USKE HI HAATHON USKI ZINDGI
TOOT GAYI, ITNA ROYA WO INSAAN KI USKI AANKHEN
HI SHOOKH GAYI, PAR AAB BHI THA GUMAN USE
AAPNE AAP PAR MUD KAR MUJHE BULANE KI
KOSHISH TAK NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

ROTA RAHA GAIROON KE DAMAN MEIN SER RAKH
KE, PAR MUJHSE AAPNI TAQLEEF TAK ZAHIR NA KI,
USE GAIROON KA SAHARA APNA LAGA AUR MERI
AAHAEN USE SUNAI NA DI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

HAME TO CHAH THI KI MAAF KARKE USE WAPIS
BULA LE PASS APNE PAR USNE AAB BHI AANE
KI ICHHA JAHIR NA KI, MALOOM TO HAI USE
APNI GALTI PAR SHAYAD AAB TAK MANNE KI
HIMMAT NA HUI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

HAM BHI MAJBOOR HAI CHAH KAR BHI BATA
SAKTE USKI TAQLEEF NAHI,SHYAD AAJ BHI
USE MERI ZAROORAT NAHI....

BY. K.SHAEL

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Tu Mili Bhi Nahin" by Qutubuddin in Shayri for Dard -e- Judai
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
~~~~~~""'"nazar-e-ishq"""~~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 12, 2008, 08:31:28 AM »
Shally,

Very beautifully penned down your feelings for a person whom you love so much Applause

Kayi baar insaan EGO ka shikar ho jaata hai...
Jhukna nahi chahta...
Kal he ek dost mujh se is baat par charcha kar raha tha...
Aaj tumne usi baat ko apni poem mein dohra diya...

Dua karta hoon ki tumhara pyar tumhe wapis mil jaye...

Ho sake to jise tumne yeh poem dedicate ki hai...koyi us takk pahuncha de aur woh jaan sake ki tum us se kitna pyar karti ho Applause

Kehte hain:

"TO ERR IS HUMAN
TO FORGIVE IS DIVINE"
- Alexander Pope
Logged
dolly.12
Guest
«Reply #2 on: June 12, 2008, 10:35:56 AM »
muhbat ki dasta sunane aaye hain,
tabah karne ke baad vo  pyar jatane aaye hain,
aansu poch liye the hmne kab ke.
magar vo phir se hme rulaane aaye hain  crybaby2  Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: June 12, 2008, 11:43:54 AM »
THIS POEM IS DEDICATE TO THAT PERSON
WHO KNOWS HIS MISTAKE BUT DON'T WANNA
ACCEPT,I WANT 2 TELL HIM IT'S OK COME
BACK STILL I LOVE HIM....


USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR
NA KI, PASS THE HAM ISLIYE FIKAR NA KI
SATH CHALTE RAHE HAM BHI KABHI HAATH
PAKAD LENE KI HIMMAT NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

SAB KUCH DIYA USE KHUSHIYON SE JHOLI BHAR
DI, ZINDAGI MEIN UNKI TAMAM NAYI CHAHTE
BHAR DI,KHUD KI ZINDAGI ISSME HO GAYI
BARBAAD ISS BAAT KI FIKAR NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

EK DIN HUA EHSAAS KI UNKI ZINDAGI MEIN
MERI KOI JAGAH NAHI, UNKE DIL MEIN MERI
KOI CHAHAT HI NAHI, CHUP-CHAP CHOD KAR
UNHE CHALE AAYE HAM,ISS BAAT KI HONE UNHE
KHABAR NA DI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

DARD TO HUA BAHUT,DOORI UNKI MERI AANKH
KI NAMI BAN GAYI,SADIYON SE LAMBE HO GAYE
DIN SADIYON SE LAMBI RAATE HO GAYI,ZINDAGI
KO JEENE KI YAHI APNI AADAT HO GAYI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

KAL AACHANK DEKHA USE BAHUT PEETE HUE, KISI
NE BHI USE ROKNE KI HIMMAT NA KI, APNE HI
EHSAASO KO CHUPANE MEIN USE PEHLI BAAR NAKAMI
MILI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

KAL JANE KYUN USKE HI HAATHON USKI ZINDGI
TOOT GAYI, ITNA ROYA WO INSAAN KI USKI AANKHEN
HI SHOOKH GAYI, PAR AAB BHI THA GUMAN USE
AAPNE AAP PAR MUD KAR MUJHE BULANE KI
KOSHISH TAK NA KI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

ROTA RAHA GAIROON KE DAMAN MEIN SER RAKH
KE, PAR MUJHSE AAPNI TAQLEEF TAK ZAHIR NA KI,
USE GAIROON KA SAHARA APNA LAGA AUR MERI
AAHAEN USE SUNAI NA DI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

HAME TO CHAH THI KI MAAF KARKE USE WAPIS
BULA LE PASS APNE PAR USNE AAB BHI AANE
KI ICHHA JAHIR NA KI, MALOOM TO HAI USE
APNI GALTI PAR SHAYAD AAB TAK MANNE KI
HIMMAT NA HUI,

USE CHAHTE RAHE HAM PAR USNE KADAR....

HAM BHI MAJBOOR HAI CHAH KAR BHI BATA
SAKTE USKI TAQLEEF NAHI,SHYAD AAJ BHI
USE MERI ZAROORAT NAHI....

BY. K.SHAEL

Very Touching.. Very well written.. Applause

Hum bhi dua karte hai, ki jinhe aap chahte ho, woh aapko hi chahe..
 

Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2008, 11:50:00 AM »
THANK U SOOOO MUCH,
RAJBIR JI....
DOLLY JI....
& MAHIYA JI....

THANX A LOT FOR APPRICIATE MY
WORK....

BY. K.SHAEL
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: June 12, 2008, 11:53:56 AM »
Shally,

Very beautifully penned down your feelings for a person whom you love so much Applause

Kayi baar insaan EGO ka shikar ho jaata hai...
Jhukna nahi chahta...
Kal he ek dost mujh se is baat par charcha kar raha tha...
Aaj tumne usi baat ko apni poem mein dohra diya...

Dua karta hoon ki tumhara pyar tumhe wapis mil jaye...

Ho sake to jise tumne yeh poem dedicate ki hai...koyi us takk pahuncha de aur woh jaan sake ki tum us se kitna pyar karti ho Applause

Kehte hain:

"TO ERR IS HUMAN
TO FORGIVE IS DIVINE"
- Alexander Pope


Sahi kaha Rajbir ji aapne..


Khamoshi muhabbat ki zubaan banaai kyon hai,
Halat dil ki ab tak tumne chhupaai kyon hai..
Jo bhi shikwe gile hai mil kar suljha lijiye aap,
Dosti mein daraaron ki jagah banaai kyon hai??


Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: June 12, 2008, 11:55:11 AM »
muhbat ki dasta sunane aaye hain,
tabah karne ke baad vo  pyar jatane aaye hain,
aansu poch liye the hmne kab ke.
magar vo phir se hme rulaane aaye hain  crybaby2  Applause

Good Reply... Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: June 12, 2008, 12:02:17 PM »
THANK U MAHIYA JI....

NA U DIJIYE ILJAAM HAME UNHE CHODNE
KA, KI HAM TO AAJ BHI UNHE KHUDA MANTE
HAI, KASOOR HAMARA NAHI HAMARI KISMAT
KA HAI JO WO HAME CHOD KAR KISI AUR KA
SAATH DUA MEIN MANGTE HAI....

MAHIYA JI USS INSAAN SE CHOOTNE KA DARD
ITNA JYADA HAI KI IN 4 LINES MEIN JAHIR
NAHI HO PAYEGA....
SORRY....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2008, 12:24:21 PM »
THANK U MAHIYA JI....

NA U DIJIYE ILJAAM HAME UNHE CHODNE
KA, KI HAM TO AAJ BHI UNHE KHUDA MANTE
HAI, KASOOR HAMARA NAHI HAMARI KISMAT
KA HAI JO WO HAME CHOD KAR KISI AUR KA
SAATH DUA MEIN MANGTE HAI....

MAHIYA JI USS INSAAN SE CHOOTNE KA DARD
ITNA JYADA HAI KI IN 4 LINES MEIN JAHIR
NAHI HO PAYEGA....
SORRY....

Yeh naa sochiye ilzaam aap par koi lagaya humne,
Is Duniya ka ek adna sa dastoor jo bataaya humne..
Aap ke liye toh dua ko hi uthhte raheinge haath,
Aapki muhabbat ke aage sir ko hai jhukaaya humne..


Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2008, 12:48:42 PM »
Shally dear kitna dard bhara kavita likha hai aapne
Bohat khoob nice lines and very emotional.. Clapping Smiley

Nice lines Mahiya..



Ek baat hai ki insaan jab kisi se pyaar karta hai to bepahna karta hai
Aur jab wahi pyar toot jaaye toh dil se bhi bohat dard bhari ashq nikalti hai
Meri duwaen aapke saath hai aapka pyaar aapko fir se mile.. notworthy


Jab muhabbat kiya hai toh nibhaya karen
Jab dil se dil mil jaaye toh chhupaya na karen
Toot gaye hain hum iss dard e muhabbat me.n
Aakir humse aankhon me.n aankhen chhuraya na karen
Dard hoti hai humen jab chhod jaate ho tanhaye me.n
Mat puchho humen kaise guzare ye waqt raaton ke andheron me.n
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2008, 03:07:10 PM »
 Applause Applause Applause bahoot khoob shally!! Dolly, MAhiya and Honey apne acha sath diya hai Shally ka!!

Meri lines shayad sabko ajeeb lage.. magar haqiqat ne yahi sikhaya hai:


Jo hai tera, wo tera hokar rahega
Jo nahi tera, to uska gum kab tak kare
umeend-e-chirag jalaye rakh jab tak ho sake tujhse
hai jo mohabbat tujhko itani, to kyun na izhaar bar bar kare!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 12, 2008, 03:10:09 PM »
Shally apki kavita kai baar pardi.. her baar ek he baat khatki.. koi pyar karne wala kaise apne pyar ko rota dekh kar bhi khamosh rah sakta hai..

uske ek ansoo per nikal jaaye jaan meri
wo ek baar koi ahsaas to dikhaye
cheekh cheekh kar main he laga lu usko gale
ek najar, sirf ek najar, wo pyar bhari to dikhaye!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: June 12, 2008, 03:14:28 PM »
Mahiya, Dolly, Honey

Bahut khoob ! Nice work by all of you !

@Pooja
I loved these lines...superbbbb Applause

"uske ek ansoo per nikal jaaye jaan meri
wo ek baar koi ahsaas to dikhaye
cheekh cheekh kar main he laga lu usko gale
ek najar, sirf ek najar, wo pyar bhari to dikhaye!!"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: June 12, 2008, 03:22:29 PM »
shukaria Veer ji!!
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #14 on: June 13, 2008, 06:39:51 AM »
k.shael ji bohut dard bhari kavita likhi hai aapne lagta hai aapne apna sara dard is kavita mei likh diya ho
ham dua kareinge jise aap chahti hain aapko wo mil jaayein
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:27:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer