Usey bewafa kaise kahun

by BeNam on November 14, 2005, 08:53:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1278 times)
BeNam
Guest
Chhod diya hai tham ke jo hath,
usey bewafa kaise kahun,
Do ghadi hi sahi diya tha toh sath,
usey bewafa kaise kahun,
Kabhi usney bhi ki thi apane dil ki baat,
usey bewafa kaise kahun,
Mukadar ka khel hai ke aaj hai tanhai ki raat,
usey bewafa kaise kahun!


---- BENAM ------
Banda majbur hai mahobaat main teri,
warna jhukana nahi hai fidarat main meri
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaise kahun ye ishq hai meri jaan.... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaise kahun by aapkipalak in Shayri for Khumar -e- Ishq
Usey bataon kaise.. by maya01 in Shayri for Khumar -e- Ishq
dost kahun ya pyar kahun by carajeshsingh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
KAISE KAHUN....cara by cara in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2005, 05:47:47 PM »
Wah Bahat khoob BeNam!!

Unki kaya kahu jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya!!

Roye Hein Buhoot Tab Zara Karaar Mila hay
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyar Mila hay!!

Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa Tou Dosra Tayar Mila hay!!

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hay!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2005, 04:41:38 AM »
-- Kya baat hai Pooja Ji! Her alfaz main dard hi dard paya hai humane!

Muddat hui ankhon ne roshani se dushmani ki hai,
Jab se woh daman gayi, andheron se dosti ki hai,
Kuch aur nahi sujhata bus ek uski mahobaat ke siva,
Humane zindagi ko unhi yaadon ke naam kar di hai!

---- BENAM ----
Banda majbur hai mahobat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: November 15, 2005, 06:36:16 AM »
bahut khoob ............BeNam jee n pooja jee......!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 15, 2005, 09:25:08 AM »
very  nice  Benam........Pooja  ..... bahot hi accha aap  dono ne likha....

Kitna Gham Chupha Hai Is Dard-E-Dil Me,
Koi Begana Kya Jaane
Hoti Hai Kitni Takleef Shamma Ko,
Yeh Dastaan Parwana Kya Jane.......................nm
Logged
BeNam
Guest
«Reply #5 on: November 15, 2005, 12:07:35 PM »
--- Thanks Salma ji  and Waheed ji !!!! --

Lutate hai dilon ke karvan,
Tutate hai khwabon ke shaher,
Kashtiyon dubati hai kinaro per,
jab apane hi dhate hai kaher!


--- BENAM -----
Banda Majbur hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: November 15, 2005, 03:40:29 PM »
Thanks BeNam, waheed and salma!!!

Dil ka andhera, jab se zindagi main chaya hay
Her ek ke dukh ko, humne apna samjh kar uthaya hai
Unke andhere, muje bahoot raas aaye hai,
Roshani ka door tak nahi, jeevan main ab koi saya hay!!

Daraty hay roshani ko jo hum  kabhi apnayegy
Andhre shayad tab apki kismet main chale jayegy!!
Yahi soch kar humne roshani ko bhi alvida kah diya
Issi bahanne se, roshani ko tumhaare sung kar diya!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:49:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer