Uski Yaad Mitai Na Gai

by Tamanna Azeem on January 04, 2008, 12:38:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1254 times)
Tamanna Azeem
Guest
Guzre lamhon mein jeene ki adat yaron chhodi na gayi,

Kya uss ki yaad qayamat thi, chaha to bohot bhulai na gayi,

Uss band purane kamre ko jo aaj achanak khol diya,

Tasweer lagi thi meiz pe jo dekhi na gayi phenki na gayi,

Dil dariya tha par kya karte logon pe karam kya farmate,

Sardaar the gham ki daulat ke, aisi daulat baanti na gayi,

Kuch honthon pe aa jati hai, kuchh kaghaz pe likh leti hoon,

Par aisi bhi ik baat hai jo boli na gayi likhi na gayi.....

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
uski yaad me by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 10 11 »
Har Cheez Uski Yaad Dilati Hai by Devdas_online in Shayari -e- Husn
~~~~>>SISAKTE HAIN HUM USKI YAAD MEIN<<~~~~ by Ninaah in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 19 20 »
Uski Yaad Bhoolne ke................... by ali_246 in Shayri-E-Dard
Uski yaad ko mitadonga by abdulqadeer in Ghazals
sika
Guest
«Reply #1 on: January 04, 2008, 01:19:12 PM »
kash hum tanha na hote
kash wo hamare dil mein na hote
kash unki yad mein hum na rote
to hum aansuon se yun barbad na hote
Logged
vicky_lvs
Guest
«Reply #2 on: January 04, 2008, 03:50:29 PM »
Dil Ki baaton ka bura maan k kaheta hao wo ye pyaar hai
mujh pe shak kerke bhi kaheta hai wo aatebaar hai

Aye meri hasraton ki jageer tu mujhe faqeera na bana
eak nazer dekh meri tarf k dil tujh pe kitna nisaar hai

tu meri aawaaz main meri khamoshi main eqraar kerta hai
meri es saadghi main bhi chopa tere liye pyaar be shomaar hai

main ne sikha hi nahi kuch yara mohbbat ka chalan
meri her eak baat se tu hota kiu bezaar hai

main tu aawaaz pe teri jaagti soti ho
meri her subha ki shabnam kahe aye raat tera entezaar hai

kab talak waqfi mohbbat se jod ke todega mujhe
her zara si baat pe taomhat teri tayiyaar hai

apni ulfat ka bayaan sunane aayi hai kanwal
meri es ghazal ka mukhlis sirf mera yaar hai

Dil Ki baaton ka bura maan k kheta hao wo ye pyaar hai
mujh pe shak kerke bhi kaheta hai wo aatebaar hai

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 04, 2008, 04:32:43 PM »
BAHUT KHOOB TAMANNA AZEEMJI,BAHUT ACHA LIKHTE HO AAP...
VICKY_LVS,AAPNE BHI BAKHOOBI LIKHA..WELCOME TO YOINDIA..
BAHUT ACHE SIKA...
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #4 on: January 05, 2008, 03:46:44 AM »
very nice dosto. keep it up.

e dost na kagaj par likh na dil mai rakh.
jo hai tere dil mai aaj to en dosto ke saamne baya kar.
yeh sunhera awsar chala gaya to phir lot kar na aayega,
tere payaar kisi or ka ho jayega agar tu yu hi zindagi bhar sharmayega.

prem
Logged
Tamanna Azeem
Guest
«Reply #5 on: January 05, 2008, 02:18:08 PM »
Thankyou Friends 4 appreciating me.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2008, 02:27:38 PM »
tamanna ji & vicky ji
bahoot hi sunder lines likhe hai aap
dono ne. ( WELCOME TO YOINDIA)

sika ji & prem ji
bahut aache keep it up

Baadal
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2008, 03:53:43 PM »
 Tamanna Azeem ji acha likha hai appne .. Usual Smile
Logged
banku
Guest
«Reply #8 on: January 05, 2008, 07:01:00 PM »
Really Really Nice..... Every Single Line is deeply meaningful .... Thanks for Sharing........
Logged
hema_arun
Guest
«Reply #9 on: January 07, 2008, 11:51:56 AM »
"ya to main dooriyon ki sunu,
 jo ki aksar tujhe mujhe tere pass bulati hain,
 ya phir mazbooriyon ki,
 jo aksar mujhe tujhse door le jaati hain."
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:47:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer