uski yaad

by majid on June 06, 2006, 02:51:49 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1637 times)
majid
Guest
Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat
Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aayi bohat

Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gaye
Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat

Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga
Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat

Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon
Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat

Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha "APNA"
Woh humaray dukh pay na janay kyon muskuraya bohat
                 N/M
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
uski yaad me by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 10 11 »
Uski Yaad Bhoolne ke................... by ali_246 in Shayri-E-Dard
Uski Yaad Mitai Na Gai by Tamanna Azeem in Shayri-E-Dard
Uski yaad ko mitadonga by abdulqadeer in Ghazals
~Yaad main uski~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
nikki
Guest
«Reply #1 on: June 06, 2006, 02:56:50 PM »
wonderfull Majid....kamaal ka likha hai....

humne to har pal usse yaad kiya hai
woh chahe na maane

rabb se guzarish hai meri
woh jahan bhi rahe salamat rahe
kyunki har pal har ghadi usse pyar kiya hai maine

woh na jaane kin khayalon mein gum rehta hai
khud ke dil ki baat mujhse chupaye rakhta hai
aur khud ko mera humsafar kehta hai

na jaane kab, kahan, kaise aur kis mod par mujhse bichad gaya hai
aur kin logon ki mehfil mein apne dil ki kahani kehta hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: June 06, 2006, 03:22:03 PM »
oyeee jiiiiiiii?Huh? very nice jiiiiiiii

uske baat karne ka andaaz
woh uska har baat pe ghabra jaana
mere liye kuch bhi karne ko taiyaar rehna
sab kuch yaad hai mujhe

magar woh shayad mujhe bhool gaya hai
tabhi to mujhe milne ki koshish bhi nahi karta
lagta hai meri mohabbat adhuri reh jayegi
woh to ayega nahi kabhi
uski yaad har pal tadpayegi
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: June 06, 2006, 04:00:59 PM »
very nice...

har koi to apni mohabbat ko pa nahi sakta
chah kar bhi mohabbat ke khoab saja nahi sakta
agar kismat par chal jaye zor to kya baata hai
fir to koi bhi dil mein gum liye duniya se ja nahi sakta
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: June 06, 2006, 04:10:00 PM »
WOOW SIS GREAT JUST AWESOME

majid ji aapki shayari to hai hi lajawab!!!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: June 06, 2006, 04:11:27 PM »
thanx a million Roshni..tumne kuch nahi likha....y?
Logged
roshni246
Guest
«Reply #6 on: June 06, 2006, 04:17:10 PM »
khoshish jaari hai
itni achi shayari ka jawab itni jaldi to nahi desaktee na


hazir hai khoshish meri!!!!!!!!!!! Puzzled !

Khawab jhoote kissi ko dikhaya nahi karte
meri jaan !! youn kisi ko sataya nahi karte
aik baar youn kisi ko keh kar apna
daaman phir uss se churaya nahi karte
uske intezaar se bhala kya hoga hassil
anne ka keh kar bhi jo aaya nahi karte
rakhte haIn jo dard bhara dil apne seene
doosraun ka dil phir woh dookhaya nahi karte
do kadam sath chaal kar jo juda ho jaaein
aise loggon ko to humsafar banaya nahi karte
kis tarha guzarti hogi zindagi unki
pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte....


~rosh~
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: June 06, 2006, 04:20:45 PM »
hayeee kamaal ka likha hai sis.....yeh koshish hai??? bahut beautifull koshish hai...thanx sis

hota agar unhein hum par yaqeen to woh jaate hi nahi
agar unke vaade bhi sache hote to kya woh bhala laut kar aate hi nahi?
hum bhi kitne nadaan hai
intzaar karte hain unke aane ka
jo laut kar aaya nahi karte
Logged
roshni246
Guest
«Reply #8 on: June 06, 2006, 04:25:05 PM »
ji haan khoshish thi thxx a lot sis and majid ji!!!!!!

2 GUD both of u!!!!!!!


Zindagi Meri Ek Sazaa Ban Gayi
Meri Mohabbat Mera Hi Gunaah Ban Gayi

Hum Ne Kiya Izhaar To Khatawar Thehre
Aur Un Ki Khamoshi Un Ki Wafa Ban Gayi

Paani Pay Likha Naam Mera Us Nay Par Liya
Aankho Mein Likhi Baat Meri Hawa Ban Gayi

Mere Liye Mere Dard Ki Koi Nahi Dawa
Aur Un K Liye Har Dard Ki Dawa Ban Gayi

Mujh Par Laga K Ilzam Meri Mohabbat Ka
Aaj Wo Khud Ek Mahtaab Ban Gaya

Ujaalo Mein Raha KartI Thi Main Bhi....
Andhero May Reh Reh Kar,
Zindagi Meri Ek Sazaa Ban Gayi.....

~rosh~
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2006, 04:43:42 PM »
gr8 both of u...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: July 26, 2006, 07:05:26 PM »
Sabne bahut achha likha hai...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: November 14, 2009, 08:51:32 AM »
Wah bahut khoob Shihab ji,Nikki ji, Roshni ji,really touched,romantic bhi hai dard bhi .mindblowing creation.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:57:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer