....~~VeeraN~~....

by HumTum on March 14, 2005, 09:50:24 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1066 times)
HumTum
Guest
raah veeraan kis liye hai aaj
dost anjaan kis liye hai aaj

aaj kyun jhoomti nahin titli
gul pareshan kis liye hai aaj

chandni bhi lage hai madham si
chaand Hairaan kis liye hai aaj

kyun nigaaheN badal gayee sab ki
rishta bejaan kis liye hai aaj

darmiaaN faasle hain kyun itne
waqt Hairaan kis liye hai aaj

teri aankhoN meiN khaamshi kaisi
dil ye veeraan kis liye hai aaj

"HumTum" tum badal gayee ho kyuN
Wo bhi anjaan kis liye hai aaj ... sad5


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~Meri Veeran Zindagi~~ by khushiiiii in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Veeran Shaher by Shayaries_King in Shayri for Dard -e- Judai
Mehfil tere bin veeran gujar gayi~ Abhi by AbhiTamrakar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
veeran by pritam tripathi in Urdu Poets
ek shakhs sare seher ko veeraN kar gaya,.... by laaiba in Share Poetry You Like
robin_abdul
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2005, 09:51:52 AM »
Wow yaar Hum Tum THis is really superb
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: March 14, 2005, 09:52:25 AM »
Quote from: "robin_abdul"
Wow yaar Hum Tum THis is really superb


Thanks n welcome to yoindia..:D
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2005, 04:44:34 PM »
Quote from: "HumTum"
raah veeraan kis liye hai aaj
dost anjaan kis liye hai aaj

aaj kyun jhoomti nahin titli
gul pareshan kis liye hai aaj

chandni bhi lage hai madham si
chaand Hairaan kis liye hai aaj

kyun nigaaheN badal gayee sab ki
rishta bejaan kis liye hai aaj

darmiaaN faasle hain kyun itne
waqt Hairaan kis liye hai aaj

teri aankhoN meiN khaamshi kaisi
dil ye veeraan kis liye hai aaj

"HumTum" tum badal gayee ho kyuN
Wo bhi anjaan kis liye hai aaj ... sad5


HumTum


brillienttttttttttttttttttttttttttttttt!!!!!!!!!

log kehte hai ke humara mizaz badal gaya hai,
shayad pyar ka suraj kuch dhal gaya hai,
kab tak dil badakta raha judai ke andheron me,
par aab shayad yeh nadan sambal gaya hai!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2005, 04:47:03 PM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
raah veeraan kis liye hai aaj
dost anjaan kis liye hai aaj

aaj kyun jhoomti nahin titli
gul pareshan kis liye hai aaj

chandni bhi lage hai madham si
chaand Hairaan kis liye hai aaj

kyun nigaaheN badal gayee sab ki
rishta bejaan kis liye hai aaj

darmiaaN faasle hain kyun itne
waqt Hairaan kis liye hai aaj

teri aankhoN meiN khaamshi kaisi
dil ye veeraan kis liye hai aaj

"HumTum" tum badal gayee ho kyuN
Wo bhi anjaan kis liye hai aaj ... sad5


HumTum


brillienttttttttttttttttttttttttttttttt!!!!!!!!!

log kehte hai ke humara mizaz badal gaya hai,
shayad pyar ka suraj kuch dhal gaya hai,
kab tak dil badakta raha judai ke andheron me,
par aab shayad yeh nadan sambal gaya hai!


Koi matlab nahin hame zamane se
Kyon bane hain yahaan begane se

Manzilen hain yahan gher bhi hai magar
Ghoomte hum hain be thikane se

Is jahan mae nahin kisi ka koi
Ek hum hi nahin be gane se


HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: March 14, 2005, 04:58:30 PM »
wahhhhhhhh!!!!!!!!

begano ki mehefil me nahin ho tum akhele,
har ke dil me bhi nahin hai kushiyon ke mele,
har koi nahin karta bayan dastan-e-dil ki apni,
kaise woh bataye ke kitni dukh hai usne chele*!


* dont know thik likha woh word ke nahin but matlab hona chahiye: bardash karna
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: March 14, 2005, 05:02:20 PM »
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhh!!!!!!!!

begano ki mehefil me nahin ho tum akhele,
har ke dil me bhi nahin hai kushiyon ke mele,
har koi nahin karta bayan dastan-e-dil ki apni,
kaise woh bataye ke kitni dukh hai usne chele*!


* dont know thik likha woh word ke nahin but matlab hona chahiye: bardash karna


Zindagi ghar hai zamane ke ghamon ka lakin
Maut darwaza hai us ghar se nikal jaane ka

Dil kyon lagta nahin ujri hui duniyan mae mera
Verna saamaan yahan bhi hai bahal jane ka

Mujh se rootho na meri khwahishon tum to aise
Hausla khatam na ho jaye jiye jaane ka

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: March 14, 2005, 05:07:38 PM »
wahhhhhhhhhhh!!!

kyu insaan dukhon se baghne ke liye rah doondta hai,
zindagi jeene ke lyie kisi ki chaha doondta hai,
suraj ki kirne hi andhero me roshni lati hai,
par band ankhon se suraj (sukh) ko har subha doondta hai!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: March 14, 2005, 05:13:11 PM »
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhhh!!!

kyu insaan dukhon se baghne ke liye rah doondta hai,
zindagi jeene ke lyie kisi ki chaha doondta hai,
suraj ki kirne hi andhero me roshni lati hai,
par band ankhon se suraj (sukh) ko har subha doondta hai!


vohi saavan, vohi baadal voh pHir nahi aaya
ruke ho kyoN meri khatir nazaaro tum to so jaao

nahi faryaad ko sunkar paThar dil voh phighla
bulaao kyoN meri khaatir deewaaro tum to so jaao

chamak na kisi gauhar ki ab dil ko sakooN degi
jalo pHir kyoN meri khaatir sharaaro tum to so jaao

jazbaat ka toofaaN hai "HumTum" ye ruk na paayeNge
Doobo kyoN meri khaatir kinaaro tum to so jaao.. sad5

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: March 14, 2005, 05:42:21 PM »
bohot ache!

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: March 14, 2005, 08:13:58 PM »
are wah...tum dono to kamaal ke shayar ho,Meena sis n Hum Tum....wonderfull..
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2005, 07:42:35 AM »
wao meena and hum tum dono kaphi achha likhte ho.......
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2005, 05:05:39 PM »
shukriya ji shukriyaa!!!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: March 16, 2005, 05:08:20 PM »
Aap sab ka teh dil se Shukriya Adaa karta hooN.....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:43:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer