viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii

by qakhs on October 02, 2004, 03:49:41 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 9290 times)
akela
Guest
«Reply #45 on: November 06, 2004, 07:30:22 PM »
shukariya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazar se nazar by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
nazar nazar mai by majid in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
nazar se aksar nazar ko hum ne by taheer_khaja in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Nazar...Meri Nazar by KOYAL46 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Halaat pe zara tu,apni nazar karde..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #46 on: November 07, 2004, 04:04:57 PM »
wah!!!!!!!11  akela.........bahot pyara..........
Logged
akela
Guest
«Reply #47 on: November 08, 2004, 12:37:13 PM »
shukariya aapka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: November 10, 2004, 11:53:22 PM »
Veerana hai zindagi mai
jahan tak bhi najar gai
Tere jaane baad ke baad
Zindagi badal gai !!!!!

Na hai wo khawab ab
na hi hai tamanna koi
kaise karu apna dard mai bayan
ankhon mai ab, ansoo bhi nahi hai koi!!!!
Logged
akela
Guest
«Reply #49 on: November 11, 2004, 12:09:07 AM »
wah!!!!!!!!!!!! pooja ji bahoot bahoot bahoot khoob likh rahi hai aap..................


kya kahe tumse mai kaise
parwane mai badal gaya,
tumhari judaii mai dost mera aashiya
maikhane mai badal gaya.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: November 11, 2004, 12:13:36 AM »
wah!!!
Tumhe mille maikhane aor hume ruswaiyan milli
Zindagi ke es morr per bhi hume tanhaniya milli
Banty jo dard tumne maikhane mai sharabiyon se
hume to ujare hui chaman mai, ansuoo ki nadiya bhari milli!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #51 on: November 14, 2004, 08:03:30 AM »
Quote from: "Pooja"
Veerana hai zindagi mai
jahan tak bhi najar gai
Tere jaane baad ke baad
Zindagi badal gai !!!!!

Na hai wo khawab ab
na hi hai tamanna koi
kaise karu apna dard mai bayan
ankhon mai ab, ansoo bhi nahi hai koi!!!!


wah pooja......bahot khoob......nice  akela

Tumhain abb bhool hi jain to acha hai ...

Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai

Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai

Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai

Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai

Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha ha.............
Logged
qakhs
Guest
«Reply #52 on: November 15, 2004, 07:08:44 AM »
GAZaL...
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
Kuch din to mera aks raha aainay pay naqsh
phir yoon hua kay khud mera chehra badal gaya...
jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kya hua jo hum say zamana badal gaya
qadmon talay jo rait bichi thee wo chal pari
us nay churraaya haath to sehra badal gaya
koi bhi cheez apni jaga par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kya kya badal gaya
ik sarkashi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niyaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiyaan.....
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz ussay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
shayad wafa k khail se ukta gaya tha wo
manzil kay paas aa kay jo rasta badal gaya
qaym kisi bhi haal pay duniya naheen rahi
taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya
"Manzar KA RANG" asal main SAAYA THA RANG KA
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

Andar kay mousamOn ki khabar us ko ho gaee
us nou-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
Aankhon mein jitnay ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya..
Logged
akela
Guest
«Reply #53 on: November 16, 2004, 07:59:31 PM »
nice qakhs ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #54 on: November 16, 2004, 08:02:04 PM »
wah!!! bahoot khoob Waheed_rose and Qakhs ji!!!!
Logged
akela
Guest
«Reply #55 on: November 16, 2004, 09:56:09 PM »
badal gaya woh mausam ,
jo kabhi suhana tha,
jina tha hume gar
tho phir sab kuch bhulana tha,
kahte hai woh ki
rahi mil jayenge auur,
hum chalte gaye par
aage viraana hi viraana tha.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #56 on: November 16, 2004, 10:30:07 PM »
Nice one akela ji!!!!
Logged
akela
Guest
«Reply #57 on: November 16, 2004, 11:06:05 PM »
shukariya aapka
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #58 on: November 19, 2004, 09:46:59 AM »
Thanx Pooja...........Nice  one Akela,....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: November 19, 2004, 05:21:39 PM »
Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:20:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer