Wafa ka wo rang nahi hai.................

by Pooja on August 21, 2006, 11:11:06 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2064 times)
Pooja
Guest
Kismet ki hai baat, duniya mai kaya kuch nahi hai
Ik baat kah rahi hu, shikwa geela nahi hai

Kaise skoon mai paau. Sath jab tu nahi hai
Berang hai najare, hatho mai hath nahi hai

Milan ki ghari mai, na jaane kaya kami hai
Ankhon main ajj teri, wo deewangi nahi hai

Kaise skoon paau, dil ko kaise samjhau
Ajj tere payaar main, wafa ka wo rang nahi hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RANG DO MUJH KO APNE PYAR KE RANG MEIN........ by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Wafa ruswa nahi kerna, by Satya.patel in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Wafa ka rang., by vermagalib in Shayri for Khumar -e- Ishq
meri jindagi mein rang nahi by saahill in Shayri-E-Dard
Aaj paani nahi aakaash se rang barseyga........... by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
HumTum is back
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2006, 11:17:43 AM »
waah Pooja ji bahut khoob !!


Hai rang wahi waffa ka meri nigahooN mein
Magar woh garmaish nhi rhi teri pnahoN mein

Muhoobat aaj bhi hai dil mein magar kya kahu
Pehle si shid'dat nhi rhi hamari adayoN mein

Yeh kya ke aap bhi na-samajh bane ho "HumTum"
Ba-waffa dund rhe ho tum Be-waffayooN mein !!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2006, 11:20:21 AM »
Pooja, HumTum

Superb =D> =D> =D>

Rajbir
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2006, 11:23:17 AM »
Janta tha yeh sawal tere lub par ayega
dil jo mayoosh hua hai mera
tujhe bhi is rang mein rang jayega
dil intezar ke zehar se pehle se zakhmi
upar se tera yeh ilzam mujhe til til tardpayega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2006, 11:29:32 AM »
Kaya payaar, kaya ba-waffa hai
Dil ek samaan bana hai
Insaan to wo hi hai
Ab wafa mai wo dum nahi hai….

Kabhi bigarre kabhi bana de
Apni hasrat ko bas hawa de
Fidrat se apni koi
Hota bura nahi hai

Tanhaai ka hai alam
Dil ka haal kaya sunau
Apne hi dil ki cheekhe
Deti sunai nahi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 21, 2006, 05:41:25 PM »
yeh kaisa hadsa aaj dil per gujar gaya
aankho mein thaa jo badal woh kyu baras gaya
fir rahe hain ek lambi andheri raha mein hum akele
apni awaz ka dard se hi kyu dil mera pighal gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2006, 06:24:01 AM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Ranju ji....

waqat ki kadamo se kaha chali mai aai
apne sath ek khamoshi, tanhaai hu laai
na mai kisi ki sathi, na ab sath koi mere
ek tasveer ankhon mai, aor ankhon mai ansoo mere
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2006, 06:40:11 AM »
shukriya pooja ..yeh JI kahan se aa gaya.. Puzzled !  Usual Smile

yeh dur hona bhi kya dur thaa
dil ke nagar se na ja saka koi
ja ke dekhte meri dharkano se
toh tere yeh ashq ab tak yun na bahe hote
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2006, 06:42:20 AM »
Very nice Pooja di, Humtum ji, Jeet ji and Ranju di...

=D> =D> =D>
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2006, 06:44:01 AM »
Shukaria Shikha.... app bhi likhati to mehfil mai aor ronak aa jaati...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: August 23, 2006, 06:48:00 AM »

Ek khamoshi sii hai teri aankhon mey,
Aaj woh chulbulapan nahin hai...

Dil jispey ho gaya tha fidaa humara,
Ab waisa mera sajan nahin hai...

Khushboo sey bhar jaati thi fizaa jiski,
Pyaar ka woh mausam nahin hai...

Jo lipat kar mujh sey deta tha hosla,
Hath mey mere woh daaman nahin hai...

Rangoli ki tarah saja jeevan mey jo,
Teri wafa mey ab woh rang nahin hai...
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2006, 06:51:54 AM »
wah kay abaat hai, kamal ka likha hai shikha apne.... bahoot khoob

deewangi teri ajj na najar aai
ankh kayun jhuki si najar aai

bad kar na liya ajj bahon mujko
dil mai shayad koi baat thi chupaai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: August 23, 2006, 06:52:41 AM »
shukriya shikha ..bahut khood  =D>

badal gaya hai woh bhi badlate masum ki tarah
hum aaj bhi unmein wahi bahaaro ke nishaan dhoondate hain
kabhi barsa thaa mere dil mein woh sawan ki badri ki tarah
aaj hum dil ke veraano mein apni payaas dhoondate hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 23, 2006, 06:55:59 AM »
bahoot khoob ranju....

barsaat bhi payaas bada jaati hai
jhum kar yaadon ki ghata aa jaati hai
jhumati, nachati, gaati hui jo lagati thi barsaat
ajj wo hi roti, siskati, jakhmi si najar aatti hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: August 23, 2006, 07:01:12 AM »
bahut khoob pooja ......very nice ....


mere dard ko woh kyu chhoo leta hai apni baato se
kya us ko ab bhi meri koi baat yaad aati hai
abhi puarna zakham bhar bhi nahi paata
us per yeh barsaat kyu us ke sang beete lamho ko dohara jaati hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:32:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer