~~~Wakt Ke Saath Sabhi Badal Jaaya Karte Hain~~~

by rohit30002 on July 05, 2005, 06:34:33 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 22010 times)
rohit30002
Guest
«Reply #15 on: July 08, 2005, 06:48:49 PM »
Quote from: "Pooja"
badal sakty thy, takdeer ke har ek rang ko
wafa ke ek rang ko, jo tune muj per barsaya hota!!!!!

Rang to bahut barsaye humne teri ek muskurahat ke liye.............
Par tujhe to bewafayi karne se fursat hi na mili............
Logged
janu_anu
Guest
«Reply #16 on: July 15, 2005, 05:01:20 PM »
kaun kiska naseeb hota hai
apna apna naseeb hota hai
yaad karta hai jab mahbuba ko koi
to ek dard dil ke kareeb hota hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #17 on: July 15, 2005, 05:15:55 PM »
Quote from: "rohit30002"
Chand aur lines main yahan post kar raha hoon usi umeed ke saath "Aapko pasand aayngi"

Please dont copy this B'coz this shayari is allready petent (Registered for all over world)

Aksar wakt ke saath sabhi badal jaaya karte hain..................
Jo dete the hamare haathon mein haath wo ab humse haath chhudaya karte hai.................
Milate the jo humse najare wo ab najare churaya karte hain..............
Lagta hai sahi hai wakt ke saath sabhi badal jaaya karte hain...............

Zindgi ke kuch modo par apne bhi gair ho jaaya karte hain.................
Ab to log paas aane se pahle hi dur ho jaaya karte hain.................
Khud Apni hi bebasi ka ab hum majak udaya karte hain...................
Par dil ka har dard dil mein hi dabaya karte hain..................
Phir dil ne kaha wakt ke saath sabhi badal jaaya karte hain................

Jo dur karte the hamara dard wo khud aaj hume tadpaya karte hain...........
mere aansu pochhne wale har shakhs aaj mujhe rulaya karte hain...........
Phir bhi hum apne aansu apni palko mein hi chhipaya karte hain............
Aur sirf ab hum maut ke intzaar mein zindgi gunjara karte hain............
Haan sach hi hai ke Wakt ke saath sabhi badal jaaya karte hain.............

wah Rohit,kya likhte hain aap,shabd hi nahi milte tareekf ke liye Usual Smile .Pooja ji,sandhaya,janu_anu sabne bohat accha llikha hai.
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #18 on: July 16, 2005, 12:25:52 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"

Nidhi jee ye to aapka pyar hai warna hum kis kaabil hain.......bas dil ke kuch halat lafzo mein badalne ki aadat si ho gayi hai
Logged
janu_anu
Guest
«Reply #19 on: July 22, 2005, 12:59:22 PM »
Thanks Nidhi

dunia ka etbaar kare to kya kare.
jab aansu to apni aankh ka apna raha nahi.
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #20 on: July 24, 2005, 11:14:57 PM »
Quote from: "janu_anu"
Thanks Nidhi

dunia ka etbaar kare to kya kare.
jab aansu to apni aankh ka apna raha nahi.

Nice one janu ji
Logged
roshni246
Guest
«Reply #21 on: May 10, 2006, 01:43:59 PM »
wooow!!! gud one!!!
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #22 on: May 12, 2006, 06:28:13 AM »
gr8..........awoosem..........good thinking power as poet
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #23 on: May 13, 2006, 07:43:22 AM »
Such a true poem....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #24 on: May 13, 2006, 09:04:17 AM »
nice work  everyone..........  good  going..........
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #25 on: May 13, 2006, 10:07:55 AM »
waqt k sath sath log badal jaya kerte hai ....
kuch dil se nikal te hai kuch dil me samaya kerte hai .....
dard dete hai kai log kuch ard me khushiya manaya kerte hai.....
na jane kyu badalte hai log kuch dosto ko bhool jaya kerte hai .......
Logged
Tosha
Guest
«Reply #26 on: May 16, 2006, 10:15:49 AM »
Nice Tushar!!!

And Keep up Rohit!!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #27 on: May 09, 2008, 08:36:25 AM »
NICE LINES ROHIT....
KEEP IT UP....

UNHONE KAHA KYUN TUM HERAAN HO
MERI BEWAFAI PE,
KI WAQT KE SAATH TUM BHI BADALNA SIKHO....
MANA KAL THA MEIN TUMHARI JAAN,
AAJ KISI AUR KI ZINDAGI HOON MEIN ISS BAAT
KO SAMJHO....
BY. K.SHAEL
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #28 on: May 09, 2008, 08:51:40 AM »
bohut khoob rohit ji bohut acha likha hai

waqt k saath badalna hi zindgi hai
haan ye sach hai ki wo nahi to kuch kami b hai
par yu zindgi b to nahi rukti kisi k chale jaane se
kyu ki badal jaana hi zindgi ki fidrat hai
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #29 on: February 20, 2010, 12:53:54 PM »
waqt ke sath badalna bhi jaroori hai.
jo nahin badalta wo pathar hai.
hole hole gulaab ke phool aaya karte hain.
jo nahin badalta wo paani hai.
samander me lahare aur tufaan aaya karte hain.
jo nahin badalta wo mar gaya samjho.
chimpanji badal ke maanav ban jaya karte hain.
jo nahin badalta wo shikayat karta hi reh jata hai
moorakh badal ke kaalidas ban jaya karte hain.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:13:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer