Waqt kam hai Abb Dafan mein....

by Alam Qazi on January 20, 2009, 08:27:58 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 9163 times)
Alam Qazi
Guest

Parda na karo humse, Hum hain Abb kafan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Rukhsaar pe tere aaj, Kyon Ashk Rawaa'n hai
Qaabil na they hum kabhi, Teri tou nazar mein
Khamosh na raho aise, Kya hai abb zehan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Mai na rahunga, Na rahegi meri yaaad
Tu dekh na sakegi, Tujhe mai dekhta rahunga
Rahegi tu bhi tanha, Sitaaro ki bheed mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Parda na karo humse, Hum hain Abb kafan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein....


 tearyeyed tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon mein, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Aatish Ishq mein waqt by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Waqt-e-Dafan by md.ayad in Shayri-E-Dard
Waqt lagtaa hai dobaarah galey lagaaney mein! by abdbundeli in Ghazals
***Pyar Mein Waqt Barbaad*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
salil2002
Guest
«Reply #1 on: January 20, 2009, 08:30:58 AM »
good one alam
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: January 20, 2009, 10:09:55 AM »
alam qaziji..... bahut hi badiya likha hai.....

abhi mae hun kafan mein,par waqt bahut kam hai dafan mein,
apne gunhao ki maafi mangni hai, toh maaf kardunga kafan mein,
mang le maafi chehera dekhkar mera ,akhri bar kafan mae,
ek bar gaya jo dafan mein,phir nahin karunga mae maaf dafan mein.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: January 20, 2009, 10:29:03 AM »

Parda na karo humse, Hum hain Abb kafan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Rukhsaar pe tere aaj, Kyon Ashk Rawaa'n hai
Qaabil na they hum kabhi, Teri tou nazar mein
Khamosh na raho aise, Kya hai abb zehan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Mai na rahunga, Na rahegi meri yaaad
Tu dekh na sakegi, Tujhe mai dekhta rahunga
Rahegi tu bhi tanha, Sitaaro ki bheed mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein

Parda na karo humse, Hum hain Abb kafan mein
Jee bharke dekhlo, Waqt kam hai Abb dafan mein....


 tearyeyed tearyeyed

wah Alam wah, kya khooob likha hai aap ney, bahut hi badiya

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: January 20, 2009, 10:30:05 AM »
alam qaziji..... bahut hi badiya likha hai.....

abhi mae hun kafan mein,par waqt bahut kam hai dafan mein,
apne gunhao ki maafi mangni hai, toh maaf kardunga kafan mein,
mang le maafi chehera dekhkar mera ,akhri bar kafan mae,
ek bar gaya jo dafan mein,phir nahin karunga mae maaf dafan mein.

wah CARA, aap ney bhi kitna khoosurat saath nibhaya hai .. wah

Jasbir Singh
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:31:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer