WAQT NE JEENA SIKHA DIYA

by khwaish on July 17, 2007, 06:36:16 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 12270 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: September 06, 2007, 04:09:50 PM »
Quote from: "rajrishi"
Bahut accha khwaish nicest

 kuch bhi ho khwaish likhne ki kala majood hai tum mein,
 jo kar sake dard ko byan woh housla majood hai tum mein,


BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAPKA...AAPKA SHAYARANA ANDAAZ ACHA THA...AAP KA JAWAAB

YAADON KI EK HAAT SI LAGTI HAI SHAAM SE
BIKHTE HAI MERE GHAM JAHAN SHAYARI KE NAAM SE
MAIN  USKO DHOOND TO LOON
MAGAR KUCH  PATA CHALE,
AWAAZ USNE DI MUJHE KIS MUKAAM SE
SIRF KHUSIYON KO HI BADHKE LAGAYA NAHI GALE
MAIN GHAM SE BHI MILA HOON
BADE EHTRAAM SE
USS SHAKS KE LIYE HAR GHAM HAS KE SEH LIYA
VARNA "KHWAISH" BI JEE LETA ARAAM SE
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #31 on: September 06, 2007, 08:57:51 PM »
Good One Khwaish...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #32 on: September 07, 2007, 03:06:09 PM »
Bahot Khob Khwaish Ji,..
Nice One Yunhi Likhte rahiye,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: September 11, 2007, 02:55:28 PM »
SHUKRIYA ARYAAN & AZEEMBHAI...
Logged
SHONA
Guest
«Reply #34 on: September 13, 2007, 07:44:17 PM »
Quote from: "khwaish"
JAB TALAK HAUSLA NAHI HOGA
EK BI FAISLA NAHI HOGA
MAUSAM BADALNE KE
INTEZAAR MEIN GAR PHOOL DARTE RAHE
TO GUL KOI KHILA NA HOGA

AGAR INSAAN SIRF APNI BALAAI KA SOCHENGE
TO KISKA BHI BHALA NA HOGA

DAANA KHAK MEIN MILKAR HI
GULE-GULZAR HOTA HAI
DAR KE HALAAT SE JO HAAR MAAN JAAYE
WOH EK KADAM BHI RAAHON MEIN CHALA NA HOGA

MUSHKIL TO HOGI HI
ZINDAGI KE RAAHO MEIN
PAR DIL KO YEH TASALI ZAROOR DENA "KHWAISH"
KE TERE AUR MANZIL KE BEECH MEIN
BAHUT KAM FAASLA HOGA

JAB TALAK HAUSLA NAHI HOGA
EK BI FAISLA NAHI HOGA


Beautiful khwaish..inspiring words
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: September 14, 2007, 06:38:18 PM »
Bahut bahut khoob khwaish Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: September 14, 2007, 06:40:09 PM »
Haath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho?
In Fazool Baaton Mein
Kis Liye Ulajhte Ho?
Jisko Milna Hota Hai,
Bin Lakeer Dekhe Hi
Zindagi Ke Raaston Par
Sath Sath Chalte Hai,
Phir Kahan Bichhadte Hai,
Jo Nahi MuQaddar Mein,
Kab Hamein Wo Milta Hai,
Kab Wo Saath Chalta Hai,
Haath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho???
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

nm
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: September 17, 2007, 05:29:30 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA SHONA AND ANGEL
BEAUTIFUL ONE ANGEL..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #38 on: September 17, 2007, 05:37:24 PM »
SEENE MEIN JALAN,AANKHON MEIN TOOFAN SA KYON HAI..
IS SHEHAR MEIN HAR SHAKS PARESHAN SA KYON HAI

DEKH KE UNKA CHEHRA,LAGTA HAI KI UNHE,
ZINDAGI SE HAMESHA SHIKAYAT SI RAHI..
INSAAN SAWAALO LE BHEED MEIN
ITNA HAIRAAN SA KYON HAI

TAAJUB NAHI HUME "KHWAISH" KE RISHTON
MEIN AAJ WOH MEHAK NA RAHI
INSAAN APNE HI GHAR MEIN,
MEHMAAN SA KYON HAI

SAANSEIN TO CHAL RAHI HAI SABKI,
BAS JAZBAATON KI EHMIYAT BHOOL BAITHA HAI INSAAN
INSAAN KA DIL,AAKHIR ITNA BEJAAN SE KYON HAI

IS SHEHAR MEIN HAR SHAKS PARESHAN SA KYON HAI?Huh?
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: September 17, 2007, 07:08:04 PM »
Nice one Khwaish....based on first two lines of this song, you have given your own words... Very nice !
Logged
SHONA
Guest
«Reply #40 on: September 18, 2007, 06:17:45 PM »
Beautiful flow of poetry khwaish..too good
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #41 on: September 19, 2007, 03:57:46 PM »
Bahut khoob khwaish... =D>  =D>
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: September 23, 2007, 11:37:56 AM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA TALAT,SHONA& ISHPREET..THANX A LOT FOR APPRECIATING  Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: September 23, 2007, 11:52:50 AM »
NA SAGAR HOON...
NA BARSAAT HOON MAIN...
AE AANSU,AB TER HI SAUGAT HOON MAIN...
LABHO TAK JO NA PAHUNCH PAAYI
WOH ANKAHEE BAAT HOON MAIN...
HATHELIYON PE HAI,
DHOONDLI SI ABHI KUCH LAKEEREIN
BAAKI KHAALI HAATH  HOON MAIN...
JO KEHNA CHAAHTA THA BAHUT KUCH,
PAR WAQT NE KHAMOSH KAR DIYA
DIL MEIN CHUPA JAZBAAT HOON MAIN...
"KHWAISH" BAHUT MUSHKIL HAI,
MUSKURAATE REHNA IS JAHAN MEIN,
KE SHEH KE ROOP MEIN BHI MAAT HOON MAIN...

SHEH=JEET...MAAT=HAAR
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #44 on: September 23, 2007, 07:37:39 PM »
Quote from: "khwaish"
NA SAGAR HOON...
NA BARSAAT HOON MAIN...
AE AANSU,AB TER HI SAUGAT HOON MAIN...
LABHO TAK JO NA PAHUNCH PAAYI
WOH ANKAHEE BAAT HOON MAIN...
HATHELIYON PE HAI,
DHOONDLI SI ABHI KUCH LAKEEREIN
BAAKI KHAALI HAATH  HOON MAIN...
JO KEHNA CHAAHTA THA BAHUT KUCH,
PAR WAQT NE KHAMOSH KAR DIYA
DIL MEIN CHUPA JAZBAAT HOON MAIN...
"KHWAISH" BAHUT MUSHKIL HAI,
MUSKURAATE REHNA IS JAHAN MEIN,
KE SHEH KE ROOP MEIN BHI MAAT HOON MAIN...

SHEH=JEET...MAAT=HAAR


Bahut Khoob Khwaish...bahut gehrai se likha hai...PAR ITNI MAYUSI KYON?? Puzzled !
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:06:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer