WAQT NE JEENA SIKHA DIYA

by khwaish on July 17, 2007, 06:36:16 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Author  (Read 12271 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #75 on: December 30, 2007, 01:08:59 PM »
U Are Welcoem Khwaish Ji,.
And Thanks Ke Aap Sab Ko Hamari Sharig Achchi Lagi,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Waqt Jeena Sikha deta hai by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #76 on: December 30, 2007, 01:11:37 PM »
Duniya Ko Mairey Dil Say Shikayaat Ajab Hain
Main Kaisey Kahoon Ke Mairey Haalaat Ajab Hain

Main To Wohi Keh Raha Hoon Jo Beet Raha Hai
Log Kehtey Hain Ke Khayalaat Ajab Hain

Abb Ke Koi Ehsaas Bhi Nahin Honey Deta
Abb Ke To Terey Gham Ke Kamalaat Ajab Hain

Abb To Hai Jung Ki Sab Tayyari Mukamal
Per Mad-e-Muqaabil Ke Bayanaat Ajab Hain

Mashkook Si Khamoshi Hai Be-chain Labon Per
Masoom Sii Aankhon Mein Sawalaat Ajab Hain
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #77 on: January 04, 2008, 05:55:33 PM »
Duniya Ko Mairey Dil Say Shikayaat Ajab Hain
Main Kaisey Kahoon Ke Mairey Haalaat Ajab Hain

Main To Wohi Keh Raha Hoon Jo Beet Raha Hai
Log Kehtey Hain Ke Khayalaat Ajab Hain

Abb Ke Koi Ehsaas Bhi Nahin Honey Deta
Abb Ke To Terey Gham Ke Kamalaat Ajab Hain

Abb To Hai Jung Ki Sab Tayyari Mukamal
Per Mad-e-Muqaabil Ke Bayanaat Ajab Hain

Mashkook Si Khamoshi Hai Be-chain Labon Per
Masoom Sii Aankhon Mein Sawalaat Ajab Hain


BAHUT BAHUT KHOOB AZEEM BHAI...

KHAAK USKO PATA KHUDA KYA HAI?
JO NAHI JAANTA WAFA KYA HAI??

GHAM KI AANDHI NA MILI JIS MUSAFIR KO KABHI,
USSE KYA PATA ZINDAGI KYA HAI??

PAAS NA RAHA MERE KUCH BHI,
PUCHMAT AAKHIR GHAMO NE MUJHSE CHEENA KYA HAI??

ASHQ BAHATA JAA RAHA HOON APNI KAMZORIYON PAR
AAKHIR INSAAN KO WAQT SE MILA KYA HAI??

Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: January 05, 2008, 06:49:52 PM »
wah wah wah!! dono hi poems kaya khoob likhi hai apne khwaish ji!

bahoot hi dil se likhte hai app.. simple magar gahra!!!

HAR THOKAR NE MERI MUJHKO
CHALNA SIKHA DIYA

MERE AANKHO KE AANSUO NE
MUJHE KHUL KE HASNA SIKHA DIYA

bahoot khoob!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #79 on: January 07, 2008, 07:38:41 PM »
THANX A LOT POOJAJI FOR APPRECIATING...YOUR APPRECIATION IS ALWAYS VALUED A LOT...THANX
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: January 07, 2008, 08:54:49 PM »
kash sikh paate hum bhi kisi thokar se
her thokar ne aor murda bana diya
jeete hai na jaane kis umeend per
her dard ne aor murda bana diya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #81 on: January 18, 2008, 09:18:26 PM »
 bahut ache pooja...

jazbaat mein beh kar reh jaate hai
jo na kehna hai woh bhi keh jaate hai
jo mehfilo mein humein apna banakar hasate hai
kahin tanhai mein woh shaks hi humein rulate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #82 on: January 18, 2008, 09:20:18 PM »
itna sa to humne bhi jeevan ko jaana hai
tanha hi bas akele jeevan beetana hai
aa aa kar jo dukh de jaate hai log
unhi se jeena sikhte chale jaana hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #83 on: February 15, 2008, 07:38:40 PM »
andhero mai rah kar
andhero mai dekhna aa gaya
dard milte gaye
sabar se sehna aa gaya

ajj mere sabar per hai unko aitraz
jinhe her pal mujho gum dena aa gaya
wo ajmaah rahe hai mera sabar
aor Pooja ko her baat per chup rahna aa gaya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #84 on: February 15, 2008, 07:59:20 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...

WOH KYA JAANE, MERA GHAM HI MERI PEHCHAAN HAI
APNI DHADKHAN BHI LAGTI APNI MEHMAAN HAI

NA SAMAJ KE PHIR BAHAAR AA PAAYEGI MERI ZINDAGI MEIN
APNI WOH ZINDAGI HAI JISKI BASTI HAMESHA VIRAAN HAI...

HAR WOH CHEEZ TO WAQT NE MUJHSE CHEENLI
PUCHLO WAQT SE, KYA BACHA KUCH MERE PAAS AB SAMAAN HAI...

WAQT SE LADKAR KYA KOI JEET PAYA HAI
MAAT KHAKAR BHI MERE CHEHRE PE MUSKAAN HAI...

NA SAMJHO KE "KHWAISH" AB SAANS NAHI LETA
ABHI BAAKI MERE DIL MEIN KUCH ARMAAN HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #85 on: February 15, 2008, 08:44:42 PM »
Wah kaya baat hai… bahoot khoob..yah kavita dil ko chu gai …

Her ek ka gum jo seene mai chipa rakha hai
Bin bataye usko, kyun usko bewafa banaye rakha hai

Bahar ayegi ek din, yah mera yakin hai
Kyun mere yakin per, itna be-aitbaar banaye rakha hai

Viraan ho nahi sakto kabhi bhi teri zindagi
Tujhko ajj bhi, sir ankhon per bithaye rakha hai

Waqat ne chori hai bahoot yaadein ajj bhi tere sung
Jinhe tune ajj bhi apna jahan banaye rakha hai

Jeet hui kiski aor haar hui kis ki yah abhi pata kaise chale
Muskaan ko to tune ajj bhi ussi tarah sajaye rakha hai

Saansein teri atti hai ajj bhi uski saanso se
Shayad kisi ka jeevan, ajj bhi tune bachaye rakha hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #86 on: February 15, 2008, 08:59:20 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...

AAPSE KOI CHEEZ MAINE KAB MAANGI
BAS..AAPKE CHEHRE PE HASSI MAANGI...

MIL SAKENGE YA NA MIL SAKENGE
YEH MUKADAR KI BAAT HAI,PAR YEH SOCHKAR
JO DIL MEIN DARD BADHTA HAI,
USS DARD KI KHUDA SE DAWA MAANGI...

PYAAR KIYA HAI KOI JURM NAHI,
PAR DEKH MOHAABAT KE RANG
PYAAR KIYA HAI,AAJ KHUD IS KHATA KI...KHUDA SE SAZAA MAANGI...

NA MIL SAKE TO KYA??
ZAROORI NAHI KE MILAN HI SAB KUCH HO,
TU HAMESHA KHUSH RAHE,
AAJ KHUDA KE DAR PAR YEH DUA MAANGI.....

NA PUCH "KHWAISH" KE DIL MEIN AAJ KYA HAI
AAJ WAQT SE JEETE REHNE KI SAZAA MAANGI.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: February 15, 2008, 09:05:17 PM »
Rula kar hume, huse hansi mangte ho
Bade sungdil ho dost, kayun mangte ho

Mukdaar ki baat mukdaar per chor do
Kyun phir shikayat, kyun saja mangte ho

Kiya hai pyar koi jurm nahi
Phir pyar ke badale pyar, kyun nahi mangte ho
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #88 on: February 15, 2008, 09:16:37 PM »
PYAAR KE BADLE PYAAR MILTA
TO MAIN AAJ YUH ROTA NAHI
AAP HI KAHO "POOJA" AGAR
PYAAR KE BADLE JUDAI MILE
TO KYA YEH SAMJHAUTA NAHI???

MAANTA HOON KHWAAB DEKHNA MERA GUNAAH THA
PAR KYA INSAAN AANKHON MEIN SAPNE PIROTA NAHI???

AB HAR EK ZAKHM BHAR GAYA HAI MERA "KHWAISH"
IS ZAKHM KO AB DARD BHI HOTA NAHI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: February 15, 2008, 09:20:08 PM »
Jhoothe ho app jhooth bona acha nahi
Na hota yah dard to lafzo mai najar atta yah dard nahi

Roti hai ankhia to inko ro lene do
Jee bhar kar inse barsaat ho lene do

Mili hai judai to yah dil tadpega hi
Magar socho kaya, app ho sirf rone ke hi kabil

Khawab dekha aor ajj wo toot gaya
Jeevan ke jeene ka arth to nahi chutt gaya

Zakham to yah tujhe umarbhar rulayege
Magar dost, phir dost apke kab kaam ayege
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:16:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer