wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega : paani

by paani on July 11, 2011, 09:59:31 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2118 times)
paani
Guest
Doston hum  ne jab bhi likha hai dard pe likha hai pesh hai 'baat adhuri si'

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

tum se milna aur bichadne ek khawab tha lamho ka
lamhon se mili jo zindgi wo zindgi rahne dejiyga

baat-bebaat wo na de ska mai jawab un nigahon ko
unn jawabon ko waqt k sawalat mein rahne dejiyega

apni yaadon ki daulat na maang lena habibi muze se tum
bahut Muflis hun,unhe meri saugaat mein rahne dejiyega

tamam khushiyan naam kr du talabgaaron ko.. aarzo hai
kuch dard hai seene ab mein, wo dard rahne dejiyega

badi tadap se alwida kahan hai aapki guzarish thi isliye
ho sake to mera naam apne naam k kareeb rahne dejiyega

sari addayen hi naam kr do tum jamane ko shikwa na hoga
un hansi labon ki muskurahat mere naam rahne dejiyega

har dariyan har sagar rok lunga apni palkon mein mai
meri aakhon se magar ye dard ka 'paani' bhane dejiyega 

 tearyeyed

Logged
GUMboy
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2011, 10:17:57 AM »
bahut khub  paaniji.. Lajawab likha aapne..
Daad kabul kijiyega..
-GUMboy...
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2011, 10:57:03 AM »
Doston hum  ne jab bhi likha hai dard pe likha hai pesh hai 'baat adhuri si'

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

tum se milna aur bichadne ek khawab tha lamho ka
lamhon se mili jo zindgi wo zindgi rahne dejiyga

baat-bebaat wo na de ska mai jawab un nigahon ko
unn jawabon ko waqt k sawalat mein rahne dejiyega

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

apni yaadon ki daulat na maang lena habibi muze se tum
bahut Muflis hun,unhe meri saugaat mein rahne dejiyega

tamam khushiyan naam kr du talabgaaron ko.. aarzo hai
kuch dard hai seene ab mein, wo dard rahne dejiyega

badi tadap se alwida kahan hai aapki guzarish thi isliye
ho sake to mera naam apne naam k kareeb rahne dejiyega

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

sari addayen hi naam kr do tum jamane ko shikwa na hoga
un hansi labon ki muskurahat mere naam rahne dejiyega

har dariyan har sagar rok lunga apni palkon mein mai
meri aakhon se magar ye dard ka 'paani' bhane dejiyega 

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

 tearyeyed

 Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2011, 11:54:32 AM »
Bhuat Khoob...........
Logged
paani
Guest
«Reply #4 on: July 12, 2011, 04:16:49 AM »
aap sbhi kadrdaano ka dil se shukriya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #5 on: July 12, 2011, 05:05:14 AM »
bhut khoobsoorat ashaaar hain jnaab

Dr.Surendra Saini
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: July 12, 2011, 05:24:59 AM »
bahot bahot bahot umda peshkash…
paani ji…hajaron daad kabul karen
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: July 13, 2011, 06:18:51 AM »
Paani Ji Ek Behad Lajawab aur Khubsoorat Peshkash hai aapki.. Har Lafz Apne Jazzbaat Bayaan Kar raha hai.. Bahut Bahut Khoooooob.. Daad Kubool Karen.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: July 13, 2011, 06:46:20 AM »
Dard se labalab ek dil ko chhuti hui rachna....Paani-di

Aap itni purani sadasyaa hain,yoindia per apne nishan rahne dejiyega
Apne dard me humko bhee shamil kar ashq bahaane ka mauka dejiyega

Doston hum  ne jab bhi likha hai dard pe likha hai pesh hai 'baat adhuri si'

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

tum se milna aur bichadne ek khawab tha lamho ka
lamhon se mili jo zindgi wo zindgi rahne dejiyga

baat-bebaat wo na de ska mai jawab un nigahon ko
unn jawabon ko waqt k sawalat mein rahne dejiyega

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

apni yaadon ki daulat na maang lena habibi muze se tum
bahut Muflis hun,unhe meri saugaat mein rahne dejiyega

tamam khushiyan naam kr du talabgaaron ko.. aarzo hai
kuch dard hai seene ab mein, wo dard rahne dejiyega

badi tadap se alwida kahan hai aapki guzarish thi isliye
ho sake to mera naam apne naam k kareeb rahne dejiyega

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

sari addayen hi naam kr do tum jamane ko shikwa na hoga
un hansi labon ki muskurahat mere naam rahne dejiyega

har dariyan har sagar rok lunga apni palkon mein mai
meri aakhon se magar ye dard ka 'paani' bhane dejiyega  

apne saaye per mere nishan rahne dejiyega
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega

 tearyeyed

Logged
paani
Guest
«Reply #9 on: July 15, 2011, 09:45:55 AM »
Saini ji,sarfira...., man n koyal ji(paani ji).. mehrbaani ki aapko lines pasand aayi ..(  kuch ki dad-e-adda bhi pasand aayi(koyal))

ek sher hai...

"aap jese dilnshi hai to phool hai mahak hai fiza hai jamane mein
umr br ki kaid aur namumkin si rihai hai iss zindgi-e-qaidkhane mein"

Logged
paani
Guest
«Reply #10 on: July 20, 2011, 09:19:44 AM »
in chand gumon se mera kya hoga
ek dard ko chuooge tum dil ka  
baaki dardon ka kya hoga

aisi b chaht nahi tum chale aao
shaam-e-gum mein meri
gr hua ye, to aap k chahne walo ka  kya hoga

bada sandil hai ye silsila chahton ka b paani
wo chahega fir muze pal bhr
adhura sa,in adhuri chaton se kya hoga
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:00:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer