-----/// Wo badalte rahe ///----- Hriday

by ~Hriday~ on January 17, 2013, 06:59:29 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2584 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #30 on: February 11, 2013, 09:40:35 PM »

bahut bahut shukriyaaa Pooja ji jo aap aaye aur kuch likhaa aapne jawaab me...!!!

samajhtaa hoon main tumhaari haalat, yaad hai mujhe tumhaari har ek baat
wo pehli mulaaquaat apni, jab tumne muskuraa ke mujhe apnaa naam bataayaa thaa
fir dheere dheere, apni pasand, naa pasand, aadatein, sab jaan gaye hum
aur tum, mujhe mujhse bhi zyaadaa pehchaanne lag gaye....

achcha hotaa agar hum dost hi rehte, wo rishtaa dosti kaa badal ke pyaar naa hotaa
jaane kyaa gunaah kiyaa thaa maine jo mere dimaag me wo baat aayi us din
tumne bhi to bahut zorr deke mujhse kehelwaayaa thaa, kyaa tumhe yaad hai?
main kehna nahi chaahtaa thaa magar tumne kasam de ke mujhse kehelwaayaa thaa...

haan wahi baat, us roz jab maine pehli baar tumse apne dil kaa haal bataaya thaa
tumhe maine dost ke pad se hataake apnaa sab kuch, apnaa jahaan bataayaa thaa
kaash us din maine naa kahaa hotaa tumse wo baat, to shayaad aaj aise din naa hote
naa main yahaan tanhaa baithe tumhe yaad kartaa, naa tum wahaan tanhaayi me aaansoo bahaate...

tumne kahaa thaa mohabbat kaa anjaam shaadi ho zaruri to nahi
haan tumne kahaa thaa ki tumhe mujhse mohabbat hai, magar
kab tak meraa saath de paaogi iskaa tumhe kuch pataa naa thaa
bas beh gaye the hum ek bahaaw me ehsaason ke, kar gaye mohabbat....

aaj bhi un baaton ko sochtaa hoon to ro padtaa hoon, tadap uth_taa hoon
wo lamhe saath bitaaye huye, wo baatein, wo mulaaquaatein tumse
palat ke panne apni zindagi ke dekhtaa hoon kabhi to lagtaa hai mujhe
kyaa thaa main, aur ab jaane kyaa se kyaa ho gayaa hoon, kahin kho gayaa hoon...

bahut badal gayaa hoon main, main aajkal main nahi hoon, koi aur hi hoon
ab asar nahi hotaa kisi ke hasne yaa rone se mujhe aisaa sochtaa hoon, magar
tumhaari yaad aati hai, to ab bhi band kamre me thodaa ro letaa hoon
tumhaari tasveer, ek puraani, hai mere paas, use kuch pal dekh letaa hoon....

tum ho nahi mere paas, magar main tumse ab tak duur naa ho payaa hoon
sach kahaa tumne, duur ho ke tumse, tumhaari tahraa, aur zyaadaa pyaar karne lagaa hoon
aankh band kar lun kuch pal ke liye to tumhaaraa chehraa muskuraataa huwaa nazar aataa hai
fir agle hi pal, wo khwaab din kaa, meri aankhon se duur, kahin jaa ke kho jaataa hai...

jaane kab tak yunhi tumhe yaad kar ke jeetaa rahungaa, waadaa kiyaa thaa naa maine tumse
ki aa jaaye laakh mushkilen, laakh dard ho, main har dard me muskuraataa rahungaa....
 
main muskurataa rahungaa, main muskurataa rahungaa...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #31 on: February 12, 2013, 09:36:43 PM »
thank u sooo much Prashad ji.....!!!

excellent
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #32 on: February 12, 2013, 09:37:25 PM »
bahut bahut shukriyaaa Nandbahu ji.....!!!!

lajavab
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #33 on: February 23, 2013, 11:53:12 PM »
awsm hriday ji....m just speechless......


Palkon mein ashqon ko thaamkar muskurana mushkil hai
Ab iss dil k dard ko aur chhupa paana mushkil hai

Khuch toh hoga hum dono k darmiyaan,
jo har baar bichhad kar hum milte hai
Par ab mil kar door ho paana mushkil hai

Glatiya meri thi jo maine rishton ko waqt dene ki aehmiyat na samjhi
Aaj maine samjha hai toh har rishte ko samjhana mushkil hai

Mushkil hai bahut ab khud ko sambhal paana
Tumse door jaana mushkil,bahut mushkil hai

Dil k zazbaaton ko itni aasani se keh diye hai tumne
K khuch bhi keh paana mera ab mushkil hai

Tumse door hona toh door, iss baare mein sochna bhi mushkil hai
Tumhe bhool k aage badhna mushkil, bahut mushkil hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #34 on: February 26, 2013, 04:32:04 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut sundar jawaab likha hai aapne Nikhaar ji... bahut bahut khoob....!!!



tumse milke ab fir tumse duur kaise main jaa paaungaa
waadaa kiyaa hai tumse naa milne kaa, wo waadaa kaise nibhaaungaa

achchaa thaa, main duur tha kuch pal tumhaari surat se
achchaa thaa main duur thaa kuch pal tumhaare ehsaason se
tumne milke firse mere dil ke ehsaason ko jagaa diyaa
ab dekh ke tumhe fir, tumhaari surat ko kaise bhulaaungaa

aankhon ke saamne har pal tumhaaraa chehraa hai
aankh band karun to khwaabon me tumhaaraa chehraa hai
kahaan jaaun main ab bachke tumse, ye jahaan chhotaa hai
ye surat jo mujhe apne odd khinchti hai, usse duur kaise jaaungaa

thik naa hogaa ab meraa tumhaare paas rehnaa
thik naa hogaa ab ek pal ke liye bhi meraa tumse milnaa
tum aaj kisi  aur ke ghar ki izzat ho, kisi ki sab kuch ho
tumhi kaho kaise, main kaise kisi ke ghar ko tod paaungaa

achchaa hai hamaaraa naa milnaa ab, achchaa hai main duur ho jaaun
kuch panne apni zindagi ke jo fir palatne ki koshish ki thi
un panno ko dhak ke band kar denaa hi behtar hogaa...

main sab kuch bhulaake duur tumse bahut duur chalaa jaaungaa
aaye koi aanch tumhaari izzat pe, main usse pehle hi mar jaaungaa
matlab mohabbat ka to itnaa nahi naa ki kisi ko haasil kar len
kisi ko naa paake paanaa bhi to mohabbat kaa hi naam hai naa
main jeewan bhar tumse mohabbat, bas mohabbat kartaa jaaungaa
mar bhi gayaa to bhi naa main tumhe bhula paaungaa....


Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:29:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer