~~"WO BEWAFA NAHI"~~

by k.shael on June 28, 2008, 11:52:40 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 7912 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: June 30, 2008, 09:01:04 PM »
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k


mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
 
__________________________-Ehsaan Daanish-


Nice sharing Lil bro
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #16 on: July 01, 2008, 04:30:14 AM »
Shukriya Sonia Ji,
Shukriya Pooja Ji,
Bhai Azeem Aap Ka Bhi Bahut Sukriya,
Aap Sub Jaisa To Main shayar Nahi Hun,
Jo bhi baat Dil Me aayi Tute Fute andaj Me likh Deta hun,
Waise Muje Funn-e-Shayri Ka Ilm Nahi.
Kasir Hun Wajaht-e-Kalam Se.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #17 on: July 01, 2008, 12:46:20 PM »
THANX SONIYA JI,
& POOJA DIDI,
FOR APPRICIATE MY WORK.
BY. K.SHAEL
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #18 on: July 01, 2008, 12:47:33 PM »
Shally

Bahut khoob !

Very nice !

Sorry for late reply

Keep going Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: July 02, 2008, 12:22:01 PM »
Shukriya Poojaa Sis,.
and Sonia Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: July 02, 2008, 12:26:05 PM »
Sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna
Tumhen qasam hai hamare sar ki hamare haq main kami na karna

Kahan ka ana kahan ka jana vo jante hi nahin ye rasmain
Vahan hai vade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna

Hamari mayyat pe tum jo ana to char ansu baha k jana
Zara rahe pas-e-abaru bhi kahin hamari hansi na karna

Vo ik hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil k chalna
Ye ek sheva tera sitamagar ki dost se dosti na karna

______________________________-Daag Dehalvi-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #21 on: July 03, 2008, 04:35:39 AM »
Sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna
Tumhen qasam hai hamare sar ki hamare haq main kami na karna

Kahan ka ana kahan ka jana vo jante hi nahin ye rasmain
Vahan hai vade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna

Hamari mayyat pe tum jo ana to char ansu baha k jana
Zara rahe pas-e-abaru bhi kahin hamari hansi na karna

Vo ik hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil k chalna
Ye ek sheva tera sitamagar ki dost se dosti na karna

______________________________-Daag Dehalvi-


Bhai Azeem Bahot Din Baad Hazrat Daag Dahelvi Ke Ashaar Ke Didaar Hue Hai..
Bahot Bahot Achchha Kalaam Pesh Kiya Hai Aapne..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: July 03, 2008, 03:02:41 PM »
A verygood sharing Lil bro!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: July 04, 2008, 01:14:09 PM »
Shukriya Mohammad Bhai,.
And Thank U Pooja sis,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #24 on: November 01, 2008, 08:31:52 AM »
THANX TO ALL OF U
BY. K.SHAEL
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #25 on: November 01, 2008, 09:23:14 AM »
KYA KAHO USS SHAQS SE WO MUJHE BEWAFA
LAGTA NAHI,
AISA LAGTA HAI JAISE WAFA NIBHANA USKE
BASS MEIN NAHI,

KYA ILJAAM LAGAO USPAR MUJHE CHOD JAANE
KA,
AISA LAGTA HAI JAISE MERE SAATH CHAL PAANA
USKI KISMAT MEIN NAHI,

KYA GUJARISH KARO USSE PYAR KI AISA LAGTA
HAI,
JAISE USKE PASS GAM KE SIWA KUCH BHI NAHI,

HASTA HAI WO BASS JAISE DUNIYA KO DIKHANE
KE LIYE,
PAR SACHHAI YE HAI USKE PAAS AANSOO KE SIWA
KUCH NAHI,

KABHI-KABHI BAANT LETA THA KHUD KO MUJHSE
JABSE CHOD GAYA HAI MUJHKO,
AAB USKE GAMO KA RAAJDAR KOI BHI NAHI,

SABKO KHUSH RAKHNE KI KOSHISH KARTA HAI
HAR PAL,
PAR KHUD KI KHUSHIYO SE JAISE KOI WASTA
NAHI,

JANTA HAI WO HAR KISI KE DIL KI BAAT
PAR KABHI KHUD KE DIL KI BAAT KISI SE
KEHTA NAHI,

DIKHATA HAI JAISE WO MUJHE CHOD KAR KHUSH
HAI BAHUT,
PAR PATA HAI MUJHE MUJHSE CHOOT JAANE KA DARD
AAJ BHI DABA HAI USKE DIL MEIN KAHI,

WO CHAHE KUCH NA KAHE,HAR BAAT USKE DIL KI
MUJHE CHHUPI TO NAHI,
KARLE DIKHAWA WO KHUSH HONE KA PAR MALOOM HAI
MERE DIL KO WO MERE BINA KHUSH NAHI,

AEY KHUDA USE DENA HAR KHUSHI ISS JAHA KI WO
BADLA HAI KISI WAJAH SE,
MALOOM HAI MUJHE WO BEWAFA NAHI....

WO BEWAFA NAHI.....

BY. K.SHAEL




 Applause Applause Applause

Bohat khoob shally dear.. Thumbs UP
Logged
k.shael
Guest
«Reply #26 on: November 01, 2008, 09:28:58 AM »
 notworthy  notworthy
SHUKRIYA HONEY DIDI,
BY. K.SHAEL
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: November 05, 2008, 09:40:43 AM »
Shukriya,. Bhaijaan,.
And Pooja Didi,.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:40:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer