Apne ghar aaur apne kamre se door rehkar maine kuch ehsaas kiya!!
Tanha hai mera kamra mere hii ghar mein
Abb ataa jaata nahi koi mere kamre mein
Mai Jabb ghar pe rehta tha, uss kamre mein soota tha
Wahan mere kuch doston ka jamghat bhii hota tha
Bahut shor gul hota tha mere ghar ke uss kone mein
Bediyaan bahut daaltey they hum ghar waalon ke sone mein
abb wo kamra shayad ek viraan hoga
koi nahi hoga wahan wo ek dam sunn saan hoga
dekha karta tha mai mere kamre kii khidki se
kitna badnaseeb hai wo chand, jo taaron ke bich tanha hai
mera wo kamra to mujhse baatein bhi karta tha
Jabb bhi diwaarein kehti us sey, ki dekh neer tanha hai
wo meri humjoli, meri maze aaur kursi pe lagi wo narm sii kholi
mai khidki ke aor dekh kar, baitha uss kursii par
uski narm sii kholi pe seh-lataa tha aapna hath
aaur jabb bhi dil karta tha kuch likhne ko,
mai likhta bhi tha sath-sath
fhir samne se kabhie wo ek ladki, mujhe dekhti thi
hansti thi, kabhie kabhie wo mujhse baatein bhi karti thi
Isharon se baatein kartey they hum logg
kiuki shayad wo logon se bahut darti thi
fhir kai martaba kuch aaisa hota tha..
wo bhari saa akkhad shisham ka darwaza
koi khat-khata.ta mere kamre ka
mai ukhad jaata tha aaise, jaise manzar loot gaya ho sapne ka
kinare par khadaa wo guldasta fhir mujhpe hansta tha
kamre kee baaki saamano ke sath meri khilliii karta tha
hanstey they sabb mere sath sath
rotey bhi they mere sath jab kabhie mai rota tha
fhir ek dinn aaisa ayaa, mai achanak unn sabko alvida kahe binn..
mai aapna wo kamra chod ke door kahin chalaa ayaa
abb mai jiss kamre mein basta honn mere hii doston ke sath
ye kamra bahut acha hai, yahan parr bhi bahut hawaa aati hai
Maine khoja iss hostel kii harr aour, harr kamra ek acha ek tha
Parr itne saare kamron mein mera ek wo kamra hii kam tha
samne se koi ladki bhi dikhti hai to wo hansti hui hii jaati hai
parr abb mai jabb bhi tanha hota hoon, jaise ke pahle hota tha
mujhe yaad aataa hai wo kamra mera, wo kamra baatein karta tha
Wo kamra baatein karta ….
~! Nirbhay !~
bahut aache neer bhai too gud