Wo Mila Hi Nahin

by Tamanna Azeem on January 04, 2008, 12:20:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 862 times)
Tamanna Azeem
Guest
Chaha to bohat lekin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahin,

Is zamane ne majboor hi is qadar kia tha
Ke meri kisi sada par woh thehra hi nahin,

Khuda se jholi phela kar manga tha ussay
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin,

Har aik se sabab poocha terey na milney ka
Har aik ne kaha woh tere liye bana hi nahin,

Main apni tamam koshishon ke bawajood tujhey haargai
Aur tu usay milgaya jisne tujhey kabhi manga hi nahin,

Itni shiddat se chaaha magar tu kisi aur ka hogaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin !!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 04, 2008, 04:43:20 PM »
BAHUT KHOOB TAMANNAJI...BAHUT ACHA LIKHA HAI
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 04, 2008, 05:29:16 PM »
AB YEH MAANA HUMNE BHI KE
EK DUJE KO GALE LAGA NAHI SAKTE,
PAR KYA AB HAATH BHI MILA NAHI SAKTE...

JUDAI KA DARD TUM BHI SEHTE HO AUR HUM BHI
BAAT ITNI SI THI,KYA HUM EK DUJE KO BATA NAHI SAKTE...

SAATH TERE JO BEETE THE KUCH ANMOL PAL
"KHWAISH" BHOOLNA CHAAHKAR BHI BHOOLA NAHI SAKTE...

JO WAQT GUZAR GAYA,WOH EK KAL THA
AB PHIR WOH WAQT PALTAA KAR SAAMNE LA NAHI SAKTE...

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: January 04, 2008, 05:37:30 PM »
Tamanna

Nice sharing ! Please mention NM (Not Mine) if it is not your creation.

Khwaish bro

Nice reply !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 04, 2008, 05:57:44 PM »
THANX A LOT PAAJI FOR APPRECIATING
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #5 on: January 05, 2008, 03:51:25 AM »
great dosto.

lets try for next birth.

are mila nahi to use bagaa le jaate,
parents ka saath na sahi atleast pujaari ka hi aashirwad paate.
is tarah tum use to paa jaate or jindagi bhar esi udaasi bhari shayari na gaate.

keep it up dears. nice one.
Prem
Logged
Tamanna Azeem
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2008, 02:14:21 PM »
Thankyou Friends 4 Appreciating me.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2008, 02:30:08 PM »
bahoot aacheee
thanx to share with us
lakin rajbir ji ki baat ka dhayan rakhna

Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 06, 2008, 04:42:03 AM »
AB YEH MAANA HUMNE BHI KE
EK DUJE KO GALE LAGA NAHI SAKTE,
PAR KYA AB HAATH BHI MILA NAHI SAKTE...

JUDAI KA DARD TUM BHI SEHTE HO AUR HUM BHI
BAAT ITNI SI THI,KYA HUM EK DUJE KO BATA NAHI SAKTE...

SAATH TERE JO BEETE THE KUCH ANMOL PAL
"KHWAISH" BHOOLNA CHAAHKAR BHI BHOOLA NAHI SAKTE...

JO WAQT GUZAR GAYA,WOH EK KAL THA
AB PHIR WOH WAQT PALTAA KAR SAAMNE LA NAHI SAKTE...




wah kaya baat hai....bahoot hi acha likha hai..

JUDAI KA DARD TUM BHI SEHTE HO AUR HUM BHI
BAAT ITNI SI THI,KYA HUM EK DUJE KO BATA NAHI SAKTE...

bahoot khoob...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 04:17:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer