Wo Mohabbat Na Rahee

by Alam Qazi on December 06, 2011, 04:59:12 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1328 times)
Alam Qazi
Guest

Aey Mere Khwaab, Tu Mere Zehan Se Ab Hijrat Kar Jaa
Ke Iss Dil Ko Khwaar Hone Ki, Ab Aur Quwat Na Rahi

Kaise Kar Paoge Mere Chehre Ko, Laakho Mein Shinaakht
Ke Lab-E-Marhoom Ko Hasne Ki, Wo Ab Aadat Na Rahi

Usne Dekha Na Phir Palat Kar, Judaa  Galiyo'n Se Hote Hue
Aur Kahaa Dheere Se, Jaaa Tere Dil Par Meri Hukumat Na Rahi

Ghar Aata Tha Mere Har Roz, Wo Mera Khair-Khwaah Bankar
Dil Kya Badlaa Ki, Khuloos-E-Ulfat Mein Wo Mohabbat Na Rahi

Faaka-Kashee Ko Mere Ae Dost, Tu Mera Shauk Na Samajh
Ab Raaziq Ki In Niwalo'n Par, Kuch Khaas Inayat Na Rahi

Sehaj Ke Rakkha Tha Jise Tune, Aey Alam Ameen Bankar
Wo Khat Wo Khyaalat, Wo Jabee'n Teri Amaanat Na Rahi



______Alam




Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #1 on: December 06, 2011, 05:01:18 PM »

Aey Mere Khwaab, Tu Mere Zehan Se Ab Hijrat Kar Jaa
Ke Iss Dil Ko Khwaar Hone Ki, Ab Aur Quwat Na Rahi

Kaise Kar Paoge Mere Chehre Ko, Laakho Mein Shinaakht
Ke Lab-E-Marhoom Ko Hasne Ki, Wo Ab Aadat Na Rahi

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Usne Dekha Na Phir Palat Kar, Judaa Un Galiyo'n Se Hote Hue
Aur Kahaa Dheere Se, Jaaa Tere Dil Par Meri Hukumat Na Rahi

Ghar Aata Tha Mere Har Roz, Wo Mera Khair-Khwaah Bankar
Dil Kya Badlaa Ki, Khuloos-E-Ulfat Mein Wo Mohabbat Na Rahi

LAKHON DAAD...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Faaka-Kashee Ko Mere Ae Dost, Tu Mera Shauk Na Samajh
Ab Raaziq Ki In Niwalo'n Par, Kuch Khaas Inayat Na Rahi

Sehaj Ke Rakkha Tha Jise Tune, Aey Alam Ameen Bankar
Wo Khat Wo Khyaalat, Wo Zabee'n Teri Amaanat Na Rahi

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause





BAHUT BAHUT BAHUT KHOOOOB.... ALAM SAHAB DIL KO CHHU GAYI YE GHAZAL AAPKI... Usual Smile

KHUSH RAHE.,
YU HI LIKHTE RAHE... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: December 06, 2011, 06:57:09 PM »
Kazi sahaab Aadaab!

Janab behad achche aur umdaa ahsaasat bayaN kiye hai kafi
achche lafoN meiN khayaaloN ko baNdha hai aapne.. Usual Smile

Aapki is khub kalaam par dheroN daad O mubarakbad kabul kijiye..
Aur in ashaaroN ke kia kahne janab bahut khoob .. Usual Smile


Likhate rahiye.. aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile         






Kaise Kar Paoge Mere Chehre Ko, Laakho Mein Shinaakht
Ke Lab-E-Marhoom Ko Hasne Ki, Wo Ab Aadat Na Rahi

Ghar Aata Tha Mere Har Roz, Wo Mera Khair-Khwaah Bankar
Dil Kya Badlaa Ki, Khuloos-E-Ulfat Mein Wo Mohabbat Na Rahi

Faaka-Kashee Ko Mere Ae Dost, Tu Mera Shauk Na Samajh
Ab Raaziq Ki In Niwalo'n Par, Kuch Khaas Inayat Na Rahi


______Alam





Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2011, 08:48:02 AM »

Aey Mere Khwaab, Tu Mere Zehan Se Ab Hijrat Kar Jaa
Ke Iss Dil Ko Khwaar Hone Ki, Ab Aur Quwat Na Rahi

Kaise Kar Paoge Mere Chehre Ko, Laakho Mein Shinaakht
Ke Lab-E-Marhoom Ko Hasne Ki, Wo Ab Aadat Na Rahi

Usne Dekha Na Phir Palat Kar, Judaa  Galiyo'n Se Hote Hue
Aur Kahaa Dheere Se, Jaaa Tere Dil Par Meri Hukumat Na Rahi

Ghar Aata Tha Mere Har Roz, Wo Mera Khair-Khwaah Bankar
Dil Kya Badlaa Ki, Khuloos-E-Ulfat Mein Wo Mohabbat Na Rahi

Faaka-Kashee Ko Mere Ae Dost, Tu Mera Shauk Na Samajh
Ab Raaziq Ki In Niwalo'n Par, Kuch Khaas Inayat Na Rahi

Sehaj Ke Rakkha Tha Jise Tune, Aey Alam Ameen Bankar
Wo Khat Wo Khyaalat, Wo Jabee'n Teri Amaanat Na Rahi



______Alam







bahut khoob alam sahab kya kalaam hai waah............!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:09:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer