wo nahi aaya laut kar lekin

by kaushikbhawna008 on July 03, 2008, 05:34:45 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1475 times)
kaushikbhawna008
Guest
Bachpan kabhi gujra tha mera
gam k saaye se dur kahin
        aaj unhi meethe palo ki yaadein
        bhar laayein hai neer abhi

kitni khush thi mei sang uske
na bichadne ka tha khauf kahin
        kabhi ruth.ti kabhi manaati thi use
        ujad gayi kyu wo duniya meri

kuch kasmei thi kuch vaade the
aur kuch khel suhaane the
        beete palon ki yaadein sanjone mei
        yu beet gayi zindgani meri

wo to bhul gaya hai sab kuch
aur mujhe uski har baat yaad rahi
         keh gaya tha jis mod par laut aane ko
         usi mod par khade meri umra beet gayi

wo nahi aaya laut kar lekin
uski yaadein mere saath rahi
          keh na saki jo "bhawna" usse lab se kabhi
          meri shayri ne dard ki meri har kahaani kahi
             
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
****gar wo laut kar na aaya hota***** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
***कफ़न तेरी अमानत है---mai laut aaya-kishan by kishan8888 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nahi kehta yeh tumsey laut kar wapas nahi jana by Syed Mohd Mahzar in Ghazals
Laut to aaya hoon main fir se by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 03, 2008, 07:22:43 AM »
wo nahi aaya laut kar lekin
uski yaadein mere saath rahi
          keh na saki jo "bhawna" usse lab se kabhi
          meri shayri ne dard ki meri har kahaani kahi
   

Waah Kaushik Ji..
Is Baat K Liye Ki Bachpan Se Yahaan Tak Ka Safar.,
Bade Hi Khoob Andaj Me Likha Hai..

Beshak Aapki Shayri Aap K Dard Ki Kahani Kehati Hai..
Aur Aap 100% Shayar Ho,
Aap Ki Shayri Me Muje Bahot Kuch Dekne Ko Mila Hai..

Wo Na aaye Par Unki Yaad Aa K Wafaa karr Gayi.,
Saanse Tutate Hi Fir Aas Aa K Jindaa Karr Gayi.
                           
                                   -- Raza
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: July 03, 2008, 07:49:10 AM »
muhammed ji ham ye to jaante ki ham
ek mukammal shayar hai ya nahi
par ye sach hai ki jo bhi dil mei jazbaat umadtei hain ham to unhe bas shabdo mei dhalne ki koshish hi karte hain
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 03, 2008, 07:50:38 AM »
nazm ko padhne aur sarahne k liye bohut bohut shukriya
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: July 03, 2008, 11:50:06 AM »
Bohot khoob Bhawna Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: July 03, 2008, 12:03:31 PM »
Really Nice...  Thumbs UP Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 03, 2008, 02:23:47 PM »
Good one bhawna
Logged
Sammual
Guest
«Reply #7 on: July 05, 2008, 10:28:41 AM »
Good Job Bhawna Ji.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: July 05, 2008, 04:22:43 PM »
good one bhawana ji





Baadal
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: July 05, 2008, 04:27:50 PM »
Quote
wo to bhul gaya hai sab kuch
aur mujhe uski har baat yaad rahi
         keh gaya tha jis mod par laut aane ko
         usi mod par khade meri umra beet gayi

Bahut accha likha hai aapne Bhavna Jee  Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: July 08, 2008, 05:24:45 AM »
shukriya maahiya ji,baadal ji,sammual ji, pooja ji,sonia ji and celmira ji
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #11 on: December 20, 2008, 06:49:44 PM »

       



wo to bhul gaya hai sab kuch
aur mujhe uski har baat yaad rahi
         keh gaya tha jis mod par laut aane ko
         usi mod par khade meri umra beet gayi

wo nahi aaya laut kar lekin
uski yaadein mere saath rahi
          keh na saki jo "bhawna" usse lab se kabhi
          meri shayri ne dard ki meri har kahaani kahi
               


taarif ke liye alfaaz nahi mil rahe bhawna ji,

"charagh e zindagi ko aik jhonkay ki zaroorat hai
tumhain meri qasam phir zara damin ko lehrana"
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #12 on: December 22, 2008, 06:15:35 AM »

taarif ke liye alfaaz nahi mil rahe bhawna ji,

"charagh e zindagi ko aik jhonkay ki zaroorat hai
tumhain meri qasam phir zara damin ko lehrana"


ji shukriya satya ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2009, 08:32:34 AM »
Bahut Khoob Bhawna Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:12:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer