Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

by Jaanasheen on April 09, 2009, 11:10:22 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4266 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile


Doston Kal Raat Maine Neend Na Ane Ki Wajaah Se, Ye Shayari Banaai Hai, Kisi Ki Yad KO, Kisi Ki Kami Ko, Mehsoos Karke, ye Shayari Likhi Hai, Pasand Aaye, To Nawaaz Dena,.


Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.
Sitaaron Mein Use Dhoondta Raha,.

Chaand Mein Uski Jhalak Paai,.
Baadalon Ke Hatne Ki Chaah Karta Raha,.
Khamoshiyon Se Uska Pata Poochta Raha,.
Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

Jugnu Ki Shararat Main Dekhta Raha,.
Kya Hota, Wo Saath Hoti, Ye Sochta Raha,.
Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

Hawaa Jab Bhi Chookar Guzri,.
Yaadon Mein Uski Dubokar Guzri,.
Raat Saari Main Tardapta Raha,.
Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

Khwaab Mein Kyun Na Ab Deedaar Karloon,.
Aaj Neend Se Kyun Na Pyaar Karloon,.
Baar Baar Main Iraada Badalta Raha,.
Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

Ab Raaton Mein Zara Bhi, Karaar Nahi,.
Paas Jab Mere Saath, Mera Yaar Nahi,.
Uske Khayaalon Mein Hi Raat Main Kaatta Raha,.
Wo Raat Jab Main Jaagta Raha,.

_________________________-Jaanasheen-


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Raat din ghar me raha karte the by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Beemar ka nikalta raha dum tamam raat by aarzoomehek in Shayri-E-Dard
Taj kay din aur raat ka aaraam main chalta raha by ysiddiqi in Ghazals
Jaagta hai kayi rangoN meiN hunar shaam ke baad. by Dr. Naim Sahil in Shairi - E - Zindagi
eyk kamre me jaagta hai koi............................. by Syed Mohd Mahzar in Ghazals
k.shael
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2009, 11:15:25 AM »
Bahut Khoob Azeem Brother Aaj Kal Aapke Dard me bhi khumari
ka ehsaas hota hai,
Really Touching Lines...
 Applause  Applause  Clapping Smiley

Shally.
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #2 on: April 09, 2009, 11:19:33 AM »
kya baat hai jaanasheen ji bohat hi pyaara aur
behtareen khayaal aapki taraf se....
kya khoob likha hai aapne... Applause Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 09, 2009, 11:22:30 AM »
Bahut Khoob Azeem Brother Aaj Kal Aapke Dard me bhi khumari
ka ehsaas hota hai,
Really Touching Lines...
 Applause  Applause  Clapping Smiley

Shally.

Shukriya Shally Behna, Jo Mere Ehsaas Ko Mehsoos Kiya Tumne,
Thank You,.

Bas Duaa Karo,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 09, 2009, 11:24:39 AM »
kya baat hai jaanasheen ji bohat hi pyaara aur
behtareen khayaal aapki taraf se....
kya khoob likha hai aapne... Applause Applause Applause Applause

Shukriya Saurabh Ji,. Jo Hamaare Khayaal KO Aapne Samjha,.
Thank U,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2009, 12:05:21 PM »
Bolna to nahi chahiye Chote par itna achcha kalam likhoge to kaun chahega tumhe neend aaye. Shabash.....bohat umda kalam.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 09, 2009, 12:09:12 PM »
Bolna to nahi chahiye Chote par itna achcha kalam likhoge to kaun chahega tumhe neend aaye. Shabash.....bohat umda kalam.

Shukriya Bhaijaan, Bohat Khushi Hui Ke Aapne Hamaari Koshish Ko Saraaha, Thank You,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2009, 11:06:15 AM »
Bahut hi umda kalaam hai Azeem Applause Applause Applause
ek koshish meri bhi hai gaur kijiyega


Khamoshi mein use hi suna
Bechaini mein bhi use hi paaye
Har pal  har lamha uski yaad mein
Maine khud ko uske bagair tanha paaya

Har aahat usi se judi thi
Har baat mein usi ki kami thi
Mera waqt bhi thehar gaya
Jab khayalon mein uska chehra paaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 10, 2009, 11:09:35 AM »
Bahut hi umda kalaam hai Azeem Applause Applause Applause
ek koshish meri bhi hai gaur kijiyega


Khamoshi mein use hi suna
Bechaini mein bhi use hi paaye
Har pal  har lamha uski yaad mein
Maine khud ko uske bagair tanha paaya

Har aahat usi se judi thi
Har baat mein usi ki kami thi
Mera waqt bhi thehar gaya
Jab khayalon mein uska chehra paaya


Hay Kya Khoob Ji,.
Nice One,.

And Thank U,.

Apni Tanhaayiyon Mein Mashroof The Hum,.
Aaj Muddat Baad Kisine Pukaara Hai,.

Ek pal ke Liye To Sochne Lage,.
Kya Ye Naam Hamaara Hai,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2009, 11:20:09 AM »
too good Azeem Applause Applause

Yakeenan meri har yaad mein tum ho
Is dil se judi hai baat mein tum ho
Tanhaaiyaan bhi ab hain saath chodti
Kyunki is zindagi mein ab tum ho

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 10, 2009, 11:32:37 AM »
too good Azeem Applause Applause

Yakeenan meri har yaad mein tum ho
Is dil se judi hai baat mein tum ho
Tanhaaiyaan bhi ab hain saath chodti
Kyunki is zindagi mein ab tum ho



Shukriya And Nice One,.

Main Hoon Khizaa Ka Mausam, Mujhse Na Tu Pyaar Kar,.
Aankh Khulte Hi Kho Jaoonga, Mujhe Hasil Karne Ka Na Ikhraar Kar,.

Mera Koi Wajood Nahi, Na Meri Koi Pehchaan Hai,.
Main Kisi Ko Hasil Nahi "Kashish, Mera Tu Na Intezaar Kar,.

_________________________-Jaanasheen-
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2009, 11:39:34 AM »
Nice one again Azeem Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek aadat si hai mujhe tujhe chahne ki
Ek umeed hai tere laut kar aane ki
Ek armaan hai tujhe apna banaane ka
Ek "kashish" hai teri mohabbat ki....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 10, 2009, 11:43:07 AM »
Nice one again Azeem Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek aadat si hai mujhe tujhe chahne ki
Ek umeed hai tere laut kar aane ki
Ek armaan hai tujhe apna banaane ka
Ek "kashish" hai teri mohabbat ki....


Nice One Ji,.

Mujhse Tu Na Dil Lagaa, Na Mujhe Paane Ki Hasrat Kar,.
Main Hoon Khwaab Ki Tarah, Is KHwaab Se Tu Na Mohabbat Kar,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 13, 2009, 02:52:54 PM »
Har Mehfil Khafaa Hai Mujhse,.
Meri Jaan Jo Judaa Hai Mujhse,.

Missing U Jaan,.

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: April 13, 2009, 03:09:10 PM »
wah wah wah,bahut hi khoob likha hai aap ney jahanasheen, wah wah


jsabir singh
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:43:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer