wo tumne ek baar kaha tha... Intezar !

by Intezar on March 19, 2012, 08:35:46 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2007 times)
Intezar
Guest

wo teri shafaqat ka zamana bhi mujhe yaad hai
wo teri rafaaqat ka zamana bhi mujhe yaad hai,

In  haatho ki lakeero mein dhoondta tha tujhe
tujhe khud me talash karna bhi mujhe yaad hai,

main rooth jaaun kabhi to manaaya karte the tum
phir tumhara bewjah rooth jana bhi mujhe yaad hai,

siskiyon me raatein tumne bi gujaari thi, humne bi
tere tasavur me raaton ko jaagna bhi mujhe yaad hai,

tere waade par hi thukraya tha humne is zamane ko
lekin tera mujhe hi thukra jaana bhi mujhe yaad hai,

wo tumne ek baar kaha tha ki mera ‘Intezar’ karna
phir tumhara laut kar na aana bhi mujhe yaad hai…!


Shukriya
Intezar !

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 20, 2012, 04:02:40 AM »
 Applause Applause
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: March 20, 2012, 07:44:59 AM »

wo teri shafaqat ka zamana bhi mujhe yaad hai
wo teri rafaaqat ka zamana bhi mujhe yaad hai,

In  haatho ki lakeero mein dhoondta tha tujhe
tujhe khud me talash karna bhi mujhe yaad hai,

main rooth jaaun kabhi to manaaya karte the tum
phir tumhara bewjah rooth jana bhi mujhe yaad hai,

siskiyon me raatein tumne bi gujaari thi, humne bi
tere tasavur me raaton ko jaagna bhi mujhe yaad hai,

tere waade par hi thukraya tha humne is zamane ko
lekin tera mujhe hi thukra jaana bhi mujhe yaad hai,

wo tumne ek baar kaha tha ki mera ‘Intezar’ karna
phir tumhara laut kar na aana bhi mujhe yaad hai…!


Shukriya
Intezar !


 Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: March 20, 2012, 08:28:07 AM »
bohut khuub dear
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: March 20, 2012, 02:06:50 PM »
 Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: March 20, 2012, 03:52:47 PM »
Akhri do ashaar..Haaaye kya kahein kay kitni gehrayi tak choo gaye..
Bahaut bahaut ala Intezar jee..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: March 21, 2012, 04:21:21 AM »
waah Intezaar ji waah--
kai dino baad aaye aap aur bht khoob aaye
bht khoob kalaam se nawaza h aapne iss bazm ko janaab--
daad kubul karen

khus rahen
muskurate rahen
aate rahen
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: March 25, 2012, 06:14:16 PM »
sk saini ji, qalb ji, sahill ji, hriday ji,  rahim ji  sarfira ji... aap sabhi ka bahut bahut shukriya aapne pasand kiya aur hausla afzaayi ki...
hriday ji aapka saath bahut dino ke baad mila achha laga...

yu hi aap sabhi se gujarish hai ki saath dete rahiyega...

Shukriya

Intezar !
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #8 on: March 25, 2012, 06:33:16 PM »
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:30:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer