Woh aaye bhi kareeb

by passedaway on November 24, 2004, 02:37:33 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1102 times)
passedaway
Guest
Kuch dard uthe seene se, jinhe labzon mein piro kar pesh kar raha hoo, ummed hai pasand aayenge.


Hum kabse bahane dhoond rahe the muskuraane ke liye
Woh aaye bhi kaareb to dil dukhaane ke liye

Dilon mein jala rahe the ummeed ke diye hum
Zhoka banke aaye woh inhe bujhaane ke liye

Taraste rahe hum uske ik deedar ki khatir
Aur woh mile bhi humse, to bhool jaane ke liye

Poochte hai humse kyu nam hai aakhen
inka wajood hai ashkon mein nahane ke liye

kisi aah, kisi chah, kisi raah mein zinda hai 'Tan.viir'
Nahi to kabke mar chuke hai hum zaamane ke liye


Mayur [urf Tan.viir]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kareeb by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
kareeb by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
~~~DIL KE KAREEB~~~ by Ravinder in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Aaye Humaari Kareeb Woh by Carya in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: November 24, 2004, 03:13:45 AM »
Bohat achey!!!
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #2 on: November 24, 2004, 06:48:16 AM »
Quote from: "passedaway"
Kuch dard uthe seene se, jinhe labzon mein piro kar pesh kar raha hoo, ummed hai pasand aayenge.


Hum kabse bahane dhoond rahe the muskuraane ke liye
Woh aaye bhi kaareb to dil dukhaane ke liye

Dilon mein jala rahe the ummeed ke diye hum
Zhoka banke aaye woh inhe bujhaane ke liye

Taraste rahe hum uske ik deedar ki khatir
Aur woh mile bhi humse, to bhool jaane ke liye

Poochte hai humse kyu nam hai aakhen
inka wajood hai ashkon mein nahane ke liye

kisi aah, kisi chah, kisi raah mein zinda hai 'Tan.viir'
Nahi to kabke mar chuke hai hum zaamane ke liye


Mayur [urf Tan.viir]




wahhhhh kya baat hai ....!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: November 24, 2004, 07:55:23 AM »
nice passed away..

Mere labon par aj koi duah nehi
Kya iss jahan mein bhi Khuda nehi..?

Jahan dil ko chain mile, rooh ko sukoon
Shayad zamane mein aisi koi jagah nehi.

Tark-e-mahobbat ka ilzam kisse de
Hamari kismat mein hi unki wafa nehi

Ek mehboob ki mehndi na lagi in mein
Warna hamare hathon mein kya kya nehi... (NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: November 24, 2004, 08:00:43 PM »
NICE!!!
Logged
passedaway
Guest
«Reply #5 on: November 24, 2004, 09:03:31 PM »
Quote
Mere labon par aj koi duah nehi
Kya iss jahan mein bhi Khuda nehi


Is pe arz hai

Dil hi har dua ko anjaam nahi milta
khuda ko dhoondne chale the, yaha insaan nahi milta
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: November 24, 2004, 09:51:01 PM »
wah!!!! bahoot khoob passedaway!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: November 25, 2004, 02:23:09 PM »
Quote from: "nishita"
nice passed away..

Mere labon par aj koi duah nehi
Kya iss jahan mein bhi Khuda nehi..?

Jahan dil ko chain mile, rooh ko sukoon
Shayad zamane mein aisi koi jagah nehi.

Tark-e-mahobbat ka ilzam kisse de
Hamari kismat mein hi unki wafa nehi

Ek mehboob ki mehndi na lagi in mein
Warna hamare hathon mein kya kya nehi... (NM)


wah!!!!!!  excellent nishita........very nice passedaway........
Logged
nishita
Guest
«Reply #8 on: November 25, 2004, 02:42:18 PM »
thanks waheed ... and very nice passed away
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: November 25, 2004, 03:51:45 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "nishita"
nice passed away..

Mere labon par aj koi duah nehi
Kya iss jahan mein bhi Khuda nehi..?

Jahan dil ko chain mile, rooh ko sukoon
Shayad zamane mein aisi koi jagah nehi.

Tark-e-mahobbat ka ilzam kisse de
Hamari kismat mein hi unki wafa nehi

Ek mehboob ki mehndi na lagi in mein
Warna hamare hathon mein kya kya nehi... (NM)


wah!!!!!!  excellent nishita........very nice passedaway........


for you nishita.........

Aa jaoge halaat ki zid par jo kisi din.....
Ho jayega maloom k khuda hey k nahi hai...............
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #10 on: July 01, 2005, 08:14:41 PM »
Quote from: "passedaway"
Kuch dard uthe seene se, jinhe labzon mein piro kar pesh kar raha hoo, ummed hai pasand aayenge.


Hum kabse bahane dhoond rahe the muskuraane ke liye
Woh aaye bhi kaareb to dil dukhaane ke liye

Dilon mein jala rahe the ummeed ke diye hum
Zhoka banke aaye woh inhe bujhaane ke liye

Taraste rahe hum uske ik deedar ki khatir
Aur woh mile bhi humse, to bhool jaane ke liye

Poochte hai humse kyu nam hai aakhen
inka wajood hai ashkon mein nahane ke liye

kisi aah, kisi chah, kisi raah mein zinda hai 'Tan.viir'
Nahi to kabke mar chuke hai hum zaamane ke liye


Mayur [urf Tan.viir]



Nice passedaway
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:36:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer